find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

HAsher Kya HAi, HAsher KA Matlab?

Hasher Kise KAhte HAi? HAsher Ke MAfhoom

Hashr ke maani hai jama hona. Qayaamat ke din soor Phoonke jaane ke baad jab tamaam jaandaar mar jaayeinge, to ek muddat ke baad dobaara soor phoonka jaayega, jis se tamaam murde zinda ho jaayenge aur apni qabron se uthh kar ek maidaan mein jama honge usi ko "Hashr" kehte hain.

❧ Maidaane Hashr ek safed, narm aur chatiyal zameen hogi jis mein na koi teela hoga aur na koi imaarat ke aadmi us ke peechhe chhup jaaye, Allah Ta'ala tamaam makhlooq ko maidaane Hashr mein jama karega, us maidaan mein kuchh log paidal haazir honge aur kuchh sawaariyon par sawaar ho kar aur kaafir log munh ke bal chalte huwe maidaane Hashr mein pohncheinge.

[Muslim: 7233 ; Tirmizi: 3142]

❧ Us din ki ghabraahat ka yeh aalam hoga ke har shakhs apni apni fikr mein hoga, insaan apne bhaai, maan baap, bivi bachchon, dost ahbaab aur rishtedaaron se munh chhupaata phirega, duniya mein jin par jaan tak qurbaan kar deta tha aakhirat mein un se door bhaagega balke kuchh log to us din ke azaab se bachne ke liye apne biwi bachchon wagaira ko bhi badle mein dene ke liye tayyaar hoga.

✍ Ref: Deeniyat Course book
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS