find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Salat ko Namaz Bol Sakte hai?

Yah Namaj kaun Si Ebadat hai Kya yah lafj kahi Quran me Maujood Hai?
Aksar is ayat ka ye translation kiya jata hai:

“Aye Iman walo, Sabr aur Namaz ke zariye Allah ki madad chaho”.
(Surah Baqrah ayat 153)

Ye kis tarah ka tarjuma hai. “Sabr” ko Arabic me likha gaya aur “Namaz” ko “Parsi” me likha gaya halanke “NAMAZ” ko Arabic me “SALAT” ka lafz maujud hai. Haqiqat ye hai ke Qur’an wa Hadees me bhi “Salat” ka hi lafz itemaal kiya gaya hai.

Agar kisi ka naam Arabic me “JAMEEL” hai to kya usko ham English “Mr. Handsome” kahenge? English writing me bhi usko JAMEEL hi likha jata hai.

Isi tarah “SALAT” ek ibadat ka naam hai aur wo Arabic se aya hai isliye usko Urdu me bhi “SALAT” hi likha aur kaha jayega. “NAMAZ” ye naam Parsiyo ke ibadat ka naam tha.

Allah ham sabko nek Tawfeeq de.
Wallahu alam.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS