find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

12 Rabi ul Awwal (Eid Milad) Ke nam Par Nach gane karna. (Part 05) | Mawlid in Islam

Eid Miladunnabi | 12 Rabi ul Awwal ke Nam Par Mauseeqi karna, Qawwali Bajana, Nach karna aur Julus Nikalna Kya yahi Deen-E-Islam Hai?
art➖ 05
 EID-MILAD-UN-NABI (Sallah Allehyi Wassalam) ke naam par Museeqi aur Naach-Gaane ki mehfilein sajaana, Yaqeenann Islam NAHI, BIDDAT hai.Iss mein KOI Sawab NAHI, balke AZAB hai.

Deen mein 'HAR Nayi Cheez', BIDDAT hai. Aur 'HAR Biddat', GUMRAAHI hai.
Abu Dawood 4609.

Aur 'HAR Gumraahi', AAG (Jahannum) ki taraf le jane wali hai.
Ibne-Khuzaima 1785.

Allah ka Deen MUKAMMAL ho chuka hai.
Ab 'WAHI' ka silsila Khatam ho gaya.-Kahin aur se ya-Kisi aur seab hamare liye Deen NAHI aa sakta.

 *Aaj Maine tumhare liye, tumhara Deen "Mukammal" kar diya.*
Quran 5 :Aayet 3

Nabi (Sallahu Alaihi Wassalam) ne Mukammal taur pe Allah ke Deen ko Tafseel se bayan farmaya hai, .

*Aur isi tarah Hum, Ayaton ko Tafseel se bayan karte hain, taaki woh HAQQ ki taraf Rujoo karein.
Quran 7:Aayet 174

Allah ke is Deen ko BEHTAREEN aur MUKAMMAL taur par"Samajhne aur amal mein laane wale, Sahaba (RA) the".

Allah ko Raazi karna hai to Allah ke Deen ko, jaise Sahaba (RA) ne samjha waise samajhna hoga.

 *Allah in Sab [Sahaba (RA) se RAAZI ho gaya aur woh Sab Usse Raazi ho gaye, aur Usne inke liye Jannatein tayyar farma rakhi hain.
Quran 9:Aayet 100

Kya aap ne un logon ko Nahi dekha, jo Allah ki Ayaton Me JHAGDA karte hain, Wo kahan BHATKE jaa rahe hain?
Quran 40: Aayet 69

Ahle-Biddat, Quran ki Aayat Yunus (10):58 se Jashne Eid-Milad aur iske Ghalat Rasoom ka Jawaaz saabit karne ki koshish karte hain.

 *Farma dijiye! Allah ke is Fazl aur 'Rehmat' par logo ko,"Khush Hona Chahiye".
Quran 10:Aayet 58

Yahan 'Rehmat' se murad "Quran" hai,

-NA ki 'Muhammad (Sallahu Alaihi Wassalam)'
aur
-NA Aap (Sallahu Alahi Wassalam) ki 'Wiladat' aur

-NA hi Aap (Sallahu Alaihi Wassalam) ka 'Yaum-e-Paidaaish'.

"Khush Hona" us kaifiyat ka naam hai, jo Dil mein MEHSOOS ki jaati hai.

Ahl-E-Imaan se kaha jaa raha hai ke QURAN, Allah ka Khaas FAZL hai aur Allah ki REHMAT hai.

Is par unko 'Khush HONA' chahiye.
Khushi (Jashn) MANAANE ko NAHI kaha gaya.

Yahoodiyon ke Naqsh-e-Kadam par chalte hue, Ahle-Biddat, apni 'BIDDAT ki himaayat' mein, Allah ki kitaab (Quran) ka maa'na ko badal kar, logon ko GUMRAAH kar rahe hain.

(Aye Musalmano!) Kya tum yeh tawaqqu' rakhte ho, ke woh (Yahoodi) tum par yakeen kar lenge?
In mein se ek Girohh ke log aise the, ke Allah ka kalaam (Torah) sunte, phir isey samajhne ke baad, Khud BADAL dete', halanke woh khoob jaante the (ki Haqeeqat kya hai aur woh kya kar rahe hain).
Quran 2: Aayet 75

Nabi (Sallahu Alaihi Wassalam) ne farmaya:-
Tum pehli ummato ki ek ek baalisht aur ek ek haath Ittebaa karoge, yahan tak ke agar woh kisi Goh ke suraakh mein daakhil hue honge, tum us mein bhi UNKI Itteba karoge.

Sahabi (RA): Kya is se muraad 'Yahood wa Nasaara' hain?

Nabi (Sallahu Alaihi Wassalam): Aur kaun?
Bukhari 7320.'

Quran aur Allah ke Deen ko,' Apne aur
apne Bade / Buzurg
/Maulviyon ke Zehnon' se Samajhne ka Nateeja hai ke, 
JHOOTI Daleelein pesh kar ke,' Allah, Rasool (Sallahu Alaihi Wassalam) aur Sahaba (RA) par' BOHTAN BANDHNA aur phir Siraat-e-Mustaqeem se BHATAK jaana hai.

 Agar woh (log) WAISE Imaan laayein, jaisa SAHABA (RA) ne Imaan laaya to phir Waaqi'i HIDAYAT paa jayenge.
Quran 2: Aayet 137

Aur us se Badh kar ZAALIM kaun hoga, jo ALLAH par Jhoota BOHTAAN baandhe.
Quran 6: Aayet 93

Nabi (Sallahu Alaihi Wassalam) ne farmaya:-
"Jo shakhs meri taraf aisi baat mansoob kare, jo maine NAHIN kahi ho, woh apna Thikana JAHANNUM bana le."
Bukhari 109.

Nabi (Sallahu Alaihi Wassalam):-
Agar tum, apne bhai ke baare mein woh baat bayan karo, jo us ke andar maujood NA ho, to goya tumne us par BOHTAAN (iljam) baandha.
Muslim 6758.

TEHQEEQ karein!

*Aye Imaan walo! Agar tumhare paas koi Fasiq koi Khabar laaye, to KHOOB TEHQEEQ kar liya karo.Aisa na ho ke LAA-ILMI mein tum kisi Qaum ko Nuqsaan pahunchao aur phir apne kiye par Pachtaate reh jaao.
Quran 49: Aayet 6

अफसोस उन पर जिन्हें नबी के पैदाइश का जशन याद है,
      नबी के आने का मिशन याद नही..!

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS