find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qurbani karne ki Dua, (Nabi kaun se dua padhker Qurbani karte thay)

*Bismillah irrahman irrahim*
__________________________________

*✦Rasool Allah ﷺ  Qurbani Karte To Ye Dua Padhte*

*إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ*
*إِنَّ صَلاَتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَاىَ* *وَمَمَاتِي*
*لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ*
*لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ*
*اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ عَنْ مُحَمَّدٍ وَأُمَّتِهِ*
*بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ*
------------
✦ Jabir bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah salalalhu alaihi wasallam ne eid ke din do maindho ki Qurbani ki, jab Aap sal-Allahu alaihi wasallam unko Qibla rukh kiya to ye kalimat irsad farmaye

*✦ inni wajjahtu wajhiya Lillazi Fataras samawaati wal arda*
*hanifaw wamaa ana minal mushrikeen.*
*innassalaati Wa Nusuki Wa Mahyaya Wa Mamati Lillahi Rabbil A'lameen.*
*La sharika lahu Wa bizaalika umirtu Wa Ana awwalul muslimeen.*
*Allahumma Minka Wa laka Aan Muhammadiw wa ummatihi*
*Bismillahi Wa-Allahu Akbar*
------------
*📌Note:*
1. Agar Qurbani khud ki taraf se ho to Aan
Muhammadiw wa ummatihi ki jagah Haza Anni kahe.
2. Agar Qurbani kisi aur ki taraf se ho to Haza Aan......
ke baad uska name le misal ke taur par uska naam Abdullah ho to Haza Aan Abdullah kahe.
------------
*📚Sunan Ibn majah, Jild 3, Hadith 2-Hasan*
---------------------
✦ Tarjuma : Main Apna rukh us zaat ki taraf karta hu jisne Aasman aur zameen ko paida farmaya aur aur main shirk karne walon mein se nahi hu bila shuba meri namaz aur meri qurbani aur mera Jeena aur mera marna sab Allah-Rabbul-Aalameen ke liye hai jiska koi sharik nahi hai

Aur mujhe isee ka hukm diya gaya hai aur main sabse pahle islam lane walo mein se hu , Eh Allah ye Qurbani teri hi Ata se hai aur teri hi raza ke liye hai,

Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) aur unki ummat ki taraf se
(Allah ke naam ke saath aur Allah sabse bada hai)
---------------------
*📚Masnad Ahmed 14725-Sahih*

*📚Sunan Ibn Maja, Jild 3, Hadith 2-Hasan*

*📚Al-Baihiqi-6832-Hasan*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS