find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label Daily Hadees. Show all posts
Showing posts with label Daily Hadees. Show all posts

Mithe Gunah: Gunah ke kam karne me Logo ko itni Khushi kyu milti hai?

Mithe Gunah kis Gunah ko kahte hai?
Gunah ke kamo me Hame itni lajjat kyu milti hai aur Khushi kyu milti hai?

میٹھے گناہ
میٹھے گناہوں کو جانتے ہیں آپ،،،،،،، ؟
ایسے گناہ جو آپ کو دنیا میں سکون دیں ،،،،،
دنیاوی رنگینیوں میں آپ کو مکمل طور پر غرق کر دیں،،،،
،باربار بھی گناہ کرنے پر آپ کو شرمندگی نہ ہو ،،،،، آپ کو پتا ہو کہ یہ گناہ ہے مگر آپ بے دھڑک وہ گناہ کر گزریں،،،،،

انسان جب کوئی گناہ کرے اور اسکی پکڑ نہ ہو مگر وہ یہ سمجھنے کے بجائے کہ اللّٰہ نے اسکے گناہوں کا راز رکھ کر اسے لوگوں کی نظروں میں گرنے سے بچایا ہے وہ مزید گناہ کرتا ہے اللہ پھر بھی اسکا راز رکھتا ہے مگر وہ بنا ندامت کرتا ہی رہے اور پھر کرتا ہی چلا جائے تو پھر اسے وہ گناہ میٹھے لگنے لگ جاتے ہیں،،،،،،

گناہوں کی لذت کبھی کم نہیں ہوتی بلکہ بڑھتی  ہی چلی جاتی ہے،،،، ان میٹھے گناہوں کی بدولت آپ کو دنیا میں جنت کا گماں ہوتا ہے،،،،،،

دنیا اگر جنت لگنے لگ جائے وہ بھی گناہوں کی بدولت تو سمجھ لیں آپ کے لیے خسارے ہی خسارے ہیں آخرت میں ،،،،،،،

میٹھے گناہوں کی لذت اور عادت سے بچائیں خود کو،،،، دنیاوی سکون کو گناہوں میں نہیں اپنے اللّٰہ کے ذکر میں تلاش کریں .
سکون کو چھوٹی چھوٹی نیکیوں میں ڈھونڈیں،،،،

گناہ ہو گیا تو خیر ہے ہو جائے مگر اس یقین کے ساتھ اللّٰہ سے توبہ کریں کے دوبارہ وہ گناہ نہ کریں کیونکہ آپ کا اللہ بہت ہی مہربان اور بے حد رحیم ہے،،،، لاکھ دفعہ بھی گناہ کر کے اس کے سامنے جائیں تو وہ آپ کو معاف کرتا ہے باشرط کہ آپ کر مرتبہ سچی توبہ کریں کیونکہ میٹھے گناہوں سے اک ندامت کا احساس اور آنسو ہی کافی ہے آپ کے اللہ کے لیے اور آپ کا اللہ تو رحمت کی صفات سے مالامال ہے۔۔۔۔۔۔!⁦

Share:

Pak Damani ki buniyad Par Maghfirat nasib hui.

Burai se bachne ka aasan tarika.
Pak Damani ki bena par Maghfirat nasib hui.

️ پاک بازی کی بنا پر مغفرت نصیب ہوئی
                                                       
حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کے حوالہ سے مروی ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا کہ بنی اسرائیل میں کفل نام کا ایک شخص تھا، جو کسی بھی گناہ سے نہیں بچتا تھا، پس اس کے پاس عورت آئی اس نے اسے ساٹھ اشرفی دے کر بدکاری پر آمادہ کرلیا.
پھرجب وہ بدکاری کرنے کےلئے بیٹھا تو خوفِ خداوندی کی وجہ سے اس عورت پر کپکپی طاری ہوگئی اور وہ بے اختیار رونے لگی، تو کفل نے اس عورت سے کہا کہ تو کیوں رورہی ہے، کیا میں نے تجھے مجبور کیاہے، وہ کہنے لگی کہ نہیں، بلکہ یہ ایسا عمل ہے جو میں نے زندگی میں کبھی نہیں کیا، اور صرف محتاجگی کی وجہ سے میں اس پر مجبور ہوئی ہوں، تو کفل نے اس سے کہاکہ اچھا! یہ بات ہے کہ تو صرف فقرکی وجہ سے اس پر مجبور ہوئی، اور تو اس کی عادی نہیں ہے، پس تو چلی جا اور یہ اشرفیاں بھی تیری ہی ہیں، اور پھراس نے یہ کہاکہ اللہ کی قسم میں آج کے بعد کبھی بھی اللہ کی نافرمانی نہ کروں گا، اتفاق یہ کہ اسی رات اس کفل کی موت ہوگئی تو صبح کو دیکھا گیاکہ اس کے دروازے پر یہ لکھا ہوا تھا کہ، اللہ تعالٰی نے کفل کی مغفرت فرمادی ہے.

          [ترمذی شریف ۲/ ۷۶، انوار ہدایت ۲۴۷ ]
✧═════•❁❀❁•═════✧

Share:

Kaun Kaun se amal Sadqa-E-Zariya me Shamil hai?

Marne ke bad insan ko tin kamo ka Sawab milta rahata hai?
Kaun kaun se amal  Sadqa-E-Zariya hai?
Agar kisi ne School, Hospital banwa diye jisse logo ka ilaj ho raha to us Shakhs ke marne ke bad bhi use iska Sawab milega.

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ،‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا إِسْمَاعِيل بْنُ جَعْفَرٍ،‏‏‏‏ عَنْ الْعَلَاءِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِيهِ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ،‏‏‏‏ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏    إِذَا مَاتَ الْإِنْسَانُ انْقَطَعَ عَمَلُهُ إِلَّا مِنْ ثَلَاثٍ،‏‏‏‏
🔹صَدَقَةٌ جَارِيَةٌ،‏‏‏‏
🔹وَعِلْمٌ يُنْتَفَعُ بِهِ،‏‏‏‏
🔹وَوَلَدٌ صَالِحٌ يَدْعُو لَهُ.

नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जब इन्सान मर जाता है तो उसके अमल का सिलसिला बंद हो जाता है सिवाए तीन चीज़ों के:
🔹एक सदक़ा जारीया है,
🔹दूसरा ऐसा इल्म (Education) है जिस से लोग फ़ायदा उठाएं और
🔹तीसरा नेक और सालिह औलाद है जो उसके लिए दुआ करे।

Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jab insaan mar jata hai to uske amal ka silsila band ho jata hai siwaye teen cheezon ke:
🔹ek sadqa Jaria hai,
🔹dusra aisa ilm hai jis se log faida uthayen aur
🔹teesra nek aur Saleh aulaad hai jo uske liye dua kare“.

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جب انسان مر جاتا ہے تو اس کے عمل کا سلسلہ بند ہو جاتا ہے سوائے تین چیزوں کے:
🔹ایک صدقہ جاریہ ہے،
🔹دوسرا ایسا علم ہے جس سے لوگ فائدہ اٹھائیں اور
🔹تیسرا نیک و صالح اولاد ہے جو اس کے لیے دعا کرے“

The Prophet ﷺ said: When a person dies, his deeds are cut off except for three:
🔹Continuing charity,
🔹knowledge that others benefited from, and
🔹a righteous son who supplicates for him.

📜 *wazahat:*
(1)sadqa e jariya yani aisa sadqa jis ko awaam ki bhalayi ke liye waqf kar diya jaye, maslan kuwa khudwana, nal lagwana, masjid wa madarse wa yateem khano ki tameer karwana, hospital ki tameer, pull aur sadak wagairah banwana, inn mein se jo  kaam bhi apni zindagi mein kar ke jaye ya karne ka iradah rakhta ho wo sab sadqa e jariya mein shumaar honge,
(2) ilm mein logo ko taleem dena tableegh ka silsila qayem karna, madarse ki tameer karna, Quran seekhana, deeni kitabe batwana waghera umoor sabhi shamil honge.
(3) nek aulaad mein beta, beti, pota, poti, nawasa, nawasi waghera ke elawa ruhani awlaad bhi shamil hain jinhen ilm deen sikhaya ho.

📚 _*Jamiat Tirmidhi: jild 3, kitab ul Ahqam 15, hadith no. 1376*_
*Grade sahih
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Islam Maa Baap, Rishtedaron se kaisa Suluk rakhne ko kahta hai?

Rishtedaron se Nafrat karne wala aur unko haqeer samajhne wala sajha kaisa hai?
kisi ko Apne Maa baap se kaisa suluk karna chahiye?

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا شَرِيكُ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ،‏‏‏‏ عَنْ مَنْصُورٍ،‏‏‏‏ عَنْ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عَلِيٍّ،‏‏‏‏ عَنْ ابْنِ سَلَامَةَ السُّلَمِيِّ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  أُوصِي امْرءًا بِأُمِّهِ،‏‏‏‏ أُوصِي امْرءًا بِأُمِّهِ،‏‏‏‏ أُوصِي امْرءًا بِأُمِّهِ ثَلَاثًا،‏‏‏‏ أُوصِي امْرءًا بِأَبِيهِ،‏‏‏‏ أُوصِي امْرءًا بِمَوْلَاهُ الَّذِي يَلِيهِ،‏‏‏‏ وَإِنْ كَانَ عَلَيْهِ مِنْهُ أَذًى يُؤْذِيهِ .

रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: मैं आदमी को अपनी माँ के साथ अच्छे सुलूक और बरताव करने की वसीयत करता हूँ, मैं आदमी को अपनी माँ के साथ अच्छे सुलूक और बरताव करने की वसीयत करता हूँ
मैं आदमी को अपनी माँ के साथ अच्छे सुलूक और बरताव करने की वसीयत करता हूँ, मैं आदमी को अपने बाप के साथ अच्छे सुलूक और बरताव करने की वसीयत करता हूँ, मैं आदमी को अपने मौला के साथ जिसका वो वलि हो अच्छे सुलूक और बरताव करने की वसीयत करता हूँ, ख़्वा उसको इस से तकलीफ़ ही क्यों ना पहुंची हो।

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: main aadmi ko apni maa ke sath achhe sulooq aur bartaw karne ki wasiyat karta hon, main aadmi ko apni maa ke sath achhe sulooq aur bartaw karne ki wasiyat karta hon, main aadmi ko apni maa ke sath achhe sulooq aur bartaw karne ki wasiyat karta hon, main aadmi ko apne baap ke sath achhe sulooq aur bartaw karne ki wasiyat karta hon, main aadmi ko apne Moula ke saath jis ka woh wali ho achhe sulooq aur bartaw karne ki wasiyat karta hon, khwa usko is se takleef hi kyun nah pahunchi ho.

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں آدمی کو اپنی ماں کے ساتھ اچھے سلوک اور برتاؤ کرنے کی وصیت کرتا ہوں، میں آدمی کو اپنی ماں کے ساتھ اچھے سلوک اور برتاؤ کرنے کی وصیت کرتا ہوں، میں آدمی کو اپنی ماں کے ساتھ اچھے سلوک اور برتاؤ کرنے کی وصیت کرتا ہوں، میں آدمی کو اپنے باپ کے ساتھ اچھے سلوک اور برتاؤ کرنے کی وصیت کرتا ہوں، میں آدمی کو اپنے مولیٰ ۱؎ کے ساتھ جس کا وہ والی ہو اچھے سلوک اور برتاؤ کرنے کی وصیت کرتا ہوں، خواہ اس کو اس سے تکلیف ہی کیوں نہ پہنچی ہو۔

Prophet Mohammed ﷺ said: I enjoin each one to honor his mother,I enjoin each one to honor his mother,I enjoin each one to honor his mother(three times), I enjoin each one to honor his Father, I enjoin each one to honor his guardian who is taking care of him, even if he is causing him some annoyance.

📜 *wazahat:* Arabi mein maula ka lafz azaad karda ghulam ya dost ya rishtedar ya sarparast sabhi mano mein istemal kiya jaa sakta hai. Agar che is se takleef pohonche toh badle mein isko takleef naa de, matlab yahi hai ke burayi ke badle neki kare. Nabi kareem ﷺ ne farmaya *rishtedaro se bugz rakhne wala, qitta rehmi karne wala jannat mein dakhil nahi hoga* [📗Bukhari: 5884].

📚 _*Sunan ibne majah: jild-5, kitab Al adab 33, hadith no. 3657*_
*Grade Hasan*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Tauba ki fazilat aur Allah ki rahmat apne bando par.

Tauba w astagfar ki fazilat aur bando par Allah ki rahmat.

- *توبہ و استغفار کی فضیلت اور بندوں پر ﷲ کی رحمتوں کا بیان ...*

🍁 سیدنا انس بن مالك رضي الله عنه کہتے ہیں کہ میں نے رسول الله صلی الله عليه وسلم کو فرماتے ہوئے سنا : ﷲ تعالیٰ فرماتا ہے :

*”اے ابنِ آدم! جب تک تو مجھے پکارتا رہے گا، اور مجھ سے پُر امید رہے گا، میں تجھے معاف کرتا رہوں گا اور مجھے تیرے گناہوں کی کوئی پروا نہیں۔*

*اے ابنِ آدم! اگرچہ تیرے گناہ آسمان کے کناروں کو پہنچ جائیں، پھر تو مجھ سے مغفرت طلب کرے تو میں تجھے معاف کر دوں گا اور مجھے کوئی پروا نہیں۔*

*اے ابنِ آدم! اگر تو پوری زمین گناہوں سے بھر کر میرے پاس آئے، مگر میرے ساتھ کسی کو شریک نہ کیا ہو، تو میں اتنی ہی زیادہ مغفرت کے ساتھ تجھے قبول کروں گا۔“*

📖 - (سنن الترمذي : ٣٥٤٠، حسن لغيره)

Share:

Aksar Log in do Nematon ki qadar nahi karte.

Do namtein aisi hai ke aksar log uski qadar nahi karte.
🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا الْمَكِّيُّ بْنُ إِبْرَاهِيمَ ، أَخْبَرَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ سَعِيدٍ هُوَ ابْنُ أَبِي هِنْدٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا ، قَالَ : قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ :    نِعْمَتَانِ مَغْبُونٌ فِيهِمَا كَثِيرٌ مِنَ النَّاسِ : الصِّحَّةُ ، وَالْفَرَاغُ    ، قَالَ عَبَّاسٌ الْعَنْبَرِيُّ : حَدَّثَنَا صَفْوَانُ بْنُ عِيسَى ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ سَعِيدِ بْنِ أَبِي هِنْدٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، سَمِعْتُ ابْنَ عَبَّاسٍ ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِثْلَهُ .

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: दो नेमतें ऐसी है के अक्सर लोग उनकी कदर नहीं करते, सेहत और फरागत (खाली वक्त)।

🌹Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”do nematein aisi hain ke aksar log unki qadar nahi karte, sahet aur faraghat (khaali waqt)."

🌺رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرما یا: ”دو نعمتیں ایسی ہیں کہ اکثر لوگ ان کی قدر نہیں کرتے، صحت اور فراغت۔“

🌹The Messenger of Allah(ﷺ) said: There are two blessings which many people lose: (They are) Health and free time for doing good.

📜 *wazahat:* umuman jin Saleh bandon ke mizaaj mein deen daari aur neki hoti hai, woh waqt ke qadar daan hote hain aur apni akhirat banane aur duniya sanwaar ne ki fikar unhe har waqt hoti hai, woh bekar, avargi  aur fizooliyat mein apna waqt zaya nahi karte, kisi ka burayi se tazkera karne, aeb joi karne aur bohtan tarashi aur bekaar wala yani guftgu ki unhe fursat nahi milti, unki amali zindagi hadees nabwi ki amali tasweer hoti hai. Agar insaan sehat mand aur tandrust hoga to Allah ki tamam nematon se bharpoor fayeda haasil kar sakta hai chaahe woh duniyawi yaa deeni lihaaz se ho, jabke bemari ki haalat mein aisa nahi kar sakta.

📚 _*Sahih Bukhari: jild i, kitab Ar riqaq 81, hadith no. 6412*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Tanhai me Gunah karne walon ka Qayamat ke din kaisa Anjam hoga?

Tanhai me Gunah karne ka anjam.
Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat  Ke Din Anjaam*
---------------------------
👉 *Ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega,*.
--------------------------------------------------
👉Nabiﷺ ne farmaya : Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo *qayamat ke din tahamah ke pahadon (पहाड़ो) ke barabar nekiyan lekar ayenge, Allah Ta'ala unko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega*, Sawban Radiallahu anhu ne arz kiya : Allah ke Rasool!! Un logon ka haal hamse bayan farmayen aur khol kar bayan farmayen take la-ilmi aur jihalat ki wajah se ham un me se na ho jayen, Aap ﷺ ne farmaya : Jaan lo ke wo tumhare bhaiyon me se hi hain, aur tumhari qaum me se hain, wo bhi raaton ko usi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hain ke jab tanhaai me honge to haram kamo ka irtekaab karenge.( transgress tha sacred limits of Allah.)
📚 *[ Ibn Majah : 4245]
( *हर बात दलील के साथ)*

Share:

Tumhare biwi ka bhi tumhare upar Haque hai.

*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*

Hadith: Tumhare badan ka bhi tum par haq hai , aur tumhari biwi (wife) ka bhi tum par haq hai*

Abdullah bin 'Amr bin Al-'As Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Abdullah kya muijhe jo khbar mili sahi hai ki tum (Rozana) din mein roza rakhtey ho aur raat bhar ibadat kartey ho, mainey kaha ki haan ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam, to Aapne farmaya ki aisa na karo, Rozey bhi rakho aur bina rozey bhi raho raat mein ibadat bhi karo aur soya bhi karo, kyunki tumharey badan ka bhi tum par haq hai , tumhari aankh ka bhi tum par haq hai aur tumhari biwi ka bhi tum par haque (right) hai.*

*🔰{Sahih Bukhari, - 5199}*

Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi kartey Sehat (Health) aur fursat (achchey kaam karney ke liye)*

*🔰{Sahih Bukhari, - 6412}*

Share:

Sham ko apne bacho ko bahar kyu nahi jane dena chahiye?

Sham ho jane pe apne bacho ko ghar se bahar nahi jane dena chahiye.
Hadith : Sham ho jaye to apne bachcho ko ghar se bahar na nikalne do kyunki us waqt Shaitan phail jate hain*

*-----✨AUTHENTIC HADITH✨-----*

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Raat jab shuru ho ya Sham ho toh apne bachcho ko rok lo aur ghar se bahar na nikalne do kyunke us waqt Shaitan phail jate hain phir jab raat ki ek ghadi guzar jaye toh unhein chor do aur darwaze band kar lo aur us waqt Allah Subhanahu ka naam lo kyunki Shaitan band darwaze ko nahi kholta aur Allah Subhanahu ka naam lekar apne mashkizon ka muh bandh do. Allah Subhanallah ka naam lekar apne bartano ko dhak do,  aur chiragh (sone se pehle) bujha diya Karo.

Sahih Bukhari, 5623* (Islam 360)

Share:

Khala (Ammi ki behan) ke sath husne suluk ki fazilat.

*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----
Mafhum e Hadith: Khala ke sath husne e Suluk ki fazeelat*

Ek Shakhs Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki khidmat mai hazir hua aur kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Maine ek bahut bada ( kabira ) gunah kar liya hain toh kya mere liye Tauba ki gunjaish hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya tumahari walida hain usne Kaha nahi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya tumahari khala (Maa ki Behan) hai ?

 
Usne kaha ji haan Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya unke Sath husn e Suluk Karo*

Mishkat-4935-Sahih* (Islam 360)

Share:

Gunah karne ki wajah se dil pe kala nukta dal diya jata hai.

Gunah karne wale ke dilo me kala nukta laga diya jata hai.
Bismillahirrahmanirrahim*
_________________________🌙
*Gunah karne ki wajah se Dil me ek siyaah nukta ho jata hai*
_________🌙
*Rasool Allah Sallallahu Alaihe wasallam ne farmaya : Jab momin koi gunah karta hai to us k dil me ek siyah nukta  ( daag ) lag jaata hai ' Agar woh tauba kare, baaz aajaye aur magfirat talab kare to us ka dil saaf kar diya jaata hai ' Aur agar woh  ( gunaah me ) badhta chala jaye to phir woh dhabba bhi badhta jaata hai ' Ye wahi zang hai jis ka zikr Allah ta'ala ne apni kitab me kiya hai*

(Sunan ibne maaja : 4244)
_____________
*AL-QURAN*

"Hargiz nahi balke un ke bure aamal ne unke dilo par zang pakad liya hai jo woh karte hain."

*Surah Al mutaffifin aayat no 15*
________________________

Share:

Islam Khudkushi (Suicide) Karna Ke bare me kya kahta hai?

Islam Suicide ke bare me kya kahta hai?
Kya Car bomb blast karne ki ijazat islam deta hai?

Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi) ne farmaya

Pichley zamane mein ek shaks zakhmi ho gaya tha aur us se usko badi takleef ho rahi thi aakhir usne chhuri (knife) se apna haath kaat dala jisse khoon bahne laga, is wajah se wo mar gaya.

Allah ne farmaya,”Mere Bande ne marne mein jaldi ki is liye maine bhi Jannat ko is par HARAM kar diya.

📚 Sahih Bukhari Vol 4, Book 56, No. 669

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya

Jis ne apne aap ko pahad (mountain) se gira kar (khudkushi ki) halak kiya wo dozakh mein jaayega aur hamesha apne aap ko isi tarah pahad se girata rahega.

Dozakh mein hamesha hamesha us ki yahi halat rahegi.

Jisne zahar kha kar apne aap ko halak kiya (khudkushi ki) dozakh mein wahi zahar us ke haath mein hoga jise khata rahega aur dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega.

Jisne apne aap ko kisi hathiyar se halak kiya (khudkushi ki) wahi hathiyar Dozakh mein uske hath me hoga jise wo apne pet me marta rahega, dozakh mein wo hamesha hamesha isi halat me rahega.

📚 Sahi bukhair 5442,_*
______________
taken from Dawat -e- Tauheed Islamic Group'
______________

Share:

Kisi ka majak mat udao ho sakta hai tumse behtar ho.

Kisi Ka majak udana kaisa hai islam me?

*Kisi Ka "Mazaak" Na Udao ho sakta hai jiska "Mazaak" udaa rahe ho woh "Allah" ke nazdeek tum se Behter ho.*
-------------------------------------------------
"Quran"  mein Allah farmata:-
“Aey IMAAN Waalo! Tum mein se koi doosre ka Mazaaq na udaaye, ho sakta hai ke jiska Mazaaq udaaya jaa raha hai woh un se Behtar ho aur na Aurtein doosri AURTON ka Mazaaq udaein, MUMKIN hai woh Jinka Mazaaq udaa rahi hai (Allah ki nazar mein) unse ACHCHI hon.”
📚[QURAN SURAH 49/11]
( *हर बात दलील के साथ*)

Share:

Nasha Lane wali chij peena kaisa hai?

Nasha Lane wali chij ko pina kyu mana hai?
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ

أَخْبَرَنَا قُتَيْبَةُ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ،‏‏‏‏ عَنْ عُمَارَةَ بْنِ غَزِيَّةَ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي الزُّبَيْرِ،‏‏‏‏ عَنْ جَابِرٍ،‏‏‏‏ أَنَّ رَجُلًا مِنْ جَيْشَانَ،‏‏‏‏ وَجَيْشَانُ مِنْ الْيَمَنِ قَدِمَ،‏‏‏‏ فَسَأَلَ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ شَرَابٍ يَشْرَبُونَهُ بِأَرْضِهِمْ مِنَ الذُّرَةِ،‏‏‏‏ يُقَالُ لَهُ:‏‏‏‏ الْمِزْرُ،‏‏‏‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  أَمُسْكِرٌ هُوَ ؟ ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ نَعَمْ،‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  *كُلُّ مُسْكِرٍ حَرَامٌ،‏‏‏‏ إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ عَهِدَ لِمَنْ شَرِبَ الْمُسْكِرَ أَنْ يَسْقِيَهُ مِنْ طِينَةِ الْخَبَالِ ،‏‏‏‏ قَالُوا:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ،‏‏‏‏ وَمَا طِينَةُ الْخَبَالِ ؟ قَالَ:‏‏‏‏  عَرَقُ أَهْلِ النَّارِ ،‏‏‏‏ أَوْ قَالَ:‏‏‏‏  عُصَارَةُ أَهْلِ النَّارِ .

जैशन का एक शख़्स (जैशन यमन का एक क़बीला है) आया और रसूल अल्लाह ﷺ से मकई के बने इस शरबत के बारे में पूछा जिसे वो अपने मुल्क में पीते थे और उसे मुज़िर कहते थे। नबी अकरम ﷺ ने पूछा: क्या वो नशा लाता है? वो बोला: जी हाँ, रसूल अल्लाह ﷺ फ़रमाया: *हर नशा लाने वाली चीज़ हराम है, अल्लाह तआला ने ये तै कर दिया है की जो नशा लाने वाली चीज़ पीएगा तो अल्लाह तआला उसे «طینۃ الخبال» पिलाएगा, लोगों ने अर्ज़ क्या: ये «طینۃ الخبال» क्या है? आपने फ़रमाया: जहन्नुमियों का पसीना, या फ़रमाया: जहन्नुमियों का मवाद।*

jaishan ka ek shakhs (Jaishan Yemen ka ek qabeela hai) aya aur rasool Allah ﷺ se makayi ke banay is sharbat ke bare mein poocha jise woh–apne mulk mein peete thay aur usay muzir kehte thay. nabi akram ﷺ ne poocha : kya woh nasha lata hai? woh bola : jee haan, Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *har nasha lane wali cheez haraam hai, Allah taala ne ye tay kar diya hai ke jo nasha laane wali cheez piyega to Allah taala usay  «طینۃ الخبال»  pilayega“, logon ne arz kya: yeh «طینہ الخبال» kya hai? aap ne farmaya : ” jahannamiyon ka paseena, ya farmaya : ”jahannamiyon ka mawad“.*

جیشان کا ایک شخص ( جیشان یمن کا ایک قبیلہ ہے ) آیا اور رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے مکئی کے بنے اس مشروب کے بارے میں پوچھا جسے وہ اپنے ملک میں پیتے تھے اور اسے «مزر» کہتے تھے۔ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے پوچھا: کیا وہ نشہ لاتا ہے؟ وہ بولا: جی ہاں، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *”ہر نشہ لانے والی چیز حرام ہے، اللہ تعالیٰ نے یہ طے کر دیا ہے کہ جو نشہ لانے والی چیز پیئے گا تو اللہ تعالیٰ اسے «طینۃ الخبال» پلائے گا“، لوگوں نے عرض کیا: یہ «طینۃ الخبال» کیا ہے؟ آپ نے فرمایا: ”جہنمیوں کا پسینہ، یا فرمایا: ”جہنمیوں کا مواد“۔
A man from (the tribe of) Jaishan, who are from Yemen, came and asked the Messenger of Allah [SAW] about a drink that they drank in his homeland that was made of corn and called Al-Mizr (beer). The Prophet [SAW] said to him: Is it an intoxicant? He said: Yes. The Messenger of Allah [SAW] said: *Every intoxicant is unlawful. Allah, the Mighty and Sublime, has promisedthe one who drinks intoxicants that He will give him to drink from the mud of Khibal. They said: O Messenger of Allah, what is the mud of Khibal? He said: The sweat of the people of Hell, or he said: The juice of the people of Hell.*

📚 _*Sahih Muslim: jild 5, kitab Al-Ashraba 36, Hadith no. 5217*_

📚 _*Sunan Nasa'i: jild 6, kitab Al-Ashraba 51, hadith no. 5712*_
*Grade sahih*
•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~

Share:

Khwab me Zinda aadami ko murda dekhne ki tabir.

Agar Zinda aadami ko Khwab (dream) me murda dekhe to iska tabeer kya hoga?

Agar Murda aadami ko Zinda dekhe to iski tabir kya hogi?
Sawal: Maine apni Walida (Mother) ko Khwab me dekha ke faut ho gayi hai dubara bhi aeisa hi Khwab aaya?

سوال : میں نے اپنی والدہ کو خواب میں دیکھا کہ فوت ہو گئی ہیں دو بار ایسا خواب ایا ۔۔۔؟

جواب تحریری
حضرت ابراہیم کرمانی ؒ کا فرمان ہے کہ اگر کسی نے خواب میں دیکھا ہے کہ مردہ زندہ ہوگیا ہے تو اسکا حال نیک ہوگا،خاص کر اگر مردے کو خوش اور کشادہ حال دیکھے۔اور اگر کسی زندہ انسان کو مردہ دیکھ لیا ہے تو اسکا حال بدتر ہوگا ۔خاص طور پراگر یہ مردہ ظالم یا بد زبان یا سخت و ترش انسا ن ہو ۔اگر کوئی خوا ب میں اپنے مردہ والد کو اسطرح دیکھ لے کہ وہ خوش دیکھائی دے رہے تھے اور پاکیزہ لباس پہنے ہوئے تھے تو ایسے فرد کو دولت ملنے کا امکان ہوگا یا نیکی کا کوئی بڑا کام کرے گا۔اگر خواب میں مردہ ماں کو زندہ دیکھتا ہے تو اسکا نصیب اچھا ہوگا، غم زدہ ہے تو تکالیف سے نکلے گا
۔

Share:

Allah Tala Sabse Jyada kis Chij ko Pasand farmata hai?

Allah Tala ko kaun si chij Sabse jyada Mahboob hai?
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम

️ रसूल अल्लाह सलल्लाहु अलैहि व सल्लम ने फ़रमाया: " अल्लाह तआला को दो क़तरों और दो निशानियों से ज़्यादा कोई चीज़ महबूब नहीं है, आँसू का एक क़तरा जो अल्लाह की ख़ौफ़ की वजह से निकले और दूसरा खून का वो क़तरा जो अल्लाह के रास्ता में बहे, दो निशानियों में से एक निशानी वो है जो अल्लाह की राह में लगे और दूसरी निशानी वो है जो अल्लाह की फ़राइज़ में से किसी फ़रीज़ा की अदायगी की हालत में लगे।"

📜 *वजाहतः* इस हदीस से मालूम होता है के अल्लाह के नजदीक नदामत का आँसू शहीदों के खून की मानींद अहमीयत रखता है। नदामत के आँसू के वो क़तरें जो सजदा मे गुनाहगारों की आँखों से गिरते , इतने किमती है के अल्लाह तआला की रहमत उनको शहीदों के खून के बराबर वजन करती है। एक दूसरी रिवायत मे आप सल्ल° ने फ़रमायाः  7 तरह के आदमी होंगे जिनको अल्लाह क़यामत के दिन अपने साया में जगह देगा
,जिस दिन उसके साया के सिवा और कोई साया नही होगा, उनमें से एक वो शख़्स होगा जिसने तन्हाई में अल्लाह को याद किया और आँखों से आँसू जारी हो गये। (📚बुखारी: 660)

📚 जाम ए तिर्मिज़ी: जील्द 1, किताब अल जिहाद 22, हदीस नं, 1669 )

Share:

Khairat Rokne se hamara Rizk Rok liya jata hai?

Khairat Rokne se Hamara rizaq kis tarah rok liya jata hai?
BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*

Hadith : khairat ko mat roko warna tumahara rizq bhi rok diya jayega.

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----*

RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Khairat ko mat roko warna tumahara rizq bhi rok diya jayega*
Sahih Bukhari - 1433*

RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (maal ko) thelee mein band karke mat rakhna warna Allah subhanahu bhi tumhare liye apne khazano mein bandish laga dega , jaha tak ho sake logo mein khairat taqseem karte rahna.

*🔰Sahih Bukhari - 1434*
____________________________

Share:

Buland Aawaj me Quran padhne wala Shakhs Kaisa hai?

Unche Aawaj me Quran ki tilawat karne wala Shakhs kaisa hai?
*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----*

  Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----*

Uqbah ibn Amir Al-Juhani radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala.

Sunan Abu Dawud, Jild no 1,1320-Sahih

Abu Musa radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us momeen ki misal jo Quran padhta hai aur us par amal bhi karta hai meethe leemu (citron) ki tarah hai jiska maza bhi bahut achcha aur khushbu bhi achchi hoti,*

*Aur wo momeen jo Quran nahi padhta lekin us par amal karta hai uski misal khajur(date) ki tarah hai jiska maza to bahut achcha hota hai lekin khushbu nahi hoti,*

*Aur us munafiq ki misal jo Quran padhta hai Raihana (sweet basil) ke jaisee hai jiski khushboo to achchi hoti hai lekin maza kadwa hota hai*

*Aur us munafiq ki misal jo Quran bhi nahi padhta andrayeen (colocynth) ke phal ki tarah hai jiska maza bhi kadwa aur boo bhi kharab hoti hai.

Sahih Bukhari - 5059(Islam 360)
_________________________

Share:

Kaise Qaum pe Maut ko Musallat kar Di jati hai, Fahasi Ke Nuksanat

Allah Tala Barish kyu leta hai aur Kaise Qaum pe Maut Musallat ho jati hai?
*Bismillahirrahmanirrahim*
--------------------------------------------
Hadith :  jis qaum mein badkari phail jaati hai Allah Subhanahu us par maut musallat kar deta hai*
---------------------------------------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo qaum Ahad todti hai usme Qatl aam ho jata hai,  jis qaum mein badkari
(fahashi) phail jaati hai Allah Subhanahu us par maut musallat kar deta hai aur jo Qoum zakat adaa nahi karti Allah Subhanahu unse barish rok leta hai.

Al-Silsila-As-Sahiha, 1783*
-------------------------------------------------

Share:

Fitne Ke Jamane me Ibadat (Ebadat) Karne Ki Fazilat.

Fitno Ke Daur Me Ebadat karne ki Fazilat.
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM
-------------------------------------------------------
Fitno ke Daur me Ebadat Karne ki Fazilat

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Qatl wa khoonrezi ke Daur me êbaadat karna meri taraf hijrat karne ke manind (tarah) hai -
Sunan Ibn Majah: 3985*

Note: Qatl wa khoonrezi yani fitneh ke zamane me fitneh se door reh kar êbaadat me mashgool rehna Madina ki taraf Hijrat karne ke barabar hai.
--------------------------------------------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS