🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Farishto ne Nabi (Sallallahu Allaihi Wa Sallam ) se farmaya
aur woh aadmi joh Aap ko dikhaya gaya jiska muh, naak (nostrils) aur aankho ke kinaro se phada jaa raha tha aagey sey peechey tak, woh us aadmi ki nishaani hai joh subaah ghar se bahar jaata hai aur dunya bhar mei itne saare jhooth bolta hai ke woh poore duniya me phail jaate hai.
Sahih Bukhari / 5745.
Qayamat ki nishanio maise ye bhi hai ki JHOOT KASRAT SE BOLA JAYE GA
Hazrat Abu Huraira R.A se marvi hey k Allah k Rasul S.A.W ne irshad farmaya: Qayamat
qayem hone se pehle fitnay zahir hongy, jhoot bakasrat hoga, bazar qareeb ho jayengy.
Sahih Bukhari Kitab ul Fitan 7061
Halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasaney ke liye jhooti baat karey.
Muawiyah ibn Jaydah al-Qushayri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasane ke liye jhooti baat kare, iske liye kharabi hai , iskey liye kharabi hai.
Sunan Abu Dawud, Vol 3,1552 -Hasan.
Abu Bakr Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batao ??Humne arz kiya zarur bataiyye Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath shirk aur walden ki nafarmani karna Aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi bade gunaah hain
Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne soncha Aap Sallalahu Alaihi Wasallam khamosh nahi honge
Sahih Bukhari, jild 7, 5976
Safwaan bin Sulaim radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kya momeen buzdil ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir
pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya kya Momeen JHOOTA ho sakta hai Aap Sallallahu
Alaihi Wasallam ne faramaya nahi.
Imam Malik Muwatta,Vol 56,#19
Allah hamsabko jhuth bolne se bachaye aameen.
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney…