find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

wuzu Ke Faraiz Shuru Se Aakhiri Tak.

Wuzu Ke Dauran ki Sunnat

1. Bismillah padhna.
2. Wazu shuru karte waqt teen martabah haathon ko dhona.    
3. Chehra dhone se pehle kulli karna aur naak mein paani chadhana.   
     
4. Baayen (Left) haath se naak ka paani jhaadna
5. Kulli karne aur naak mein paani chadaane mein mubalghah karna lekin roze ki haalat mein mubaalghah nahin karna.
Kulli karne mein mubaalghah ka matlab hai ki paani ko munh mein achchi tarah ghumaana aur naak mein paani chadhaane mein mubaalghah ka matlab hai ki paani ko naak ki jad tak pahunchaa dena.
6. Ek hi chullu se munh aur naak mein paani chadaana : Aadhe se kulli karna aur aadhe se naak main paani chadana phir apne baayen haath se naak ki safayi bhi karna hai.
7. Wazu ke waqt miswaak karna.
8. Chehra dhote waqt ghani daadhi ka khilaal karna.
9. Donon haathon ko kohniyon tak dhona.  
Pehle daayen (right) haath ko kohni tak phir baayen haath ko kohni tak teen teen martabah  dhona hai. Dono haathon ko kohniyon samet dhona hai.
10. Sar ka masah karna : Donon haathon ko sar ke ibitdaayi hisse se shuru karke guddi ke aakhir tak le jaakar phir ibtedaayi sar tak donon haathon ko waapas le aana jahaan se masah shuru kiya tha. Gardan ke masah karne ki zaroorat nahin.
11. Kaanon ka masah karna : Kaanon ke andar se donon shahaadat ki ungliyon ke saath aur bahar ko angoothon ke saath masah karna.
12. Pairon ko takhnon samet dhona 
13. Haathon aur paaon ki ungliyon ka khilaal karna.
                                     
14. Daayen taraf se shuru karna :  Yani haath dhote waqt pehle daayen haath se aur paaon dhote waqt pehle daayen paaon se shuru karna. 
               
15. Chehra, donon haath aur donon paaon dhote waqt ek dafa se ziyaadah teen dafah paani istemaal karna.
16. Wazu ke baad Kalima-e-Shahadatain padhna :
'Ash-hadu 'an laa 'ilaaha 'illallaahu wahdahu laa shareeka lahu wa 'ash-hadu 'anna Muhammadan 'abduhu wa Rasooluhu.
Faidah : Wazu ke baad jo shakhs in kalimaat ko padh leta hai Allaah ke Rasool (Salla Allahu Alayhi Wasallam) ka farmaan hai : Uske liye Jannat ke aathhon darwaaze (all the 8 doors)  khul jaate hain jis se uski marzi jannat mein daakhil ho.
(Sahih Muslim : 576)
17. Ghar mein wazu karna : Jo ghar se wazu karke masjid ki taraf farz namaz ki adaayegi ke liye nikalta hai to uske qadmon ki yeh haalat hoti hai ke ek qadam se gunah girte hain aur doosre se darjaat buland hote hain
(Sahih Muslim : 1519)
18. Paani ke saath ya baad mein har azu par achchi tarah se haath ghumaana (taake koyi jagah khushk na rah jaaye
19. Paani ziyadah istemaal na karna
20. Wazu karne ke baad do rakat namaz ada karna : Rasoolullah (Salla Allahu Alayhi Wasallam) ka farmaan hai : Jis ne mere is wazu jaisa wazu kiya aur phir do rakat namaz ada ki jis mein usne apne nafs se koyi baat na ki to uske saare gunah muaaf kar diye jaate hain
(Sahih Bukhari : 159)
Source : Din raat mein 1000 se ziyaadah sunnatein by Shaykh Khalid al-Husainan
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS