find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label juma ki ahmiyat. Show all posts
Showing posts with label juma ki ahmiyat. Show all posts

Namaj-E-Jumah Ka Byan

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim*🍃

🍀 *NAMAZ E JUM'AH KA BAYAN* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

    یٰۤاَیُّہَا  الَّذِیۡنَ  اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِیَ لِلصَّلٰوۃِ مِنۡ یَّوۡمِ الۡجُمُعَۃِ  فَاسۡعَوۡا اِلٰی ذِکۡرِ اللّٰہِ  وَ ذَرُوا  الۡبَیۡعَ ؕ ذٰلِکُمۡ خَیۡرٌ  لَّکُمۡ   اِنۡ  کُنۡتُمۡ  تَعۡلَمُوۡنَ ﴿۹﴾

   فَاِذَا  قُضِیَتِ الصَّلٰوۃُ  فَانۡتَشِرُوۡا فِی الۡاَرۡضِ وَ ابۡتَغُوۡا مِنۡ فَضۡلِ اللّٰہِ وَ اذۡکُرُوا اللّٰہَ  کَثِیۡرًا  لَّعَلَّکُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ ﴿۱۰﴾

  وَ اِذَا  رَاَوۡا  تِجَارَۃً  اَوۡ لَہۡوَۨا انۡفَضُّوۡۤا اِلَیۡہَا وَ تَرَکُوۡکَ  قَآئِمًا ؕ قُلۡ مَا عِنۡدَ اللّٰہِ  خَیۡرٌ  مِّنَ اللَّہۡوِ وَ مِنَ  التِّجَارَۃِ ؕ وَ اللّٰہُ  خَیۡرُ  الرّٰزِقِیۡنَ ﴿۱۱﴾

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Aey woh logo jo iman laye ho! Jum"ah ke din namaz ki azan di jaye to tum Allah ta"ala ke zikar ki taraf daud pado aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumhare haq mein bauhat hi bahtar hai agar tum jantay ho.

  Phir jab namaz ho jaye to zameen mein phail jao aur Allah ta"ala ka fazl talash karo aur Allah ta"ala ka zikar kasrat se karo takay tum kamyab ho.

  Aur jab koi sauda bikte dekhe ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf daudtay  jaatay hain aur aap ko khada hi chhor dete hain aap kah dijiye ke Allah ta"ala  ke pass jo hai woh khel aur tijarat se bahtar hai. Aur Allah Ta"alaa bahtareen rozi dene wala hai.

💐 *surah : al jumah* 💐
💐 *aayat : 9/10/11* 💐

🌹 *please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Namaj-E-Juma ki Fazilat.

Ummat-e-Nabi ﷺ

⭐ Namaze Juma : Farziyat, Fazilat aur Masail …

1). Juma Behtareen Din:

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS