find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label wahee ke mana kya hote hai? Quran-O-Hadeeth ki raushani men. Show all posts
Showing posts with label wahee ke mana kya hote hai? Quran-O-Hadeeth ki raushani men. Show all posts

Nabi ka Farman.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُطَرِّفٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنْ غَدَا إِلَى الْمَسْجِدِ وَرَاحَ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُ نُزُلَهُ مِنَ الْجَنَّةِ كُلَّمَا غَدَا أَوْ رَاحَ"".

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जो शख़्स मस्जिद में सुबह शाम बार-बार हाज़िरी देता है। अल्लाह ताला जन्नत में इस की मेहमानी का सामान करेगा। वो सुबह शाम जब भी मस्जिद में जाये।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jo shakhs masjid mein subah shaam baar baar haazri deta hai, Allah taala jannat mein iski mehmani ka samaan karega, woh subah shaam jab bhi masjid mein jaye .“

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جو شخص مسجد میں صبح شام بار بار حاضری دیتا ہے۔ اللہ تعالیٰ جنت میں اس کی مہمانی کا سامان کرے گا۔ وہ صبح شام جب بھی مسجد میں جائے۔

🌺The Prophet ﷺ said, 'Allah will prepare for him who goes to the mosque (every) morning and in the afternoon (for the congregational prayer) an honorable place in Paradise with good hospitality for (what he has done) every morning and afternoon goings.'

📜 *wazahat:* hadees mein sunbah aur shaam ki namaz se  morad fajr aur isha ki namaz hai. paanch namazon mein se sab se ahem namaz Fajar ki hai jisay ada karte hi ek musalman apne din ka agaaz karta hai. isliye iska ehtimaam nihayat zaroori hai. iski fazeelat isliye bhi zeyada hai ke zaeef imam shakhs iski taaqat nahi rakhta balke munafiqeen par to iski adaigi be had mushkil hai. jaisa ke hamare rahabr e azam muhammad ﷺ ka farmaan hai: *Isha aur Fajar ki namaz munafiqeen par sabse zeyada bhaari hoti hai* [📗Bukhari: 657], aur Fajar ki ba jamaat namaz ek musalman ki sadaqat aur iska imaan parkhnay ki kasauti hai. Ek dusre moqam par nabi ﷺ ne farmaya: andhere mein fajar aur isha mein chal kar masjid aane wale ko qayamat ke din qamil noor (bharpoor ujale) ki basharat de do [📗Tirmidhi: 223]. Ek aur jagah nabi ﷺ ne farmaya: *jisne fajr ki namaz ba jamat padhi wo shakhs ALLAH ki zimmedari (khaas hifazat) mein dakhil ho gaya.* [📗sahih muslim: 1526]

📚 _*Sahih Bukhari: jild 1, kitab ul Azaan 10, hadith no. 662*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *☀ 🌙*

وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ

And He taught Adam all the names, then presented them to the angels; then He said: Tell me the names of those if you are right.

Roman Urdu

aur Allah ta'ala ne aadam ko tamaam naam sikhaa kar un chizo ko farishto ke saamne pesh kiya aur farmaya ke agar tum sacche ho to in cheezo ke naam bataao

(Quran :Surah Al-Baqara, Verse 31)

---------------------------------------------------

Share:

Kuchh Aalim kahte Hai Ke Quran Samajhna Sabke Bs ki Bat Nahi Hai?

🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🎋Bismillah hir rehma nir raheem🎋
🌈Kuch aalim kehte hai ki Quran samajhna sabke bas ki baat nahi??
🍃Kyon ki Quran kehti hai Allah ke siva koi ghaib janne wala nahi 🍂
SURAH AL-AN'AAM AYET 59
🌈Quran kehta hai ki ghairullah ke naam ki nazro niyaz haram hai🍂
SURAH AL-BAQRAH AYET 173; 5:3!!
🌈Quran kehti hai ki Duaon mein khalis Allah ko pukara jaye🍂
SURAH YUNUS 10:AYET NUM 106!
🌈Quran kehti hai ki Rasool ko Khuda samajhna qufr hai🍂
SURAH AL-IMRAN 3, AYET NUM 80
🌈Quran kehti hai ki Qabar me dafan log nafa nuksan pahochane ka ikhteyar nahi rakhte🍂
SURAH NAHAL 16 AYET NUM 20,21
🌈Allah farmate hai ki humne Quran ko samajhne ke liye aasan kar diya to hain koi nasihat qubul karne wala🍂
SURAH NUM 54 AYET NUM 17,22,32,40!!
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare kareeb hai aur jab tum use pukarte ho to woh pukar bhi sunta hai aur Dua bhi qubul karta hai🍂
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare biljul kareeb hai us tak pahochne ke liye kisi bhi insan ke zariye ki zarurat nahi🍂
SURAH NUM 39 AYET NUM 3!!
🌈Ae emaan walo Allah aur uske Rasool ki farmabarfari karo aur un logo ki bhi jo tum me se hakim hai aur agar kisi baat ka ikhtelaf ho jaye to usko Allah aur Rasool SWS ki taraf ruju karo yeh bahot acchi baat hai aur anjam ke lihaz se behtar hai🍂
SURAH AN-NISA AYET 59!!!
🎋

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS