find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label Aaj ki hadith. Show all posts
Showing posts with label Aaj ki hadith. Show all posts

Aaj ki Hadeeth.

*♡...Aˢˢᴬᴸᴬᴹᵁ     Aᴸᴬᴵᴷᵁᴹ    Wᴬ Rᴱᴴᴹᴬᵀᵁᴸᴸᴬᴴᴵ   Wᴬ  Bᴬᴿᴬᴷᴬᵀᴬᴴᵁ...♡*

*{Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho}*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*
🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hazrat Anas bin Malik (Raziyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab Jannat ke baaghon par guzro to khoob charo. Sahaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasulullah! Jannat ke baagh kya hain? Irshaad farmaaya: Zikr ke halqe. (Tirmizi: 3510)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*

Share:

Aaj ki Hadeeth.

🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke meri ummat mein se 70,000 bagair hisaab ke Jannat mein jaaeinge. Woh woh bandagaane khuda honge jo mantar nahi karaate, shugoone bad nahin lete aur apne parwardigaar par tawakkul karte hain. (Bukhaari: 6472)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Aaj ki Hadeeth

*♡...Aˢˢᴬᴸᴬᴹᵁ     Aᴸᴬᴵᴷᵁᴹ    Wᴬ Rᴱᴴᴹᴬᵀᵁᴸᴸᴬᴴᴵ   Wᴬ  Bᴬᴿᴬᴷᴬᵀᴬᴴᵁ...♡*

*{Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho}*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*
🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs hamaare badon ki Izzat na kare aur Chhoton par shafqat na kare woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1919)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*

Share:

Aaj ki Hadeeth

🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hadees: Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Zina karne waala jis waqt zina kar raha hota hai woh momin nahin reh jaata. Imaan us se alag ho jaata hai (phir baad mein jab woh zina se alag hota hai, to us ka Imaan laut aata hai) (Bukhari: 6782)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Aaj ki Hadeeth

🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hadees: Huzur ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan ka ek shoba hai. (Ibne Maajah: 58)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

 

Ibne umar ne kaha ke : Nabi sallallahu alaihi wasallam ne (gair shadishuda zaani aur zaaniyah Ko) kode lagaye aur shaehr badar kiya abu Bakr raziyallahu anhu ne bhi kode lagaye aur shaehr badar kiya,aur Umar raziyallahu anhu ne bhi kode lagaye aur shaehr badar kiya -

English

Narrated Ibn 'Umar:

That the Messenger of Allah (ﷺ) lashed and banished, Abu Bakr lashed and banished, and 'Umar lashed and banished.

Grade: Sahih (Darussalam)

[ Jami` at-Tirmidhi : 1438 ]
---------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *☀

وَلَقَدْ آتَيْنَا مُوسَى الْكِتَابَ وَقَفَّيْنَا مِن بَعْدِهِ بِالرُّسُلِ وَآتَيْنَا عِيسَى ابْنَ مَرْيَمَ الْبَيِّنَاتِ وَأَيَّدْنَاهُ بِرُوحِ الْقُدُسِ أَفَكُلَّمَا جَاءَكُمْ رَسُولٌ بِمَا لَا تَهْوَىٰ أَنفُسُكُمُ اسْتَكْبَرْتُمْ فَفَرِيقًا كَذَّبْتُمْ وَفَرِيقًا تَقْتُلُونَ

And most certainly We gave Musa the Book and We sent apostles after him one after another; and We gave Isa, the son of Marium, clear arguments and strengthened him with the holy spirit, What! whenever then an apostle came to you with that which your souls did not desire, you were insolent so you called some liars and some you slew.

Roman Urdu

hum ne (hazrath) Moosa ko kitaab di aur un ke piche aur rasool bheje aur hum ne (hazrath) Isa ibn Maryam ko roushan dalile di aur ruhul qudus se un ki tayeed karwaayi, lekin jab kabhi tumhaare paas rasool wo cheez laaye jo tumhaari tabiyato ke qilaaf thi, tum ne jhat se takabbur kiya, pas baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi kar daala

(Quran :Surah Al-Baqara, Verse 87)
----------------------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

 

أُولَٰئِكَ الَّذِينَ اشْتَرَوُا الْحَيَاةَ الدُّنْيَا بِالْآخِرَةِ فَلَا يُخَفَّفُ عَنْهُمُ الْعَذَابُ وَلَا هُمْ يُنصَرُونَ

These are they who buy the life of this world for the hereafter, so their chastisement shall not be lightened nor shall they be helped.

Roman Urdu

ye wo log hai jinhone dunya ki zindagi ko aaqirath ke badhle qareed liya, un ke na to azaab halke honge aur na un ki madad ki jayegi

(Quran :Surah Al-Baqara, Verse 86)
----------------------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *☀ 🌙*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Jaha bhi raho Allah se daro,burai ke baad (jo tum se hojaye) bhalai karo jo burai ko mita de aur logo ke saat hosne aklhaaq (acche tariqe) se peysh aao -

English

Messenger of Allah (ﷺ) as saying:

Have Taqwa of Allah wherever you are, and follow an evil deed with a good one to wipe it out, and treat the people with good behavior."

Grade: Hasan (Darussalam)

[ Jami` at-Tirmidhi : 1987 ]
---------------------------------------

Share:

Aaj ki hadeeth

🍂🌿🍂🌿  ﷽  🌿🍂🌿🍂
          *︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
         *✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
          *︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
         *

❧ Gunaah Nahi Chhoot Raha
             Ye Fikr ki Baat Hai..
  
❧ Magar Zameer malamat bhi
nhi Kar rha Ye Khatre ki Baat hai,

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

Share:

Aaj ki Hadeeth

*♡...Aˢˢᴬᴸᴬᴹᵁ     Aᴸᴬᴵᴷᵁᴹ    Wᴬ Rᴱᴴᴹᴬᵀᵁᴸᴸᴬᴴᴵ   Wᴬ  Bᴬᴿᴬᴷᴬᵀᴬᴴᵁ...♡*

*{Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho}*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*
🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hazrat Abdullah Raziyallahu 'anhu farmate hain ke maine Rasool Allah  ﷺ ko Namaz padhte dekha Aap ﷺ ke Mubarak Seene se rone ki awaaz (saans rukne ki wajah se) aisi musalsal aarahi thi jaise chakki ki awaaz hoti hai. (Abu Dawud: 904)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *☀ 🌙*

وَإِذْ فَرَقْنَا بِكُمُ الْبَحْرَ فَأَنجَيْنَاكُمْ وَأَغْرَقْنَا آلَ فِرْعَوْنَ وَأَنتُمْ تَنظُرُونَ

And when We parted the sea for you, so We saved you and drowned the followers of Firon and you watched by.

Roman Urdu

aur jab hum ne tumhaare liye darya cheer(phaad) diya aur tumhe us se paar kar diya aur ferauniyo ko tumhaari nazro ke saamne us mein dubo diya

(Quran : Surah Al-Baqara,Verse 50 )

----------------------------------------------------

Share:

Allahumma Rabbana walakal Hamd kahne ki Fazilat.

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *《 ALLAHUMMA RABBANA W LAKAL HAMD 》KAHNE KI FAZEELAT.* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

   ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ ""إِذَا قَالَ:‏‏‏‏ الْإِمَامُ سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ فَقُولُوا:‏‏‏‏ اللَّهُمَّ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ، ‏‏‏‏‏‏فَإِنَّهُ مَنْ وَافَقَ قَوْلُهُ قَوْلَ الْمَلَائِكَةِ غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ"".

🌴 *Roman Urdu* 🌴 

  Hazrat Abu Hurairah radiyallahu anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Jab imam 《Sami`a l-lahu liman hamidah, 》kahe to tum { Allahumma Rabbana w laka l-hamd } kaho. Kyu ki jis ka yeh kahna farishto ke Kahne ke sath hoga, uss ke peechle tamam gunah maaf kar diye jayenge.

🌴 *Urdu* 🌴

  حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب امام «سمع الله لمن حمده» کہے تو تم «اللهم ربنا ولك الحمد» کہو۔ کیونکہ جس کا یہ کہنا فرشتوں کے کہنے کے ساتھ ہو گا، اس کے پچھلے تمام گناہ بخش دیے جائیں گے ۔

🌴 *English* 🌴

  Narrated Abu Huraira radiyallahu anhu" Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam  said,  When the Imam says, 《Sami`a l-lahu liman hamidah,》 you should say, {Allahumma Rabbana laka l-hamd}. And if the saying of any one of you coincides with that of the angels, all his past sins will be forgiven.

💐 *Sahih Bukhari* 💐
💐 *Hadith : 796* 💐

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

 
Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Allah ta ala chori ke maal se koe sadqa qubuul nahi karta,aur na hi begair wozu ke koe namaz -

English

Messenger of Allah (ﷺ) said :

Allah does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification.

Grade: Sahih (Al-Albani)

[ Sunan Abi Dawud : 59 ]

----------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Allah ta ala ne farmaya : jab mera bañdah kisi neyki ka qasad (irada) kare aur usko Amal me na laye to mai uske liye ek neyki likhonga,phir agar wo ose karle to mai usko das se saat sau guna tak likhonga aur jab mera bañdah kisi burai ka qasad kare aur usko amal me na laye to us bañdah ke khilaaf nahi likhonga,phir agar wo uspar amal kare to mai ek burai likhonga -

English

Messenger of Allah (ﷺ) said :

Allah, the Great and Glorious, said: Whenever my bondsman intends to do good, but does not do it, I write one good act for him, but if he puts it into practice I wrote from ten to seven hundred good deeds in favour of him. When he intends to commit an evil, but does not actually do it, do not record it. But if he does it, I write only one evil.

[ Sahih Muslim : 335 ]

----------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth.

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari dua !* 🔆 🔅

*Sawari se gir jaye to ye dua padhe !*

   *بِسْمِ اللهِ*

*Bismillah*

*Allah ke naam se*

*English translation*

*In the name of Allah.*

*[ Sunan Abi Dawud : 4982 ]*
----------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Allah ta ala ne farmaya : jab mera bañdah kisi neyki ka qasad (irada) kare aur usko Amal me na laye to mai uske liye ek neyki likhonga,phir agar wo ose karle to mai usko das se saat sau guna tak likhonga aur jab mera bañdah kisi burai ka qasad kare aur usko amal me na laye to us bañdah ke khilaaf nahi likhonga,phir agar wo uspar amal kare to mai ek burai likhonga -

English

Messenger of Allah (ﷺ) said :

Allah, the Great and Glorious, said: Whenever my bondsman intends to do good, but does not do it, I write one good act for him, but if he puts it into practice I wrote from ten to seven hundred good deeds in favour of him. When he intends to commit an evil, but does not actually do it, do not record it. But if he does it, I write only one evil.

[ Sahih Muslim : 335 ]

----------------------------------------

Share:

Aaj ki Achi Baat.

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari dua !* 🔆 🔅

  *

*Raat me murg (rooster) ki awaaz sune to ye dua padhe !*

   *اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ ‏"‏ ‏*

*allahumma inni as'aluka min fazlik*

*Aye Allah ! Mai tujh se tera fazl maangta hoon.*

*English translation*

*O Allah! I beg of Thee Thy Grace.*

*[ Sahih al-Bukhari : 3303 ]*

----------------------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *☀ 🌙*

أَتَأْمُرُونَ النَّاسَ بِالْبِرِّ وَتَنسَوْنَ أَنفُسَكُمْ وَأَنتُمْ تَتْلُونَ الْكِتَابَ أَفَلَا تَعْقِلُونَ

What! do you enjoin men to be good and neglect your own souls while you read the Book; have you then no sense?

Roman Urdu

kya logo ko bhalaiyyo ka hukm karte ho? aur khud apne aap ko bhool jaate ho, ba-wajaodh ye ke tum kitaab padte ho, kya itni bhi tum mein samajh nahi?

(Quran : Surah Al-Baqara,Verse 44 )

----------------------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari Hadees !* 🔆 🔅

   *☀  🌙*

*_Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !_*

*_Jab mujhe meraaj karai gayi, to mera guzar ayse logoon par se huwa, jin ke naakhun tambe ke the aur wo inse apne mun aur seene nauch rahe the, mai ne poucha: jibrail ! ye kon loog hai ? kaha: ye wo hain jo loogon ka gosht khaate hai ( Gheebat karte ) aur inki be izzati karte the -_*

*English*

*_The Prophet (ﷺ) said :_*

*_When I was taken up to heaven I passed by people who had nails of copper and were scratching their faces and their breasts. I said: Who are these people, Gabriel? He replied: They are those who were given to back biting and who aspersed people's honour._*

*Grade : Sahih (Al-Albani)*

*[ Sunnan e Abu Dawood : 4878 ]*

*----------------------------------------*

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS