HAIZ AJANE PAR AURAT KO APNA ROZA MUKAMMAL KARNA CHAHIYE YA TOD DENA CHAHIYE
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Agar Aurat ko haiz/period ghuroob e aftaab(suraj dhalne se pahle) se pehle shuru hojaye, yahan tak ke ek lamha pehle bhi aajaye to aurat ka roza batil hojayega aur use us din ki qaza karni padegi
Sheikh Ibn Uthaymeen(r.h) ne Majaalis Shahr Ramadaan Pg : 39 aur Mazmoon Al-Dima’ Al-Tabee’iyyah li’l-Nisa Pg : 28 Mei kaha ke
Agar aurat ko haiz/period roze ki halat mei shuru hota hai, phir chahe ghuroob e aaftaab se ek lamha pehle hi kyun na ho iska roza batil hogaya aur aurat ko iski qaza karni hogi.
Haiz ki halat mei roze rakhna iske liye jayez nahi hai, agar wo aisa karti hai to iska roza sahih nahi hai.
Sahih qoul ke mutabiq Agar wo mehsoos karti hai ke uska haiz shuru hone wala hai lekin ghuroob e aaftab ke baad tak kuch bhi baher nahi aata hai to uska roza mukammal hogaya hai aur fasid nahi hua.
__________________________________
Ibn qudaamah(r.h) Ne Al-Mughni(4/397) mei kaha
Agar haiza aurat roza rakhne ka irada karti hai aur khaane peene se ruk jaati hai agarche ye is baat se aagah hai ke ye haraam hai to wo gunehgaar hai aur ye ke roza ise kuch faida na dega.
__________________________________
Ibn qudaamah(r.h) Ne Al-Mughni(4/397) mei kaha
Agar haiza aurat roza rakhne ka irada karti hai aur khaane peene se ruk jaati hai agarche ye is baat se aagah hai ke ye haraam hai to wo gunehgaar hai aur ye ke roza ise kuch faida na dega.
Haiza aurat aur nifaas(bleeding after child birth) wali aurat ek taur par shumaar hongi kyunke nifaas ka khoon haiz ke khoon ki tarha hai so wo(nifaas) isi(haiz) ke ahkaam ke tahet aata hai. Agar haiz din ke waqt shuru hota hai to is din ka roza batil hojayega chahe din ke shuru mei aaye ya aakhir mei aaye.
__________________________________
Standing Committee(10/155) se sawaal kiya gaya ek aurat ke talluq se jisne roza rakha aur jald hi ghuroob e aaftaab se pehle aur azaan se pehle iska haiz shuru hogaya to kya iska roza sahih hai?
__________________________________
Standing Committee(10/155) se sawaal kiya gaya ek aurat ke talluq se jisne roza rakha aur jald hi ghuroob e aaftaab se pehle aur azaan se pehle iska haiz shuru hogaya to kya iska roza sahih hai?
Inhone jawaab diya :Agar uska haiz ghuroob e aaftaab se pehle shuru ho gaya to iska roza batil hogaya aur use iski qaza karni hogi. Aur agar haiz ghuroob e aaftaab ke baad aagaya to uska roza sahih hai aur use iski qaza nahi deni hogi.
WALLAHU AALAM
Assalamu alaikum...kya spotting hone par bhi roza aur Namaz padhna wajib hai???
ReplyDeleteRamzan me haiz ke mutaabiq bayanat.
Deletehttps://findmrf.blogspot.com/2020/05/ramzan-me-haiz-ka-byan-haiz-se-motalliq.html
Assalamu alaikum...kya spotting hone par bhi roza aur namaz padhna wajib hai??
ReplyDeleteWah kaun kaun se kam jisse roza toot jata hai?
DeleteIftar ka waqt aur usme padhi jane wali Dua.
https://findmrf.blogspot.com/2020/04/iftar-ka-waqt-aur-uske-masail-iftar-ki.html
Kya Napaki ki halat me sehri kha sakte hai aur Roza rakh sakte hai?
https://findmrf.blogspot.com/2019/05/kya-na-paki-ke-halat-me-sehri-kha-sakte.html
Kya Sehri Mubaarak yah #Chand_Mubarak kahana Jayez hai?
https://findmrf.blogspot.com/2019/05/kya-sehri-mubarak-ya-chand-mubark-kahna.html
Sehri Khane ka sahi waqt aur usse Jude Masail.
https://findmrf.blogspot.com/2019/05/sehrikhanekawaqt.html
Roze ki niyat ke Masail, kya har roze ke liye alag se niyat karna hoga?
https://findmrf.blogspot.com/2020/04/roze-ki-niyat-ke-masail-kya-har-roze-keliyeniyatkarnahoga.html
In sawalo ka jawaab janane ke liye link par click karein
Namaj roza aur hazz ke mutalliq Haiz ke masail Part 01
Deletehttps://findmrf.blogspot.com/2020/05/namaz-roza-aur-hazz-se-motalliq-haiz-ke.html
Namaj roza aur hajj se mutalliq Haiz ke masail part 02
https://findmrf.blogspot.com/2020/05/namaz-roza-aur-hazz-se-motalliq-haiz-ke.html
Agr roza rkha ha gusl krny k bad r phr dag lg jta ha rozy ki halt ma to kia byab ha
ReplyDeleteRoza me Haiz se jude savalat aur unke jawabat.
Deletehttps://findmrf.blogspot.com/2020/05/ramzan-me-haiz-ka-byan-haiz-se-motalliq.html
Assalamualaikum
ReplyDeleteAgr koi aurat haiz ki halat mein roza rakhe kiuki woh dar rhi ho ki sabko pata na chl jaye to kya woh jayaz hai
Darne wali bat isme kuchh bhi nahi hai, Haiz ki halat me roza nahi rakhna hai.
DeleteJyada jaankari ke liye Search box me "Haiz" Type karke search kare
Wah kaun kaun se kam hai jisse roza toot jata hai.
ReplyDeletehttps://findmrf.blogspot.com/2022/04/wah-kaun-kaun-se-kam-hai-jisse-roja.html
Roze me Haiz o nafas ke ahem masail.
https://findmrf.blogspot.com/2020/05/roze-me-haiz-o-nafaas-ke-aham-tareen.html