find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Insaan ko Allah ne Kyu Paida kiya?

INSAAN ko Allah ne kyun paida kiya?
*●════════════════════●*
BismillahirRahmanNirRaheem

Allah ne Jinn aur Insan ko sirf aur sirf uski Ebaadat karne ke liye paida kiya.*

Jaisa ke Allah ne khud Quran me farmaya:

*🍃  “Ham ne Jinn aur Insan ko paida nahi kiya magar apne ibaadat ke liye”.*
*📙(Surah 51 Zariyaat : Ayat 56)*

*●════════════════════●*
*🎯 Yaad rahe, Allah ki ibadaat sirf aur sirf Muhammadur Rasoolullah s ke tariqe ke mutabik ki jayegi. Allah ki ibaadat karne me insan apni man-maani nahi kar sakta. Wo shariyat ka paband hai chahe Ibaadat Farz darje ki ho ya fir Sunnat aur Nafil darje ki ho.*
*●════════════════════●*
*🔘Isiliye Allah aur uske Rasool dono ne sirf usi ki “Ibaadat” karne ka aur “Shirk” se bachne ka hukm diya hai…*

*➕Allah ne hukm diya :*

*🍃  “Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siwa tamaam Tagoot (Ma’aboodo) se bacho”.*

*📙(Surah 16 Nahl: Ayat 36)*

*🚩Yaha Taagoot se murad Allah ne alaawa har wo hasti jo Insan se apni ibaadat karwati hai yani Insan ko apni ibaadat karwane ke liye kaheti hai ya bulati hai.*

*➕Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne Kaha ke :*
*🍃  “Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi ki ibaadat Kare, Kisi Ko Uska Shareek Na Kare aur bando Ka Hak Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Kare Usay Azaab Na De”.*

*📙(Sahih Bukhari: 2856, Sahih Muslim : 30)*

*●════════════════════●*
Khalis ek Allah ki hi “Ibaadat” karna uske “Tawheed” ka ek ehem hisaa hai isliye koi shakhs agar Allah ki ibaadat karte huye bhi dusro ki  ibaadat karta ho to goya usne Allah ke sath “Shirk-e-Abkar” kiya. Isi halat me agar us shakhs ki maut ho jaati hai to wo hamesha hamesha ke liye Jahannam me jalata rahega. Jannat me kabhi bhi daakhil nahi kiya jayega.*

*🔘Allah ne khud farmaya hai ke wo Shirk karne walo ko kabhi maaf nahi karega :*

*🍃 إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا*

*🍃  “Use Allah ta’ala qatan (hargiz) na baqshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut door ki gumraahi mein ja pada”.*

*📙(Surah 04 Nisa’a : 116)*
*🚩Aur 1 jagah ne Kaha :*

*🍃 “Yaqeen maano ke jo shakhs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par Jannat haraam kardi hai  (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ )”.
📙(Surah 05 Maydah : Ayat 72)*
●═══════════════●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS