find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

4 Din Tak Qurbani Ke Dalail. (Part 06)

Chaar Din tak Qurbani ke Dalail.

‼Topic Number : 166‼

*☘ 4 DIN TAK QURBANI KI DALEEL QURAN MAJEED KI ROSHNI ME☘*
                     *Part : 6*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

*_As salamu Alekum..._*

*⛔ Daleel Nabi ﷺ Ki Hadees se :-*
* Ek Sahabi Rasool ﷺ se marwe hai k Allah k nabi ﷺ ne ek Gaffari Sahabi se Kaha : Tum Khdhe ho aur Aylan kar do, k Jannat m sirf momeen he jayenge, Aur Ayyam e Meena ( Ayam e Tashrik ) ye khane peene k din hai, ibne Jareer kehte hai inke Ustaad Suleman bin musa is hadees ko bayan karte huwe Zubah k lafz ka izafa kiya h. yaani wo ye bhe rewayat karte the k ye zubah k din h.*
_Sunan Al Kurba Al Behqe : 368/6_
*☑ Iske Tamam Rawe seqa Sabit h*

*⛔ Daleel Sahabi e Rasool ﷺ se :-*
* Imam Nawe r.a Faramate Hai :-* jaha tak Qurbani k Akhri waqt ka masla h to is selsele m *Imam Shafe Kehte Hai Youm Zuha Aur iske baad Tashrik k teeno dino m Qurbani jayaz h. Aur Yahe baat Ali bin Abe Taleeb, Jubair Bin Mut'am, Aur Abdullah bin Abbas r.a ne bhe kahe h.*
_Shrah Saheh Muslim: 13/111_
⭕Wazeh Rahe k Zubair Bin Mut'am r.a Kaye Ahadees se h k *" Ayyam e Tashrik Qurbani k din hai. "*

*⛔ Tabyeen Se Daleel :-


_Imam Ataa, Imam Hasan, Amirul Momeenen Umar bin Abdul Aziz, Imam Zahri, Ibraheem Nakhwe, Imam Mahkul, Imam Awzaye, Imam Suleman bin musa Rahemullah se sabit h lekin ham yaha sirf ek ka he zikr kar rahe h._

*Imam Ahle Makka Ataa bin Reba*
Imam Tahwe rahemullah kehte hai k Imam Hasan aur Imam Ataa ne kaha k Qurbani Ayyam e Tashrik k Akhri din tak h. ( yani eid se lekar char din tak h. )
_Ahkamul Quran Tahawe : 206/2_
_Bahqe : 499/4_
_☑ Isnad Hasan_

*⛔ 4 Imam Ka Mokif :-*
* Imam Abu Hanifa r.a :-*
Imam Abu Hanifa r.a kithne din k Qayal h iske Koi Saheh Sanad nahe mile.

* Imam Maleek r.a :-*
Aap ne 3 din ka mokif apnaya h Galeeban Moatta m Ibne Umar ki Daleel ki bunyaad par, lekin yaad rahe khud ibne Umar se 4 din bhe sabit h.

* Imam Shafaye r.a :-*
Imam Shafaye ne apne kitab m Farmaya : Tashrik k Akhri din tak ( 13 zil hejja ) suraj groob hone k baad agr koi Qurbani kare to iske Qurbani nahe hoge.
Yaani k Imam Shafaye k nazdeeq suraj guru hone k pehle agr Qurbani kare to Qurbani hoge.
Sabit huwa k imam Shafe bhe 4 din k Qayal hai.

* Imam Ahmad Bin Hambal r.a :-*
Aap ki taraf dono Aqwal mansoob h.
Imam ibne kaseer Rahemullah ne aap ki taraf 4 din ka mazhab bataya h.
_Tafseer Ibne Kaseer: 416/5_

Next part is selsele ka last part hoga jisme ham Mohaddaseen se bhe 4 din Qurbani ko sabit karenge insha Allah...

*To Be Continue...*
____________________________________

FORWARD TO ALL & GET SAWAB E JARIYA 

Share:

4 comments:

  1. qurbani char din karna chahiye

    ReplyDelete
  2. Allah hame sahi samajh ata kar

    ReplyDelete
  3. nice and authentic information

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS