MOHTAAJO KE KARZ MUAF KAR DIYA KARO:
Huzaifa bin yaman Raziallahu anhu se rivayat hai ki,
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
"guzishta ummaton ke kisi shakhs ki rooh ke paas farishtey aaye aur pucha ki tune kuch achche kaam bhi kiye hain?
*Rooh ne jawab diya ki main apney naukron se kaha karta tha ki wo maaldaar (Karzdar) logon ko mohlat diya karey un par sakhti na karein,
aur mohtaajon ke karz ko maaf kar diya karein phir farishton ne bhi us se dar guzar ki aur sakhti nahi ki.."
(Sahih Bukhari: Vol 3, hadees 2077)
No comments:
Post a Comment