BismillahirRahmanNirRaheem
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
Kya Ghairullah Ka Darr Shirk Hai?
Sawal: Allah ke alawah Dil mein kisi aur ka dar paida hone se kya shirk ho jaata hai?
Jawab: Allah ka darr aur us ka khauf ibadat hai, bandah jitna Allah Taala se darne waala hoga Allah ka utna muqarrab aur Mehboob hoga. Allah Taala ne insaan ko sirf us se (yani Allah se) darne ka hukm diya hai. Farmaan e ilaahi hai:
وَإِيَّايَ فَارْهَبُونِ
Tarjumah: Aur mujh hi se daro.
📚(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 40)
Allah ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَقُولُوا قَوْلًا سَدِيدًا
*Tarjumah:* Aye imaan walo! Allah se darte raho aur seedhi seedhi (sachchi) baat kiya karo.
📚(Surah Al-Ahzaab, Surah No: 33 Ayat No: 70)
Ek doosri jagah irshaad e Rabbani hai:
فَلَا تَخْشَوُا النَّاسَ وَاخْشَوْنِ وَلَا تَشْتَرُوا بِآيَاتِي ثَمَنًا قَلِيلًا
*Tarjumah* : Ab tumhein chahiye ke logon se na daro aur sirf mera dar rakho, meri aayaton ko thode se mol na becho.
📚(Surah Al-Maidah, Surah No: 5 Ayat No: 44)
Yeh darr aur khauf Allah se apni bisaat (taqat) bhar hona chahiye jaisa ki Allah ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ حَقَّ تُقَاتِهِ وَلَا تَمُوتُنَّ إِلَّا وَأَنْتُمْ مُسْلِمُونَ
Tarjumah:* Aye imaan walo! Allah se utna daro jitna us se darna chahiye aur dekho marte dam tak Musalman hi rehna.
📚(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 102)
Goya darne ka mustahiq sirf Allah Taala hai us ke muqable mein kisi se darna Ibadat mein shirk kehlayega.
Is ki do sooratein ban sakti hain.. To be continued
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━
No comments:
Post a Comment