Auraton Ko kin Kin Chijo Ka Parda Karna hai?
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
AURAT KI AWAZ KA PARDA :
Guftagu mein Mulaimat nah karo kay jis ke dil mein khout hai woh lalach kare balkay maqool andaaz se baat karo. [Surah Ahzab 33:32]
Parde Ki Ahmiyat |
AURAT KA KHUSHBU LAGANA:
"Aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai"..
TIRMIZI, HADEES -2786. SUNAN_ABU_DAWUD, HADEES- 4173.
Be-parda aurat shetan ka shikaar hai.Aurat parda ki cheez hai jab woh ghar se bahar nikalti hai to shetan is ki taak jhaank karta rehta hai. (Tirmizi )
Mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun ga k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh kar istimaal karain na k apne oper aik pabandi samajh ker.
kuch lOgo ka khayal hai ke "parda to aankh ka hota hai"."sari baat niyat ki hoti hai"."aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain" etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi.Azwaj e Mutahrat ko apna Ideal banaiye aur Unki zindgi se sabaq lein.aur parde ki Ahmiyat ko samjhein meri Bahno.
Kahin aisa na ho ke Apko jab pahli baar parda udhaya jaye to wo parda Apka KAFAN ho.isse pahle hi apni zindgiyo me parde ka ahtemam krein aur dusri bahno ko bhi iski Hidayat karein.
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah Khaira Kaseera.
#islam_me_Parda #Parda #MuslimSociety #UrduTahreer #Nakab
No comments:
Post a Comment