find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaj Me Hath (Niyat) Kaha Bandhna Chahiye? Seene Par Ya Naaf Pe.

Namaz me Seene Par Hath bandna hai Naaf Par Nahi.


بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم 

Halab Razi Allahu Anhu farmate hain ke maine Rasool Allah Sallallahu Alaihiwa Sallam  ko namaz me seene par hath rakhe huve dekha.
Musnad Ahmad jild 5 page 226, Hadith-2, 2313,
Hafiz ibne Abdul Bar aur Allama Azeemabadi ne ise Saheeh kaha
Waeel bin Hajar Razi Allahu Anhu. Rasool Allah Sallallahu Alaihiwa Sallam  ki Namaj ka tareeqa bayan karte hue farmate hain ke
Aap ne dayan hath ko bayen hath ki hatheli ki pusht iske jod aur kalayi par rakha. Sunan Nasai al Iftetaah 889,
Ise Imam Ibne Hibban 1485 aur Imam Ibne Khuziama 480 ne Saheeh kaha
Hamen bhi dayan hath bayen hath par is tarha rakhna cahiye ke dayan bayen hath ki pusht jod aur kalayi par ajaye aur dono ko seene par baandha jaye take tamaam riwayat par amal ho sake.
Sahal bin Sa’ad Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki
Hame Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam  ke zamane me ye hukm diya jata tha ke hum Namaz me apna dayan hath bayen zirah par rakhen
 Bukhari al Azan 740
Wazahat
Arabic zuban me zirah Beech ki ungli se lekar kohni tak ko kahte hai, jaise purane zamane me zirah pahna karte the ladayi ke waqt
Rahi Sayyadana Ali Razi Allahu Anhu ki riwayat ke sunnat ye hai ke hatheli ko hatheli par zer naaf rakha jaaye
 Abu Dawood: al Salah 756
Is hadith ko likhne ke baad sath hi likha hai ki ye Hadith Zaeef hai
Ise Imam Baheqhee aur Hafiz ibne Hajar aur Sheikh Albani ne bhi Zaeef qarar diya hai aur Imam Nawavi farmate hain ke iske Zaeef hone par sab ka ittefaq hai.
Naaf ke Neeche wali hadith me ek Taba Taabi’een hai unka pura naam “Abdur Rahmaan bin Ishaaq bin al-Haarith al-Koofi al-Waasiti hai.
Usool e Muhaddiseen ke nazdeek ye zaeef raawi hai.
Ye Imam Bukhari aur saare Muhaddiseen ka kahna hai.
Dawat "e" Tauheed

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS