🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
🌺 حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا أَبُو خَالِدٍ الْأَحْمَرُ، عَنْ كَثِيرِ بْنِ زَيْدٍ، عَنْ رُبَيْحِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ: خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَنَحْنُ نَتَذَاكَرُ الْمَسِيحَ الدَّجَّالَ، فَقَالَ: أَلَا أُخْبِرُكُمْ بِمَا هُوَ أَخْوَفُ عَلَيْكُمْ عِنْدِي مِنْ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ ، قَالَ: قُلْنَا: بَلَى، فَقَالَ: الشِّرْكُ الْخَفِيُّ، أَنْ يَقُومَ الرَّجُلُ يُصَلِّي فَيُزَيِّنُ صَلَاتَهُ لِمَا يَرَى مِنْ نَظَرِ رَجُلٍ .
🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: kya main tum ko aisi cheez ke baray mein nah bata dun jo mere nazdeek maseeh Dajjal se bhi zeyada khatarnaak hai? hum ne arz kiya: kyun nahi? aap ﷺ ne farmaya: woh posheeda (chhupa hua) shirk hai jo yeh hai ke aadmi namaz padhne khada hota hai, to apni namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hai ke koi (bagal wala) aadmi usay dekh raha hai.
🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، کیا میں تم کو ایسی چیز کے بارے میں نہ بتا دوں جو میرے نزدیک مسیح دجال سے بھی زیادہ خطرناک ہے ؟ ہم نے عرض کیا: کیوں نہیں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ پوشیدہ شرک ہے جو یہ ہے کہ آدمی نماز پڑھنے کھڑا ہوتا ہے، تو اپنی نماز کو صرف اس وجہ سے خوبصورتی سے ادا کرتا ہے کہ کوئی آدمی اسے دیکھ رہا ہے۔
🌺Allah's Apostle ﷺ said, ‘Shall I not tell you of that which I fear more for you than Dajjal?’ We said: ‘Yes.’ He said: ‘Hidden polytheism, when a man stands to pray and makes it look good because he sees a man looking at him.’
📜 *wazahat:* maseeh Dajjal ka maamla to wazeh hai jisay nabi kareem ﷺ ne khol kar bayan farma diya hai ( aur isse bachna asaan hai ) lekin riya aam taur par Dil mein is tarha paida hoti hai ke yeh insaan ko aahista aahista Allah taala ki bajaye logon ki taraf mutwajjah kar deti hai ( aur is se bachna intahi mushkil hai ) is liye nabi kareem ﷺ ne usay fitnah Dajjal se ziyada khaufnaak aur shirk khafi (chhupa hua) qarar diya hai. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: main tumhare baare mein sab se zeyada jis cheez se darta hu woh chhota shirk hai sahaba ne arz kya Allah ke rasool ﷺ chhota shirk kya hai? Allah ke rasool ﷺ ne farmaya: riya-kari, qayamat ke din jab logo ko unke amaal ka badla diya jayega to riya karon se Allah taala kahega: un logo ke paas jao jinko dikhaane ke liye tum duniya mein amaal karte they aur dekho kya tum unke paas koi sila paatey ho [📗Musnad Ahmed: 23630].
📚 _*Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az zuhd 37, hadith no. 4204*_
*Grade Sahih*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment