Allah ko yad karne wale log kaise Hai?
Bismillahhirrahmanirrahim
________________
1)AL-QUR'AN:* "Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai."
[Surah Ar-Rad (13) Verse 28]
2)AL-QUR'AN:* "Aur Allah ko bahut yaad karne waley mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai."
*[Surah Al Ahzab (33) Verse 35]
*3)AL-QUR'AN:* "Aur jo ALLAH ki yaad se ghafil ho jata hai to hum us par ek Shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai."
*[Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36]
_______________
ALLAH TA'ALA KO YAAD KARNE KI FAZILAT
*HADITH* Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya "Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye."
[Reference: Sahih al-Bukhari 6479
(To make the Heart Tender (Ar-Riqaq))
In-book reference : Book 81, Hadith 68]
_________________
No comments:
Post a Comment