* * * {{{ SHIRK }}} * * * * *
Shirk Ka Logvi Maani Hota Hai Sharik Karna, Aur Sharai Aetbar Se Shareek Ka Matlab Hota Hai, Ke Allah Ta’ala Ki “Zaat” Ya Phir “Sifat” Me Kisi Ko Sharik Karna.
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Subse Badaa Gunaah Ye Hai Ke Tu Allah Ke Saat Kisi Ko Shareek Karey Halan Ke Uss(Allah)ne Tujhe Paida Kiya.” – (Bukhari 4477, Muslim 86.)
♥ Al-Quraan: Allah Ke Saath Shirk Na Karna. Beshaq Shirk Badaa Bhari Zulm Hai. – (Surah Luqman(31): Ayat-13)
Lihaza Shirk Se Bachey Aur Tawheed Parast Baney.
• Shirk Ke Nuksaan –
Shirk Jaise Kabira Gunaah Ke Anzam Ke Barey Me Quraan-e-Kareem Me Farmay Ki:
♥ Al-Quraan: “Jisney Allah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya, Allah Ne Uspar Jannat Haraam Kar Diya. Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.” – (Surah Al-Maida(5): Ayat-72)
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Jo Koyi Iss Haal Me Marey Ke Wo Allah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaarta Ho Tou Wo Jahannum Me Dakhil Hoga.” – (Bukhari 4497, Muslim 92).