find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Bina Tahqeeq ke kisi se Ilm Hasil karna.

Bagair Tahqeeq kiye Kisi se Parhna kaisa hai?
BismillahirRahmanNirRaheem
_____________________
BINA TAHQEEQ HAR KISI SE ILM LENA:
✏ Har kisi se ‘ilm lena Salaf ka Manhaj (tariqa) nahin, jab tak ki sunnat ke mu’amley me uska haal dekh na liya jaaye.

🔸Salaf mein ye baat kahi jaati thi:

“Yeh ‘ilm (Qur’an wa Hadees ka ilm) Deen (Islam) hai, lihaaza tum dekh lo ki apna Deen kis se le rahey ho.”
🔹Aisa koi firqa nahi hai jo ye kahe ke ham Quran Wa Hadees ko nahi mante. Saare Firqe Qur’an Wa Hadees ko man’ne ka Dawa karte hai lekin lekin lekin,

Jo “Ahle Shirk, Ahle Bidat, Ahle Raay, Ahle Hawa aur Ahle Kalam” hote hai apke samne Quran Wa Hadees hi pesh karenge lekin uski Taawil karte huye GALAT TAFSEER, GALAT TASHRI pesh karenge lihaaza Gumrah Ulema se ilm na le halanke wo Qur’an Wa Hadees pesh kar rahe ho isliye ke Quran ki galat Tafseer aur Hadees ki galat tashri hi Musalmano ke gumrahi ka sabab hai.
📚 Ye Manhaj-e-Salaf Nahin! – Shaykh Muhammad Bin ‘Umar Baazmool Hafizahullah ki giraan qadr naseehaton ka ek mukhtasar majmu’ah

-Ustaad Abu Zaid Zameer hafizullah.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS