*Shaitaan Dil mein Wasawasa daale to kya kare❓👇🏻👇🏻👇🏻*
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya:
*Tum mein se kisi ke paas Shaitan aata hai aur tumahray dil mein pehlay to yeh sawal peda karta hai* ke falan cheez kis ne paida ki, falan cheez kis ne paida ki? aur aakhir mein baat yahan tak pohanchata hai ke khud tumahray Rab ko kis ne paida kiya? *jab kisi shakhs ko aisa waswasa daaley to ALLAH se panah maangni chahiye, shaytani khayaal ko chore de.*
_📚Reference : Sahih al-Bukhari 3276_
--------------------
Aisha Radi Allah Anhu se riyavat hai Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya:
*Tum mai se kisi Shaks ke pass Shaitan aata hai aur kehta hai, tumhe kis ne paida kiya?Wo admi kehta hai Allah subhanahu wa Ta'ala ne,*
*Shaitan kehta hai, Allah Ko kis ne paida kiya ?Jab aise surat e haal ho to wo ye kamilat ada karen:*
*آمَنْتُ بِاللهِ وَرُسُلِه ِ*
*(Amantu Billahi Wa Rasoolihi)*
*Mein Allah aur uske Rasoolo per imaan laya*
iss tarha shaitan uske pass se bhag jaega.
_📚Reference:Al Silsila al Sahiha 972, Sahih Muslim 134_
-------------------------
Rasool-Allah ne farmaya : log aik dosray se barabar sawal karte rahen ge yahan taq ke yeh kaha jaye ga, *Allah ne tamam makhloqaat ko paida kiya to Allah ko kis ne paida kiya? lehaza tum mein se kisi ko is silsilay mein agar koi shuba guzray to woh yun kahe : mein Allah par imaan laya.*
Abu Hurairah radi Allah Anhu se rivayat hai kaha Main ne Rasool-Allah ko farmatay suna, phir is jaisi rivayet zikar ki, Albata is mein hai, aap ne farmaya :
*jab log aisa kahin to tum kaho : Allah ek hai woh beniyaz hai , is ne nah kisi ko jana aur nah woh kisi se jana gaya aur nah koi is ka humsar hai, phir woh –apne baen janib teen martaba thuke aur shaitan se Allah ki panah mange .*
_📚Reference : Sunan Abi Dawud 4721, 4722_