find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Har Aurat ki Zindagi me yah Char Daur jarur aata hai mager hum kaise Gujarte hai? |Aurat Ke Zindagi ke Daur | stages of women life

Har Aurat ki Zindagi me yah Char Daur jarur aata hai mager hum kaise Gujarte hai? |Aurat Ke Zindagi ke Daur | stages of Women's life

AURAT KI JINDAGI KE CHAR DAUR.

Aurat ki Zindagi ke raste me yun to bahut se mod ate hain magar iss ki Zindagi ke char daur khas taur par kabile zikr hain.






. Aurat Ka Bachpan
. Aurat Balig hone ke baad
. Aurat Bivi ban jane ke baad
. Aurat maa ban jane ke baad

Aab ham Aurat ke in charo zamanon ka aur in waqto me aurat ke farayiz aur in ke hukuk ka mukhtasar tazkira saaf saaf lafjon me tahrir karte hin take har Aurat in hukuk wa farayiz ko ada kar ke apni Zindagi ko Duniya me bhi khushhal banaye aur akhirat me bhi jannat ki laa jawab nematon aur daulaton se safraraz ho kar mala mal ho jaye.
Aurat Ke Zindagi Ke Daur

1.AURAT KA BACHPAN
Aurat bachpan me apne maa-baap ki pyari beti kahlati hai iss jamane me jab tak wah na balig bachchi rahti hai Shariyat ki taraf se na uss par koi chiz farz hoti hai na uss par kisi kism ki zimmedariyon ka koi bhoj hota hai wah Shariyat ki pabandiyon se bilkul azad rahti hai aur apne maa-baap ki pyari aur ladli beti bani huyi khati piti, pahanti odti aur hasti khelti rahti hai aur wah iss bat ki hakdar hoti hai maa-baap, bhai-bahan aur sab rishte nate wale uss se Pyar o MOHABBAT karte rahe aur uss ki dil bastagi aur diljoyi me lage rahen aur uss ki sehat o safayi aur uss ki afiyat aur bhalayi me har kism ki intihayi koshish karte rahe taki voh har kism ki fikro aur ranjo se farighul bal aur har waqt khush wah khurram aur khushhal rahe jab woh kuch bolne lage to maa-baap par lazim hai ki uss ko Allah wa Rasool Sallallau Alaihi O Sallam ka naam sunayen fir uss ko kalima waghaira padayen jab voh kuch aur Jyada samajdar ho jaye to uss ko safayi ke dhang aur salikhe sikhayen uss ko Nihayat pyar wah Mohabbat aur narmi ke saat insani sharafaton ki baten batayen aur achchi achchi baton ka Shauq aur buri baton se nafrat dilayen jab padhne ke kabil ho jaye to saab se pahle uss ko quran sharif padayen. jab kuch aur jyada hoshiyar ho jaye to uss ko paki wa napaki wazu va ghusul waghaira ka islami tarika batayen aur har bat aur har kam me uss ko islami adab se agah karte rahen. Jab Woh saat baras ki ho jayen to uss ko salat (NAMAZ) waghaira jaruriyate deen ki baten talim karen aur parde me rahne ki adat sikhayen aur bartan dhone, khane-pine, sine pirone aur chote mote gharelu kamon ka hunar batayen aur amali taur par uss se ye sab kaam lete rahe aur uss ki kahili aur la parwahi aur shararaton par rok tok karte rahe aur kharab Bure logo (Auraton-Mardon) aur bad chalan gharano ke logon se mel-jol par pabandi laga den aur un logon ki sohbat  se bachte rahen Aashiqana (آشقانہ)  Aasha'ar (آشعار)  aur giton aur Ishq o ma’shuki ke mazamin ki kitaton se gane bajane aur khel tamashon se door rakhe taki bachcho ke akhlak wa adat aur chal chalan kharab na ho jayen. jab tak bachchi balig na ho jaye in baton ka dhyan rakhna har maa-baap ka islami farz hai. agar maa-baap apne in farayiz ko pura na karenge to voh sakht gunahgar honge aur Yahi tarbiyat Larko ke liye Bhi.
2.AURAT JAB BALIG HO JAYE
Jab Aurat balig ho gayi to Allah wa rasool Sallallau Alaihi O Sallam ki taraf se Shariyat ke tamam ahkam ki pabandi ho gayi. ab us par namaz, roza aur hajj va zakat ke tamam masail par amal karna farz ho gaya aur Allah tala ke hukuk aur bandon ke hukuk ko ada karne ki wah jimmedar ho gayi ab uss par lazim hai ke woh khuda ke tamam farzon ko ada kare aur chote bade tamam gunahon se bachti rahe aur ye bhi uss ke liye zaruri hai ki apne maa-baap aur badon ki tazim va khidmat baja laye aur apne chote bhaiyon bahno aur dusre azizon akarib se Pyar wah Mohabbat kare. padosiyon aur rishte nate ke tamam choton, badon ke saath un ke maratib wa darjat ke lihaz se nek suluk aur achcha bartaw kare. achi achi adaten shikhe aur tamam kharab adaton ko chod de aur apni zindagi ko pure taur par islami Nejam me dal kar sachi pakki pabande Shariyat aur imaan wali aurat ban jaye aur iss ke saath saath mehnat wa Mashakkat aur sabro reza ki adat dale mukhtasar ye ki shadi ke baad apne upar ane wali tamam gharelu jimmedariyon ki malumat hasil karti rahe ki Shauhar wali aurat ko kis tarah apne Shauhar ke saath Zindagi Basher karna aur apna ghar sambhalna chahiye woh apni waldain aur badi auraton se puch puch kar iss ka dhang aur salikha sikhe aur apne rahan-sahan aur chal-chalan ko iss tarah sudhare aur samware ki na Shariyat me gunahgar Ho aur na Beradri wa Muashara me koi iss ko tana mar sake.
khane pine, pahanne od ne, sone jagne, bat chit gharaz har kam har bat me jahan tak ho sake khud taklif uthaye magar ghar walon ko aram wa rahat pahunchaye. Bagair maa-baap ki Ejazat ke na koi saman apne istemal me laye na kisi dusre ko de, na ghar ka ek paisa ya ek dana maa-baap ki ijazat ke baghair kharch kare, na bagahir maa-baap se puche kisi ke ghar ya idhar udhar jaye, gharaz har kam, har bat me maa ki ijazat aur Rzaamandi ko apne liye zaruri samajhe. Khane, pine sine, pirone, apne Jism, apne kapde aur makan wa saman ki safayi garaz sab gharelu kam ka Tarika sikh le aur iss ki amali adat dal le taki shadi ke baad apne Sasural me neknami ke saat zindagi basar kar sake aur Mayke walon aur sasural walon ke dono ghar ki Ladli aur pyari bani rahe.
Parda ka khas taur par khayal rakhe. Gair Mahram mardon aur ladkon ke samne Aane jane, tak jhank aur hansi mazak se Intahayi parhez rakhe. Aashiqana ashAr, Akhlak ko kharab karne wali kitabon aur rasayil wa akhbaarat (Newspapers) ko hargiz na dekhe bad kirdar aur be haya Mard-Aurat se bhi parda kare aur hargiz kabhi in se mel jhol na rakhe khel tamasho se door rahe aur Mazhabi kitaben khas Kar Seerat-E-Nabi Aur Aap ﷺ Azwaji Zindagi Kaise baser kiya aur Aap Apne Biwiyo ke sath Kaise Suluk kiya karte they, Hazrat Fatima Raziallahu Anhu, Ayesa Siddiqa Raziallahu Anhu Ki Seerat Padhe.
Farz ibadaton ke saath nafli ibadaten bhi kartI RAHE Jaise Quran Majeed Ki tilawat, Tahajjud Ki Salat (Namaj), Deeni ilm hasil karne me bhi Dilchaspi Rakhe, Ager Pas Ke Madarse Ya Masjid me Dars diya jata ho to jarur Jaye, Pancho waqt ki Namaj Pabandi Ke Sath Ada kare Ager Masjid Me jana ho to Masjid Me jaye Ager nahi Jana Ho to Ghar pe hi Ada kare mager Yad Rakhe Namaj Aap ﷺ ke Aankho ki thandhak hai aur Qyamat ke din Sabse pahle Yahi Sawal Kiya jayega.
Hargiz hargiz bad aqeeda logon ki bat na sune aur Ahle Sunnat wal jamat ke aqaid wa Aamal par nihayat mazbuti ke saath Qayem rahe, koi Bhi Kisi tarah Ki Deeni Malumat pe bagair tahqeeq ke Amal na kare Aur Deen ke mamle me Har Chij ka faisla Quran-O-Sunnat Se le Kisi Peeri, Fakiri aur Dhongiyo Ke chakkar me aaker gumrah na hoye, Khud Ilm hasil kare aur dusro ko bhi usse Raushan kare.
3.AURAT SHADI KE BAAD
NIKAH:-
Jab ladki balig ho jaye to maa-baap par lazim hai ki jald az jald munasib rishta talash kar ke uss ki shadi kar den. rishte ki talash me khas taur se iss baat ka dhyan rakhna behad zaruri hai ki hargiz hargiz kisi bad Mazhab (Gair Muslim) ke saath rishta na hone paye balki Deendar aur pabande Shariyat Jo Quran-O-Sunnat pe Amal karta ho aeise hi ko apni rishtedari ke liye muntahab karen.
Bukhari wa muslim ki hadis me hai ki rasoollullah Sallallau Alaihi O Sallam ne farmaya ki aurat se shadi karne me char chizen dekhi jati hai.
. Daulat mand
. Khandani Sharafat
. Khub Surati
. Dindari
Lekin tum dindari ko in sab chizon par tarjih samjho”
Aulad ki tamanna aur apni zaat ko badkari se bachane ki niyat ke liye Nikah karna sunnat hai aur bahut bade ajro sawab ka kaam hai.
Aurat Jab tak uss ki shadi nahi hoti woh apne maa-baap ki beti kahlati hai magar shadi ho jane ke baad aurat apne shohar ki bivi ban jati hai aur Ab uss ke farayiz aur uss ki jimmedariyan pahle se bahut zyada bad jati hai voh tamam hukuk va farayiz jo balig hone ke bad aurat par lazim ho jate the Ab in ke alava shohar ke hukuk bhi Aurat ke sar par Aa jata hai jis ka Ada karna har aurat ke liye bahut hi bada farayiz hai.
shariyat ke hukum ke mutabik har aurat par farz hai ki woh apne shauhar ke hukuk ko Aada karti rahe aur umar bhar apne shohar ki farma bardari wa khidmat guzari karti rahe.
SHOHAR KE HUKUK:
Allah Tala ne shoharon ko biviyon par hakim banaya hai aur bahut badi buzurgi di hai iss liye har aurat par farz hai ki woh apne shauhar ka hukm mane aur khushi khushi apne shauhar ke har hukm ki tabe Adari karen kyun ki Allah tala ne shohar ka bahut bada haq banaya hai yad rakho ki apne shohar ko razi wa khush rakhna bahut badi ibadat hai aur shohar ko na khush aur naraz rakhna bahut bada gunah hai. Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya ki  “Agar main khuda ke siva kisi dusre ke liye sajda karne ka hukm deta to main auraton ko hukm deta ki woh apne shoharon ko sajda kiya karen.”
Aur Rasoollullah Sallallahu Alaihi O Sallam ne yeh bhi farmaya hai ki”Jis aurat ki maut aesi halat me Aaye ki marte waqt uss ka shohar uss se khush ho wah aurat jannat me jayegi”
Aur ye bhi farmaya ki “Jab koi Shauhar Apne Biwi ko Apne Pas Bulaye to Biwi ko apne Shauhar ke pas jana chahiye"
Aur isi tarah Shauhar pe biwi ka bhi huqooq Hai.
Biwi ki kamo me Madad karna, Khana bnana, kapre Saf karna aur Bacho ki Parwarish Karna yah Biwi ki Jimmedari nahi hai balke Shauhar ko yah sb karna chahiye, Akser Auratein Hi yah Sb Kam kiya karti hai Mager Islam me Yah sb karna Biwi ke liye hai yah kam Koi aur kare Ager Shauhar nahi karta hai to Kisi Gulam ko rakhe kam karne ke liye Mager Biwi Ko yah sb Shariyat me nahi hai karna ager Wah kar rahi hai to Isko Shauhar ko Apne Biwi ka Shukrgujar hona chahiye, Yah insaniyat se kar rahi hai jabke Insaniyat Shauhar-Biwi dono ke liye hai aur Yah Biwi ki Meharbani hai ke yah sb kuchh apne se kar rahi hai to ise Kabhi Shauhar ko Apna Haque nahi Samjhna chahiye Balke yah unki Meharbani hai ke kar rahi hai aap unse Jabardasti nahi karwa sakte ager wo Inkar kar deti hai to Aapko khud karna hoga aap jyadti nahi kar sakte?
Biwi Se Mohabbat karna Aur Narm lahje me Bat karna, Aur Unki Galtiyo Ko Najerandaz karna aur Khoobiyo ki taarif karna.
Jo apne liye Pahne wo Biwi ko bhi pahnaye (matlab Apne Naye naye kapre pahan lena aur baher Resturant me khana kha lena Aur Biwi ka Is mamle me khyal hi nahi rakhna yah Bikul galat hai) unke Jazbat Ki Qader kare aur Unke Sath Acha Suluk kare.
Yad rakhe ke Nabi ﷺ ka farman hai Sabse acha wah hai jo apne Ghar walo ke liye Acha ho to hme Unse behtar suluk karna chahiye.
Biwi ko Khana khilana Bhi Sunnat hai, Aap ﷺ ka farman hai ke Ager Shauhar Apni Biwi ko Ek luqma khana  khila de to isme bhi Sawab hoga isliye Hme In Sunnato pe Amal karni chahiye.
Pyari bahno in hadison se sabak milta hai ki shohar ka bahut bada haque hai aur har aurat par apne shohar ka haq ada karna farz hai shohar ke hukuk bahut zaida hai in me se niche likhe huve chand hukuk bahut zaida kabile lihaz hain.
Aurat Baghair apne shohar ki Ijazat ke Ghar se bahar kahi na jayen na apne rishtedaron ke ghar na kisi dusre ke ghar.
Shohar ki ghair maujudgi me aurat par farz hai ki shohar ke makan aur malo saman ki hifazat kare aur baghair shohar ki Ijazat kisi ko bhi na makan me ane de na koi choti badi chiz kisi ko de.
Aurat hargiz hargiz koi aeisa kaam na kare jo shohar ko na pasand ho, mager Shauhar ka Na jayez hukm Bilkul bhi na mane, Ager Shauhar Quran-O-Sunnat ke khilaf Koi Hukm deta ho to waha pe aapko Unka hukm nahi manni Chahiye.
Maili kuchaili na bani rahe balki Zeb-o-zeenat ikhtiyar kare taki shohar iss ko dekh kar khush ho jaye.
SHOHAR KE SAAT JINDAGI BASAR KARNE KA TARIKHA:
Yad rakho ki Miyan-Bivi ka rishta ek aeisa mazbut talluk hai ki sari umar isi bandhan me rah kar zindagi basar karni hai. agar miyan-biwi me pura pura ittihad aur milap raha to iss se bad kar koi nemat nahi aur agar khuda na kare miyan-biwi ke darmiyan ikhtilaf paida ho gaya aur jhagde takrar ki nobat Aa gayi to iss se bad kar koyi musibat nahi ki miyan-bivi dono ki jindagi jahannam ka namuna ban jati hai aur dono umar bhar Musibat ki Aag me jalte rahte hain.
Iss Jamane me miyan-bivi ke jhagdon ka fasad iss kadar zaiyda fail gaya hai ki hazaron mard aur hazaron auraten iss bala ke Hirasat me hai aur Musalmano ke hazaron ghar iss ikhtilaf ki Aag me jal rahe hain aur miyan-bivi dono apni zindagi se bezar ho kar din raat maut ki dua yen mang karte hain.
iss liye ham munasib samajhte hai ki iss makam par chand yesi nasihaten likh den ki agar mard va aurat in par amal karne lage to allah azzawajal se ummid hai ki miyan-bivi ke jhagton se Muslim muashra paak ho jayega aur Musalmano ka har ghar amano sukun aur aram wa rahat ki jannat ban jayega.
1. Har Aurat shohar ke ghar me kadam rakhte hi apne upar ye lazim kar le wo har waqt aur har hal me apne shohar ka dil apne hat me liye rahe.
2. Har Aurat ko chahiye ki wo apne Shohar ke mizaj ko pahachan le aur dekhti rahe ki uss ke shohar ko kya Kya chizen aur kon kon si baten na pasand hain aur wo kin kin baton se khush hota hai aur kon kon si baton se naraz hota hai utne baitne, sone zagne aur bat-chit me uss ki adat kaisa hai?
3. Shauhar-Biwi Pe lazim hai ki Ek dusre ko kabi jali kati baten na sunaye na kabhi uss ke samne gusse me chilla chilla kar bole na uss ki baton ka kadwa tikha jawab de na kabhi uss ko tana mare na kosne de na uss ki layi/bnayi huyi chijon me Aeib  nikale. iss Qism ki baton se Dono ka ka dill dukh jata hai aur rafta rafta Ek Dusre se nafrat hone lagti hai jis ka anjam jhagde ladayi ke siva kuch bhi nahi hota yahan tak ki miyan-bivi me zabardast bigad ho jata hai jis ka natija yeh hota hai ki ya to talak ki nobat Aa jati hai ya bivi apne maike me baithe rahne par majbur ho jati hai aur apni bhaiyon ke tane sun sun kar kuft aur ghutan ki bhatti me jalti rahti hai aur maike aur susaral valon ke dono khandano me bhi isi tarha ikhtilaf ki Aag bhadak ut ti hai ki kabhi Court Jane ki nobat Aa jati hai aur kabhi mar pit ho kar mukadmat ka ek na khatm hone vala silsila shuru ho jata hai aur miyan-bivi ki zindagi jahannam ban jati hai aur dono khandan lad kar tabaho barbad ho jate hain.
Aeise halat kabhi nahi aane de Aur Shauhar ko chahiye ke Saber aur itminan se kam le, Shauhar ko bhi apni jimmedari samajhni chahiye. Har Chij Biwi hi nahi karegi balke Aapko bhi karna hoga aur Bagair kisi Shikwe shikayat ke, kyu ke yah kam apna hai Dono milker kare aur ek dusre ka Har Raste par sath de, Pareshani, Musibat aur Kisi bhi halat me Ek dusre Pe Aeitbar Rakhe aur Allah se hi madad mange. Aapas me Jhagrane se sabse jyada khush Shaitan hota hai Kyu ke wah Yahi chahta hi hai, Wah sabse jyada Khush tab hota hai jab Shauhar-Biwi Aapas me Jhagra karte hai to shaitan un dono ke bich Judayi Dalna chahta hai wah nahi chahta ke yah dono Ache se Rahe balke Wah apna Maqsad Pura karna chahta hai. Isliye Shaitan ko khush Na kare Balke Apne Rab ko khush Kre.
4. Aurat ko chahiye ki shohar ki amdani ki haisiyat se zaida kharch na mange balki jo kuch mile iss par sabro shukr ke saat apna ghar samaj kar hasi khushi ke saat zindagi basar kare agar koi zevar ya kapda ya saman pasand Aa jaye aur shohar ki mali halat aeisi nahi hai ki voh iss ko laa sake to kabhi hargiz shohar se iss ki farmayish na kare aur apni pasnd ki chizen na milne par kabhi hargiz shikva shikayat na kare na gusse se muh fulaye na tana mare, na afsos zahir kare, balki behtarin tarika yeh hai ki aurat shohar se kisi chiz ki farmayish hi na kare kyu ke barbar ki farmayisho se Biwi  shohar ki nigah me apni ahmiyat kho deti hai. han agar shohar khud puche ki main tumhare liye kya laoon to Mali Haisiyat ke mutabik hi Farmayish kare. Shauhar ko Chahiye ki biwi Ki jaruri samano ka khyal rakhe aur unke kahe bagair hi wah sb kuchh Hajir kar de aur Biwi ki Tamanna aur khwahisho ki Qader kare, unke khawahish ke mutabik Hi apne Samano ki fehrisht taiyar kare, Jaruri nahi ke Aapki biwi har chij aapko bta hi de ho sakta hai ke Jyada Paise Ki wajah se wah nahi kah rahi ho ke kaha se iska Intejam hoga to aeise Mamle me Aapko khud samajh lena chahiye aur unke Kahne se pahle wah Saman Laker hajir kar de.
5. Aurat par lazim hai ki apne shohar ki surat va sirat par na tana mare na kabhi shohar ki tahkir aur uss ki na shukri kar aur hargiz hargiz kabhi iss Qisam ki jali kati boliyan na bole ki hiii Allah. main kabhi iss ghar me sukhi nahi rahi.hay hay mere to sari umar musibat hi me kati. iss ujde ghar me Aa kar main ne kai dekha?mere maa-baap ne mujhe baad me ghonk diya ki muje iss ghar me biyah diya mujhko iss ghar me kabhi aram nasib nahi huva hay main kis fakir se biyahi gayi. iss Qism ke tano aur koson se shohar ki dil shikni yani tor par hogi jo miyan-bivi ke nazuk talukat ki gardan par churi fer dene ke barabar hai zahir hai ki shohar iss Qism ke tano aur kosno ko suna suna kar aurat se bezar ho jayega aur mohabbat ki jagah nafrat wa adavat ka ek aeisa khatarnak tufan ut khada hoga ki miyan-bivi ke khush gavar tallukat ki nav dub jayegi jis par tamam umar pachtana padega magar afsos ki auraton ki yeh adat balki fitrat ban gayi hai ki voh shoharon ko tane aur kosne deti rahti hai aur apni dunya va akhirat ko tabaho barbad karti rahti hai.
6. Shauhar-Biwi ko lazim hai ki hamesha uthte baith te baat chit me har halat me Ek dusre ke samne ba adab rahe aur uss ke yejaz va ikram ka khayal rakhe.  Ek dusre ke aram wa rahat ka intizam kare aur Sharik-E-Hayat ke saat diljoyi ki baten kare aur hargiz hargiz yesi koi bat na sunay na koi aeisa sawal kare jis se Apne Sharik-E-Hayat ka dil dukhe.
7. Agar shohar ko aurat ki kisi bat par gussa Aa jaye to aurat ko lazim hai ki uss waqt khamosh ho jaye aur uss waqt hargiz koi aesi bat na bole jis se shohar ka gussa aur jyada bad jaye aur agar aurat ki taraf se koi kusur ho jaye to shohar ko chahiye ke gusse me aane ke bjaye Adab se pesh aaye aur us Mamle ko lamba na bnaye balke Pyar se bat kare kyu ke Ager Aap se galti ho gayi hoti to kya hota?
8. Aurat ko chahiye ki wo apne shohar se uss ki amdani aur kharch ka hisab na liya kare matlab Apne Shauhar ko yah bat na kahe ke Aap paise ke mamle me bahut hi Kamjor ya fir Dusre log Itne Aage hai aur Hm? Isi tarah Shauhar Ko chahiye ke apni Biwi Ke Khamiyo ko Najerandaz karte rahe aur unki achi bato ki tarif kare aur Unhe is bat ka kabhi ehsas na dilaye ke Aap ka chehra Bahut hi down ho chuka hai ya fir Aap utne hasin nahi hai, yah bahut hi galat hai ke koi apni Biwi ke Shakal o surat ke bare me aeisi soche kyu ke Yah hmare Hath me nahi Aur Shabab jane me waqt nahi lagta, umer har kisi ka Gujarne pe Khubsurati km ho hi jati hai to Aap is tarah ki batein na kare balke unki tarif kare.
9. Jab tak sas aur sasur zinda hain aurat ke liye zaruri hai ki in dono ki bhi tabedari aur khidmat guzari karti rahe aur jahan tak mumkin ho sake in dono ko razi aur khush rakhe warna yad rakho ki shohar in dono ka beta hai razi aur khush rakhe warna agar in dono ne apne bete ko dant dapat kar champ chad di to yakinan shohar aurat se naraz ho jayega aur miyan-bivi ke darmiyan bahami talukat tahas nahas ho jayenge. aurat ko susaral me sas aur sasur se alag rahne ki hargiz kabhi koshish nahi karni chahiye. balki mil zul kar rahne me hi bhalayi hai. kuinki sas aur sasur se bigad aur jhagde ki yehi jad hai aur ye khud sochne ki bat hai ki maa-baap ne ladke ko Parwarish kiya hai aur iss ummid par uss ki shadi ki, ke budape me ham ko bete aur uss ki dulhan se shara aur aram milega. (Yad rakh yah sb ek mashware ke taur pe hai iska koi Shariyat se lena dena nahi hai, ise Quran-O-Sunnat se jor kar na dekhe)
10. Aurat ko agar sasural me koi taklif ho ya koi baat na gavar guzre to aurat ko lazim hai ki hargiz maike me Aa kar chugli na khaye Kyun ki sasural ki choti choti si baton ki shikayat maike me Aa kar maa-baap se karni ye bahut kharab aur buri baat hai sasural balon ko aurat ki iss harkat se be had taklif pahunchti hai yahan tak ki dono gharon me bigaad aur ladayi jhagde shuru ho jate hain jis ka anjam ye hota hai ki aurat shohar ki nazaron me bhi kabile nafrat ho jati hai aur fir miyan-bivi ki zindagi ladayi jhagdon se jahannam ka namuna ban jati hai.
11. Aurat ko chahiye ki jahan tak ho sake apne badan aur kapdon ki safayi ka khayal rakhe. meli kucheli na ban rahe balki apne shohar ki marzi aur mijaz ke mutabik banav singhar bhi karti rahe. kam se kam haat paon me mehandi, kanghi choti, surme kajal waghaira ka ehtimam karti rahe. Bal bikhre aur maile kuchele chudel bani na fire ki aurat ka fohda pan Aam tor par shohar ki nafrat ka bayis huva karta hai khuda na kare ki shohar aurat ke fohda pan ki vajah se tafreek ho jaye aur dusri aurat ki taraf tak jhank shuru kar de to fir Shauhar-Biwi ki zindagi tabaho barbad ho jayegi aur fir uss ko umar bhar rone dhone aur sar pitne ke siva koi chara nahi rah jayega.
12. Aurat ke liye baat bhi khas tor par kabile lihaza hai ki jab tak shohar aur sas aur sasur waghaira na kha pi le khud na khaye balki saab ko khila pila kar khud saab se akhir me khaye. aurat ki iss ada se shohar aur uss ke sab ghar volon ke dil me aurat ki Qadro manzilat aur Mohabbat bad jayegi.
13. Aurat ko chahiye ki sasural me ja kar apne maike valon ki bahut jyada tarif aur badayi na bayan karti rahe kyun ke iss se sasural valon ko ye khayal ho sakta hai ki hamari bahu ham logon ko be Qader samajti hai aur hamare ghar valon aur ghar ke mahol ki tohin karti hai iss liye sasural vale bhadak kar bahu ki be Qadri aur uss se nafrat karne lagte hain.
14. Ghar ke andar sas,nananden ya jethani,devrani ya koi dusri auraten apas me chupke chupke baten kar rahi ho to aurat ko chahiye ki yese waqt me un ke karib na jayen aur na ye justaju kare ki voh apas me khi baten kar rahi hain aur bila vazah ye bad gumani bhi na karen ki kuch mere hi mutallik baten kar rahi hongi ki iss se khamaka dil me ek dusre ki taraf se nafrat paida ho jata hai jo bahut bada gunah hone ke saat saat bade bade fasad hone ka sabab ban jaya karta hai.
15. Aurat ko ye bhi chahiye ki susaral me agar sas ya nanandon ko koi kaam karte dekhe to jhat pat ut kar khud bhi kaam karne lage iss se un ke dil me yeh asar paida hoga ki voh aurat ko apna ghamgusar aur rafike kaar balki apna madadgar samajne lagengi jis se khud ba khud sas nanandon ke dil me ek khas khisam ki mohabbat paida ho jayegi khasusan sas,sasur aur nanandon ki bimari ke waqt aurat ko bad chad kar khidmat aur timar dari me hissa lena chahiye ki yesi baton se sas, sasur, nanandon balki shohar ke dil me aurat ki taraf se jazba e MOHABBAT paida ho jata hai aur aurat sare ghar ki nazaron me vafadar va khidmat guzar samjhi jane lagti hai aur aurat ki nek nami me char chand lag jate hain.
16. Aurat ke farayiz me ye bhi hai ki agar shohar garib ho aur gharelu kaam kaj ke liye nokrani rakhne ki takat na ho to apne ghar ka gharelu kaam kar liya kare.
17. Har Bivi ka ye bhi farz hai ki vo apne shohar ki amdani aur ghar ke akhrajat ko hamesha nazar ke samne rakhe ghar ka kharch iss tarha chalaye ki izzat wa abru se zindagi basar hoti rahe.agar shohar ki amdani kaam ho to hargiz hargiz shohar par boj farmayisho ka bhoj na dale. iss liye ki agar aurat ne shohar ko mazbur kiya aur shohar ne bivi ki mohabbat me karz ka bhoj apne saar par utha liya aur khuda na kare uss karz ka Aada karna dushvar ho gaya to gharelu zindagi me pareshaniyon ka saman ho jayega aur miyan-bivi ki zindagi tang ho jayegi iss liye har aurat ko lazim hai ki sabro kanaat ke saat jo kuch bhi mile khuda ka shukr Aada kar aur shohar ki jitni amdani ho usi ke mutabik kharch kare aur ghar ke akhrajat ko hargiz hargiz amdani se badhe na de.
18. Aurat ho lazim hai ki sasural me pahunch ne ke baad zid aur hatdharmi ki adat bilkul hi chod de. umuman auraton ki adat hoti hai ki jahan koi bat un ki marzi ke khilaf huyi foran gusse me Aag baghula ho kar ulat palat shuru kar deti hai ye bahut buri adat hai lekin maike me chunki maa-baap apni beti ka naaz uthate hain iss liye maike me to zaida aur hatdharmi aur gussa vaghaira se aurat ko kuch zaida nuksan nahi pahunchta lekin sasural me maa-baap se nahi balki sas,sasur aur shohar se wasta padta hai in me se kaun aesa hai jo aurat ke naz uthane ko tayyar hoga?
iss liye sasural me aurat ki zid aur hatdharmi aur gussa aur chid-chida pan aurat ke liye be had nuksan ka sabab ban jata hai ki pure sasural wale aurat ki in kharab adaton ki vajah se bilkul hi bezar ho jate hain aur aurat saab ki nazron me zalilo khwar ho jati hai.
19. Umuman sasural ka mahol maike ke mahol se alag thalag hota hai aur sab naye naye logon se aurat ka wasta padta hai iss liye saach pucho to sasural har aurat ke liye ek imtihan gaah hai jahan uss ki har harkat va sakanat par nazar rakhi jayegi aur uss ke har amal par tankhid ki jayegi. naya mahaol hone ki vajah se sas aur nanandon se kabhi kabhi khayalat me takrav bhi hoga aur iss mokhe par baaz waqt sas aur nanandon ki taraf se jali kati aur tano kosno ki kadvi kadvi baten bhi sunni padegi yese mokon par sabr aur khamoshi aurat ki behtarin dhal hai aurat ko chahiye ki sas aur nanandon ko hamesha burayi ka badla bhalayi se deti rahe aur in ke tano kosno par sabr kar ke bilkul hi javab na de aur chup saad le ye behtarin tarikha amal hai aeisa karte rahne se Insha Allah ek din aeisa ayega ki sas aur nanandon khud hi sharminda ho kar apni harkaton se baaz Aa jayegi.
20. Aurat ko sasural me khas tor par baat chit me iss chiz ka dhyan rakna chahiye ki na to itni zaida baat chit kare jo sasural volon aur padosiyon ko na gavar guzre aur na itni kaam baat kare ki  khushamd ke baad bhi kuch na bole iss liye ki ye ghurur va ghamand ki alamat hai jo kuch bole soch samajh kar bole aur itni narm aur pyar bhare lahzon me baat kare ki kisi ko na gavar na guzare aur koi aeisi bat na bole jis se kisi ke dil par bhi  lage take aurat sasural valon aur rishte nate valon aur padosiyon saab ki nazaron me hardil aziz bani rahi.
______________________________
(Yaha Yah Sari batein jiska koi daleel nahi hai wah sb ek Mashwire Ke liye hai, iska Quran-O-Sunnat se Kisi tarah ka lena dena nahi hai, Sirf Aur Sirf Yah khawateen Hazrat ke islah ke liye Likha gya hai khas ker India ke Auraton ke liye jaha Joint Family Ka riwaj hai, Waha Akser Aurat ko Bahut sari pareshaniya hoti hai Aur hum Ghar walo ko bhi in sari mushkilo ko samajhna chahiye, Hum bhi Insan hai aur Ek Aurat bhi Insan hi Hai aur jab wah Yah sari Kame kar sakti hai to Hum kyu nahi?

Kyu Mard ghar ka kam nahi kar sakte?
Kya mard Khana nahi Bna sakte ya fir Kapre saf nahi kar sakte?
Yah kaha Darj hai ya kaun si Hadeeth me Hai ke Yah Sari ke sari Kam Ek Aurat hi karengi?
Kya Hm Wah sare Mushkil aur Pareshaniyon Ka samna nahi kar sakte?
Ager Yah Mamooli hai to Fir Hm Mard Ise kabhi karne ki koshish kyu nahi karte?
Jis Din Hm yah sare kam karne lag jayenge Us din Hme Bhi Iska Ehsas Ho jayega Kitna Mushkil hai ya Aasan?


Yaha jitne bhi Batein likhi gayi hai iska kisi khas Tabke ya fir Group ke logo ke dilo ko Taklif nahi dena hai balke Hamara Maqsad Sirf Aur Sirf islah hai. Iska Islam se Koi Wasta nahi hai Jaha Hadees ki batein hai wahi sirf uske alawa Yaha ke riwayat ko Dhyan Me rakh kar likha gya, Isse Aap Quran-O-Sunnat Se Hargij Jodne ki koshish na kare Shariyat ki batein Daleel ke sath hoti hai bagair daleel (reference) ke nahi aur Bagair Hadeeth ke Byan nahi kiya jata Hai.
Jazakallah khair kaseera
Share:

10 comments:

  1. Alhamdulillah mai bhi parda karti hoo. Allah ne mujhe parde ki taufeeq farmyai tab se mai Na mehram se nakab ke bagair nahi jati

    ReplyDelete
  2. Masha allah mai bhi Parda karti hoo

    ReplyDelete
  3. Masha Allah mai hamesha aisi hi koshish karti hoo.

    ReplyDelete
  4. From Us
    I will do practical

    ReplyDelete
  5. Bahut ache article maa bahano ke liye

    ReplyDelete
  6. Masha Allah.musalaman bahno aur Mao ko samajhne ki taufeeq ata kare.

    ReplyDelete
  7. Ya Allah protect From Feminism, western and Liberals.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS