find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Sunnat Se Badhte Fasle. Deen me Nayi Chijein Izaad karne wale

Biddat Ki TArif, Sunnat Aur Biddat Kya HAi?

Allah rabbul izzat  Ne Hamein Ek Kamil Deen Diya Hai Jiski Ratein Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain
Allah SWT Ne Hamein Andhere Main Hargiz Nahin Chora, Hamara Yeh Iman Hai Ke Rasool ﷺ Deen Ki Har Choti Aur Badi Baat Bata Kar Gaye Hain Yaha Tak Ke Washroom me kaunsi dua padh kar jani hai yaha tak ke pahle right foot rakhna hai ye left foot itni choti si baat bhi Aur Agar Wo Naye Naye Kaam Jo Deen Ke Naam Par Kiye Ja Rahe Hain Uski Koi Asal Hoti To Kya Rasoolallah ﷺ Hame Na Bata Kar Jate❓
Ab Deen Main Na Koi Izafa Hoga Aur Na Hi Koi Kami Ho Sakti Hai Alhamdolillah Hamara Deen Mukammal Hai. Aur Yahi Hamara Eeman hai Aur Ek Muslim Ka Eeman Hona Chaiye.
Lekin Dekhne Main Ye Aaraha Hai Ki Aise Log Hote Hain Jinhe Shayad Nauzobillah Rasool ﷺ ki Batayee Hui Batein Kam Lagti Hain Isliye Wo Deen Ki Baton Main Izafa Karte Rahte Hain Jab ke Unki Batayee Baat Ka Saboot Na Quran Main Hota Hai Aur Na Kisi Saheeh Ahadees Main‼
Deen Ki Har Baat Hamein Quran Aur Ahadees Main Milegi Agar Baat Quran Ahadees Se Sabit Hai To WO Sar Ankho Par Lekin Logon Ki Banayee Hui Bataein Hargiz Deen Nahin Ban Sakti‼
Hum Deen Ki Baton Ko Bahot Halke Main Lene Lag Gaye Hain Koi Bhi Aakar Kuch Bata Deta Hai Deen Ke Naam Par Aur Hum Aankhe Band Kiye Hue Use Qabool Kar Lete Hain Na hi ye Janne Ki Koshish Karte Hain Ke Jo Baat Batayi Gayi Wo Quran Ahadees Se Sabit Bhi Hai Ya Nahin‼
Choti Si Baat Hi Lelijiye Namaz Aur Roze Ki Niyat Zaban Se Karna. Koi Bhi Aalim Mufti Kisi Bhi Hadees Se Yeh Sabit Nahin Kar Sakta Ke Rasool ﷺ Ne Zaban Se Niyat Karna Bataya Ho. Niyat Naam Hai Dil Ke Irade Ka Aur Yeh Baat Sab Mante Bhi Hain Sabko Pata Hai Ke Jo Zaban Se Niyat Ke Alfaz Kahe Jate Hain WO Kisi Bhi Hadees Main Nahin. Yaha Tak Ke Log Likh Bhi Dete Hain Ke Niyat Dil Ke Irade Ka Naam Hai Lekin Zaban Se Karlo To Aur Acha Hai. Unse Poocha Jaye Ke Aapko Kaise Pata Ke Zaban Se Niyat Ki Jaye To Wo Achi Hogi❓
Aapko Kisne Bataya❓ Kya Ap Par Wahee Ayi Thi❓Ya Aap Yeh Dawah Karte Ho Ke Nauzobillah Rasool ﷺ ko Yeh Baat Pata Nahin Thi Aur Aapko Pata Chal Gayee❓ Ya Aapka Ye Dawah Hai Ke Rasool Allah ﷺ Sahaba Kiram Ko Nauzobillah Batana Bhool Gaye❓Kis Base (buniyaad)Par Aap Keh Dete Ho Ke Zaban Se Kaho To Aur Acha Hai❓ Jo Bhi Deen ki Baat Thi Rasool ﷺ Sab Bata Kar Gaye Hain To Kyon Hum Usi Main Razi Nahi Ho Jate Hain ❓KYon Apni Taraf Se Izafa Karke Hum Rasool ﷺ Ki Mukhalfat Karte Hain ❓AUr Jane Anjane Main Rasool ﷺ Ki Toheen Kar Beth Te Hain❓
Allah Ki Panah‼
Wo Rasool-E-Aala ﷺ Jo Sare Ambiyan Main Sabse Afzal Hain Unki Baat Ke Ooper Apne Alimo Aur Ulmao Ki Baat Ko Tarjeeh Di Jane Lagi Hai. Hona To Yeh Chahiye Ke Jab Quran Ahadees Ki Saheh Baat Samne Aajaye To Hum Apne Aalim Mufti Ki Baat Ko Chordein Isliye Ke Hamne Kalma Mohammed Rasool Allah ﷺ Ka Parha Hai Na Ke Kisi Imam Mufti Ya Aalim Ka. Kabr Me Hame Hamare Rasool ke bareme pucha jayega na ki kisi Imam ya Maulana ya Molvi sahab ke bareme‼
Hamein Allah SWT Ne kulli taur par Rasool ﷺ Ki pairwi Karne Ka Hukum Diya Hai Kisi Imam, Mufti, Aalim Ke Peeche Chalne Ko Nahin Kaha‼
Lekin Afsos Hum Dawah To Karte Hain Ke Hum Hi Sache Aashiq-E-Rasool Hain Lekin Hamara Amal Sunnaton Ke Khilaf Hota Hai isi liye Jo Aaj Sabse ZYada Aashiq-E-Rasool Hone Ka Dawah Karte Hain WOhi Sabse ZYada Shirk AUr Bidat Main Doobe Hue Hain‼
Aur Yaad Rakhiye Jahan Bidat Aajati Hain Wahan Sunnat kabhi Nahin Rehti Hai Sunnat Aur Bidat Ek Jagah Reh Hi Nahin Sakti Hain jaise Aag aur Pani ek jagah nahi rah sakte hai. Isliye Bidato Ko chota Gunah Na Samjho Yeh Bahot Bada Fitna Hota hai. Dheere Dheere Yehi Bidate Deen Ka Hissa Banti Chali Jati Hain Logon Ki Nazro Main, Aur WO Asal Deen Ki Baat Se Door Ho Jate Hain‼
Yahan Par Bhi Bahot se Members Hain Jo Deen ki Batein Share Karte Hain Lekin Kitni Hi Batein Aisi Hoti Hain Jo Na Quran Se Sabit Na Ahadees Se. Aur Aise Logon Ka Honsla Hum AUr Barha Dete Hain Jab Reply Main Likhte Hain Ke Jazzak Allah Khair Nice Sharing. Sochiye Zara Hum Bhi Unki Jhooti Baat Ka Hissa Bante Chale Jate Hain ‼
Isliye Har Ek Member Se Guzarish Hai Ke Plz Apni Zimmedari Samjhiye Tab Hi Aap Deen Ka Aur Tableegh Ka Saheh Haq Ada Kar Sakte Hain. Aur visitors Se Bhi Yehi Apeal Hai Ke Plz Jab Bhi Read Karein Apni Ankhein Khol Kar Read Karein Samajh Kar Read Karein Aur Aapko Lagta Hai ke Jo Share Kiya Gaya Hai WOh Quran Ahdees Ke Reference Ke Sath Nahin Hai TO Aap unse Poochiye Unse Ref. Mangiye ‼
Allah SWT Ka Farman Suniye:-
"Aye Logon Jo Iman Laye Ho Allah Aur Uske Rasool ﷺ Se Aage Na Badho‼
Surah Hujrat Aayat-1
Rasool ﷺ Ki Ata'at Karne Ka Hukum Diya Gaya Hai Rasool ﷺ Ki Itteba Ke Muqable Main Kisi Doosre Ki Ata'at Aur Itteba Karke Apne Aamaal Ko Barbad Na kijiye‼
Irshad-E-Bari Ta'ala Hai :-
                                        Aye Logo Jo Iman Laye Ho Allah Ki Ata'at Karo, Rasool ﷺ Ki Ata'at karo Aur Apne Aamaal Barbad Na Karo‼
Surah Mohammed, Ayat-33
Bidat Ko Choti Baat Na Samjhiye Yeh Ek Bahot Bada Gunah Hai Jisse Bachne Ka Hukum Rasool ﷺ Ne Diya Hai:-
Rasool ﷺ Ka Farman hai :
                                             Jisne hamare Deen main Koi Nayi CHeez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Taulluq Nahin Hai Tu WO Mardood Hai‼
Saheeh Bukhari, hadith -2697
Ek Aur Hadees Hai " Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahi Hai aur har gumraahi ka thikaana jahannam  hai‼
Sunan Abu'daud Kitab Al Sunnah, hadith-7064
Ummeed Hai Baat Clear Ho Gayi Hogi Aur Kisi Ko Koi Baat Buri Lagi Ho To uske Liye Ma'azrat Chahta Hoon, 
Bus Itni Koshish Thi Ke Hum Saheeh Deen Ki Baton Ko Apnalein Bidat Aur Gumrahee Se Bach Jayein.
Rasool ﷺ Se Sachi Mohabbat Hai To Aap ﷺ Ki Batayee Huee Baton Se Aage Barhne Ki Koshish Na Karein Aur Agar Abhi Bhi Usko Zidd ki Wajah Se Baat Samajh Na Ayi Ho To Wo Apna kal Is Hadith Ke aayine Me Dekh le:-
RasoolAllah ﷺ Hauz-e-Kausar se apne ummatio ko pani pila rahe honge  kuch log ayenge aur unhe rok dia jaega, inko bhi Nabi ﷺ yehi samjhaenge ke yeh to meray farmabardar ummati hain lekin Aap ﷺ ko mutla’ kia jae ga ke ‘Ae Nabi ﷺ Aap nahi jantay ke inho ne Aap ke jane ke bad kya kuch kiya, inhon ne Aap ke baad Deen me Nayi Nayi cheeze nikal li thin’, to Aap ﷺ farmaenge “In ke liye (rahmat se) duri ho! In ke liye duri ho! Jinho ne mere baad Deen ko badal dala‼
Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq, Hadith- 6584
Wallahu Alam......
   Wama Alaina illal balaagh
Allah SWT Hum Sabko Apne Deen Se Mohabbat Karne Wala Bana Dey Aur Hamein Us Deen Per Sabit Qadam Karde Jo Rasool ﷺ Hamein Dekar Gaye Aur Haq Baat Logon Ke Samne Kehne Ki Hamein Himmat de. Aameen

 Tahreer D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i
Share:

1 comment:

  1. जी हाँ .. जुम्मा मुबारक बोलना बिदत यानी की नया काम है लेकिन यह गलत नहीं है… जेसे की मस्जिद में मीनारे बनवाना, लाउड स्पीकर में अज़ान देना, ये सब भी नए काम यानी की बिदत हैं लेकिन गलत नहीं है..दरअसल बिदत दो तरह की होती है एक बिदत जो इस्लाम की तालीम के खिलाफ होती है एसी बिदत से गुनाह होता है . दूसरी बिदत जो इस्लाम, कुरान और हदीस ए पाक के खिलाफ नहीं है उसे करने की इजाज़त है उससे कुछ गुनाह नहीं होता….कुछ बिदत तो बहुत ज़रूरी है जैसे की कुरान ए पाक में ज़ेर और ज़बर आदि मत्राए लगाना … जुम्मा मुबारक बोलने के कई फायदे भी हैं आपस में मोहब्बत बढती है, मुबारक मेसेज के साथ कोई हदीस इ पाक या अच्छी बात शेयर की जाती है. इस पेज से हजारों खुबसूरत जुम्मा मुबारक इमेजेज डाउनलोड कर सकते हैं
    1000+ Jumma Mubarak image

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS