ROOZE KI HALAT MAI BEHUDA, FAHASH AUR JAHALAT K KAAM KISI KO GALI DEYNA MANA HAI
✔Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kehte hai k _Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam_ ne famaya: "Rooza khane peene se rukne ka naam nahi balke behuda aur fahash kaamo se rukne ka naam hai, lihaza agar roozedaar se koi gaali galooch kare ya jahalat se paish aye to use keh dena chahiye Mai roozey se hun (yani tumhara jawab nhi dunga)".
(Sahih Ibne Khuzaima, Hadees no.1996)
✔Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu _Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam_ se riwayat karte hai "Roozey ki halat mai kisi ko gaali na do agar koi doosra gaali de, to use keh do mai roozey se hu, agar khadey ho to baith jao".
(Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 1994)
No comments:
Post a Comment