find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label yahoodo Nasara ki Mukhalifat kro. Show all posts
Showing posts with label yahoodo Nasara ki Mukhalifat kro. Show all posts

Yahood-O-Nashara ki Mukhalifat karo.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ الْعَزِيزِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا أَبُو عُمَرَ الصَّنْعَانِيُّ مِنْ الْيَمَنِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""لَتَتْبَعُنَّ سَنَنَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ شِبْرًا شِبْرًا، ‏‏‏‏‏‏وَذِرَاعًا بِذِرَاعٍ حَتَّى لَوْ دَخَلُوا جُحْرَ ضَبٍّ تَبِعْتُمُوهُمْ، ‏‏‏‏‏‏قُلْنَا:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏الْيَهُودُ، ‏‏‏‏‏‏وَالنَّصَارَى، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ فَمَنْ"".

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: तुम अपने से पहली उम्मतों की एक एक बालिशत और एक एक गज़ में इत्तिबा (नकल) करोगे, यहां तक की अगर वो किसी गाह के सुराख़ में दाख़िल हुए होंगे तो तुम इस में भी उनकी इत्तिबा (नकल) करोगे। हम(सहाबा) ने पूछा: या रसूल अल्लाह! क्या यहूद और नसारा मुराद हैं? फ़रमाया फिर और कौन।

🌺 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: tum apne se pehle ummaton ki ek ek balishat aur ek ek gaz mein ittebaa karoge, yahan taq ke agar woh kisi goh ke soorakh mein daakhil hue honge to tum is mein bhi unki itebaa karoge. “ hum (sahaba) ne poocha: ya rasool Allah! kya yahood aur nasara muraad hain? farmaya phir aur kon.

🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم تم نے فرما یا: اپنے سے پہلی امتوں کی ایک ایک بالشت اور ایک ایک گز میں اتباع کرو گے، یہاں تک کہ اگر وہ کسی گوہ کے سوراخ میں داخل ہوئے ہوں گے تو تم اس میں بھی ان کی اتباع کرو گے۔“ ہم نے پوچھا: یا رسول اللہ! کیا یہود و نصاریٰ مراد ہیں؟ فرمایا پھر اور کون

🌺The Messenger of Allah (ﷺ) You will follow the ways of those nations who were before you, span by span and cubit by cubit (i.e., inch by inch) so much so that even if they entered a hole of a mastigure, you would follow them. We said, O Allah's Apostle! (Do you mean) the Jews and the Christians? He said, Whom else?

📜 *wazahat:* is hadees mein yahood aur nasar ki taqleed aur nakal karne se mana farmaya gaya hai, aur unke tareeqay par chalne walon ki muzammat ki gayi hai, aur Shariat ne is nahi ki taqeed is tarha ki hai ke jo koi bhi aisa karta hai woh unhi mein se hai. Rasool Allah ﷺ ne farmaya *jis kisi ne bhi kisi qaum ki mishabehat (nakal) ki wo unhi mein se hai* [📗Abi dawud: 4031]. musalmano ko deeni aetbaar aur ibadat mein kisi bhi ummat (dusri qaum) ki taqleed karne ki koi zaroorat aur haajat nahi, kyun ke Allah Subhana wa ta'ala ne deen mukammal kar diya hai, aur apne Ne'mat ko poora kar diya hai, aur hamaray liye islam ke deen hone par raazi ho chuka hai, farmaan Allah subhana wa ta'al hai: _*...aj main ne tumharay liye deen ko kaamil (mukammal) kar diya aur tum per apna ina'am bharpoor kar diya aur tumharay liye islam kay deen honey par raza mand hogaya... [📖Quran 5:3]*_

📚 _*Sahih Bukhari: jild-9, Kitab ul Aet'sam bil kitab wa sunnah 96, hadith no. 7320*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS