Apne aapko pahle Dekhe "Hukumat" ko nhi.
---------------------------------------------
Allama Eqbal ne kaha:-
Apne qiradar pe daal kar parda Iqbal,
Har shaksh kah raha hai zamana kharab hai.
Allah se rahe door to "Politics" bhi Fitna hai.
--------------------------------------------
Aaj ka Naujawan Deen ko chhor kar Politics kr rahe hain.
"Aqida" se door, "Namaz" se door, Manhaj ka koi ilm nhi, Or Politics me aage jana chahte hain.
Un logo ko ye baat yaad rakhna chahiye ki *Ham apne Deen ko chhor kar Politics me aage nhi badh Sakte hain.
*Muslims Ki pareshaniya kaise door hogi?* 👇
Al Quran : Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai.
📚(Surah Ash-Shura(42), 30)
👉 *Al Quran: Allah tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta aur agar wo tumhey chorh de to phir kaun hai ki tumhari Madad karey ? Aur Momeeno ko chahiye ki Allah hi par bharosa rakhe.
📚(Surah Aal-e-Imaran , 160)
Aao ham Allah ki Rassi ko Mazbooti se pakde (Quran or hadees ki baato ko amal kre or deen me poora poora dakhil ho jaye)
📚 (Quran surah 3 ayat 103)
👉 *Muslims ki Preshaniya Sarkar badalne se nahi door hogi Balke Deen ko padhne Aur Amal karne se hogi.
Sabse pahli baat ye hai ki kisi ko bura bhala kahne se pahle hme apne aapko dekhna chahiye ki hum apne level pe (jitni hamari hasiyat hai) us level pe ham kya kar rahe hain, Deen-islam ke liye, Apne liye, Ebadat ka sahi tareeqa janne ke liye ham kya kar rahe hain, ham apne parosi ke sath kisa sulook kar rahe hain, hamare akhlaq kaise hain. wagaira wagira.....
👉 🔴 Yaad Rahe, Agar hamari Ebadat Rasoolallah ﷺ ki tarh na hui to qubool hi nahi hogi to koi fayda nahi aisi ebadat ka.
*"Molana Abul kalam Azad" (First Education ministre) ke bare me aap padhiye to aapko pta chalega ki wo politics me bhi Bahut ache the or Deen me bhi bahhut Ache or Aala ilm rakhte the.
Jab tak deen ka Amal Achaa nhi tab tak Aap Politics me bhi Achaa nahi kar payenge.
📚(Ref:- India wins freedom)
Khamosh Mizaji Tumhe Jeene Nahi Degi.
Is Daur Mein Jeena Hai To ISLAM Batado.
Allah ham sab Naujawano ko Deen ke sahi ilm or Uspe amal ki taufeeq de (Aameen).
Forward ज़रूर करे(अल्लाह अज्र देगा)
No comments:
Post a Comment