find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kaisi Ladki Se Shadi kare Jisse Shadi ke Bad Zindagi Mohabbat Se Gujre?

Kaisi Ladki Se Shadi karne bad O Mohabbat  Karegi?

Kaisi Ladki Se Shadi ki jaaye jo Bahut Mohabbat karegi? Kaun Si Ladki Shadi ke Bad Mohabbat Karegi?
Kaisi Larki Se Shadi Karna chahiye?
  Hazrat Maaqal bin Yasar (rz) se rivayat hai ke aik aadmi rasool Allah ke paas aaya kaha aye Allah ke rasool aik aurat se mein nikah karna chahta hon jo bade khandan ki hai aur khobsorat hai lekin banjh hai kya mein nikah kar lon? to Aap ney nahi, dosray din bhi yahi sawal kiya to Aap ne kaha nahi, teesray din bhi kaha nahi, phir kaha tum ziyada mohabbat karne wali aur ziyada bachay dainay wali Aurat se Nikah karo, mein kal qayamat ke din tamam ummton par badi ummat hone par fakhr karoon ga (Abudaod).
is hadees mein Rasoolullah ne banjh aurat se sahabi ko mana farmaya to ye hokum sab ke liye bilkul mana nahi hai balkay is Sahabi ke liye Aap ka mahswara tha, warna totally mana nahi hai banjh aurat se bhi nikah bilkul kya ja sakta hai. Yahan par Nabi ney aik aisi aurat se nikah karne ki targheeb dilaai jis me 2 khoobiyan hon, ziyada bachay dainay wali aur ziyada mohabbat karne wali. ab yeh kaisay pata chalay ke kon ziyada bachay dainay wali hai? ziyada bachay dainay wali ko pehchanney ka tareeqa yeh hai ke is ke khandan mein dekha jaayegaa, is ki maan, is ki behan, khaala, phopi un ko dekh kar maloom kya ja sakta hai, ya agar shadi shuda hoto maloom hoga. ab doosra masla yeh hai ke ziyada mohabbat karne wali hai yeh kaisay pata chalega?
is ka jawab yeh hai ke jo bhi ziyada bacche dene wali ladaki hogi fitri tour par ziyada mohabbat bhi kere gi. Allah taala ney jis aurat mein ziyada aulaad ki salahiyat rakhi hai us mein ziyada mohabbat bhi rakhi hai .
ladki ke mohabbat karne ki doosri alamat larki ki maan hai agar wo apne shohar ki izzat karti hai is ki tareef karti hai itaa’at guzaar hai to is bachi mein bhi woh sifat ajati hai, us ladaki ka baap apni biwi ki bohat izzat karta hai mohabbat karta hai ehtram karta hai to bhi bachi mein mohabbat ki sifat hoti hai, agar biwi shohar ko gaali day shohar biwi ko gaali day dono aik dosray ki shikayat karte hain dono mein mohabbat nahi payi jati hai to aisay maan baap ki ladaki mein bhi muhabbat mushkil hai, lekin mukammal namumkin nahi hai, mushkil to zaroor hai.
Agar baap bohat zulm karne wala hai to aisay aadmi ki ladaki ke dil mein mardon se nafrat hoti hai nafsiati aitbaar se aisi bachi sab mardon ko zalim hi samjhti hai, aik ajeeb tarah ki nafrat ki kaifiyat chhai hui rehti hai .
kuch mawaqah par Rasoolullah ney kunwari ladki se nikah par ubhara hai is ki bunyadi wajah yeh ke woh ziyada mrodn se waaqif nahi hoti hai, is ki shohar se paheli mohabbat hoti hai, jab aik martaba mohabbat hojati hai to phir zindagi bhar chalti hai, mardon se nawaqif honay ki wajah ziyada dheyaan apane hi shohar par lagati hai, choti cheez par bhi raazi hojati hai, dosaron se muhabbat rakhnay ke bajaye apne hi shohar se ziyada muhabbat rakhati hai. in tamam khoobiyon ki wajah aap ney targheeb dilae ke kunwari se karna behtar hai lekin is ka hargiz matlab nahi ke shohar deedaa yaani bewa ya muatallaqa mean khoobiyan nahi hoti hain, balkay bewa ya mutallqa men bhi bohat saari khoobiyan hoti hain.
Agar bewa ya mutallqa deendar hai to is mein mamala fehmi hoti hai, shohar kin cheezon se khush hota hai aur kin se naraaz hota hai is ka ilm is ko pehlay hi se rehta hai, is ko samjhane ki zaroorat nahi hai, bohat saaray mamlaat jahan shohar ko samajh mein nahi aata wahan yeh shohar deedaa biwi rahnumai karti hai, yeh kanwari larki ko gharelo kamon mein pakwaan mein umoor khanah daari mein aik lambi tarbiyat aur sabr ki zaroorat rehti hai yahan aisa nahi hota hai balkay umoor khanah daari se mukammal waaqif hoti hai. aik shohar umdah khaano ka shoqeen hota hai jis ko yeh khatoon bakhoobi injaam deti hai.
Bewa ya mutallaqa se nikah karna koi ghalat baat nahi hai kyun ke Nabi ki saari biwiyan mutallqa ya bewa hi theen siwaye amma aisha Sadiqa (rz)ke. yaqeenan aulaad dainay wali aurat se nikah ki targheeb di gayi hai agar Allah ney muqaddar mein aulaad nahi rakhi hai to is par sabr bhi karna hoga. jaisay ibrahim (alahissalam)aur zakaria (alahissalam) ney sabr kya, un dono nabiyo ko lambi muddat taq aulaad nahi hui unhon ney nah un ko tana diya nah zulm kya nah Talaq diya. balkay Allah se dua karte rahay .
1 Arabi dehati se poocha gaya ke kis taraha ki aurat se nikah kya jaye to us ney kaha sab se behtareen aurat wo hai jo qad mein onchi ho, jab baithy to Muazzaz lagey, jab baat kere to sach bolay, jab gussa aeye to burdbaari se kaam le, yani gussa ka foran izhaar nah kare, jab hanse to muskuraye, agar koi cheez pakaye to lazeez wa mazedar banaye, shohar ki itaat kere, ghar se bahar intehaai zaroorat par hi niklay, takabbur se pak ho, ziyada mohabbat karne wali aur ziyada bachay dainay wali ho .
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS