find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Nabi Ke PAs Ilm-E-Gaib Tha?

KYA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KO ILM E GAIB THA?

Bismillahirrahmanirraheem

        Bhaiyo/Behno, waisay to aik hawaala hi kaafi tha sabit kernay k liay kiunki deen k muamlay mein humaara rawayya سمعنا و اطعنا “hum nay suna aur hum nay ata’at ki” waala hoona chaaheyay. Aur mukhalifaana aur jhagray waala andaaz k سمعنا و عصينا “hum nay suna aur hum nahein maantay” waala nahein hoona chaheyay. Jaisa k Quran mein kitni piyaari ayat hai:
mominon ki baat to yahi hoti hai k jab unhein Allah aur Uss k Rasool (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki taraf bulaaya jaata hai ta-ke wo un k darmian faisla karay to wo kehtay hein k hum nay suna aur maan lia aur wohi loog nijaat paanay waalay hein.
[Surah Noor, Ayat#51]
Ghaib k silsilay mein Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) k mutalliq main yahaan 2 zamanoon ka zikar karenge jo k 2 posts per mushtamil ho ga In sha Allah:
Nabuwwat se pehlay ka zamaana
Nabi bananay se lay ker faut honay tak ka zamaana
Quran mein in maqamaat per Allah ne farmaaya hai k Nabi bananay se pehlay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko in batoon ka ilm na tha:
“aur issi tarha Hum ne apnay hukam se aik rooh taire taraf bhaije, tujh ko ye bhi maloom nahein tha k kitaab kia cheez hai aur na emaan maloom tha laikin Hum ne quran ko aik noor banaaya, Hum apnay bandoon mein se jis ko chahatay hein iss quran se rah per laga daitay hein aur bay-shak aap seedhi rah ki taraf rahnumaee kertay hein.”
[Surah Shuraa, 42:52]
“aur aap (aay Nabi!) gharbi jaanib nahien thay jab Hum ne Moosa ko hukam bhaija aur na uss waqayay ko daikhanay waalay thay laikin Hum ne bohat se naslein paida kein phir un per muddat daraaz guzri aur tu (aay Nabi!) madyan waloon mein nahein rehta tha k unhein Humari aayatein sunaata laikin hum rasool bhaijatay rahay aur tu (aay Nabi!) tuur k kinaaray per na tha jab Hum ne awaaz di laikin tairay Rab ka yeh in’aam hai takay un logoon ko daraayay jin k paas tujh se pehlay koi daraanay waala nahein aaya, takay wo nasehat hasil karein.”
[Surah Qasas, 28:44-46]
“aur tumhein (aay Nabi!) umeed na thi k tum per kitaab utaari jayay gi magar tumhaaray Rab ki meharbaani hue phir tum hargiz kafiroon ki taraf-daari na kerna.”
[Surah Qasas, 28:86]
yaani tuur per jab Hum ne Moosa (‘alaihi ssalaam) se kalaam kia aur ussay wahi aur risaalat se nawaaza to aay Mohammed (sallallahu ‘alaihe wasallam) ! tu na wahaan mojood tha aur na yeh manzar daikhanay waloon mein se tha balkay ye ghaib ki wo baatein hein jo Hum wahi k zareyay tujhay batlaa rahay hein jo iss baat ki daleel hein k tu Allah ka sacha paighambar hai kiunki na tu nay yeh baatein kisi se seekhi hein na khud hi in ka mushaahida kia hai. yeh mazmoon aur bhi kayee jaga bayaan kia gaya hai. (mazeed hawaala-jaat k liay daikheyay Al-Imran:44 , Yunus:16 , Hood:49 , Yusuf:3’102 , Al-Zuhaa:7) (yaani Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) us waqt hazir-o-nazir na thay).
Jo Sahih hai Allah uss ko maananay ki tofeeq ata farmayay, aur jo ghalat hai usay humaaray dilon say nikaal day. Aur agar iss post mein koi ghalati hai to Allah usay theek kernay ki tofeeq ata farmaayay, aameen. Alhamdulillaah.BISMI ALLAHI ALRRAHMANI ALRRAHEEMI
Nabuwwat se pehlay ka zamaana
Nabi bananay se lay ker faut honay tak ka zamaana
Allah nay guzashta-o-ainda k bay-shumaar waqi’aat, barzakh aur qabar k haalaat, maidaan-e-mahshar k naqshay, jannat aur dozakh ki kaifiat, al-gharz wo tamaam uloom jo Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k shayaan-e-shaan thay, wo sab Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko ata kiay aur un ka andaaza Allah k siwa kisi ko nahein. aur makhlooq k mehdood ilm ko Allah k ghair-mehdood ilm k saath koi nisbat nahein. yahi waja hai k Quran mein jaga jaga ‘aalim-ul-ghaib ka lafz Allah ki khaas sift k toor per zikar kia gia hai aur bohat si jaga Rasool (sallallahu ‘alaihe wasallam) se ‘aalim-ul-ghaib honay ki nafi ki gae hai aur yeh lafz Quran-o-Hadeeth mein kahein nahein ayaa k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ‘aalim-ul-ghaib hein.
isi tarha bohat se ahadeeth mein bhi yeh mazmoon irshaad hua hai. un ayaat-o-ahadeeth ko naqal kia jayay to uss k liay aik zakheem kitaab bhi kafi nahein hogi aur ulima-e-haq ka yahi maslak hai k Allah k siwa kisi ko ‘aalim-ul-ghaib kehna durust nahein:
“keh do k Allah k siwa aasmaanoon aur zameen mein koi bhi ghaib ki baat nahein jaanta aur unhein iss ki bhi khabar nahein k wo kab uthaayay jayein gay.”
[Surah Namal, 27:65]
Umm-ul-Mu’mineen Hazrat A’isha Siddiqah (may Allah be please with her) ka irshaad hai k jo shakhs yeh kahay k Rasool (sallallahu ‘alaihe wasallam) ghaib jaantay thay uss nay Allah per buhtaan baandha. [Sahih Bukhari, Kitaab-ul-Tafseer (Surah wa-Najam), Hadith#4855]
ab Quran aur Sahih Ahadeeth ki kitaaboon se kuch hawalaa-jaat iss silsilay mein darj kiay jaatay hein…
Quran-o-Hadeeth se hawaala-jaat:
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) per ifk ka muamala, jis ki haqeeqat ka Rasool (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko wahi se pehlay ilm na hua.
[Surah Noor, 24:16-26 ‘ Bukhari, Kitaab Al-Maghaazi, Hadith#4141]
shehed ka waqi’a jis mein Rasool (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki do bewioon nay mansooba-bandi ki aur us k natejay mein Rasool (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay apnay ooper shehed haraam farma lia, baad mein Allah ne Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko saari baat bata di.
[Surah Tehreem, 66:1-4 ‘ Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tafseer, Hadith#4912’5267’5268]
Hum nay kuch paighambaroon ka haal tujh se bayaan kia , kuch ka na kia.
[Surah Nisa, 4:164]y
aad rahay k Quran mein to sirf 25 anbia-o-rusl ka zikar aur un ki qoomoon k halaat bayaan kiay gayay hein, jab-k anbia ki kul taadaad bohat ziada hai.
paighambaroon se Allah poochay ga tumhein kia jawaab mila? wo kahein gay humein pata nahein hai.
[Surah Maidah, 5:109]
Allah k siwa kisi ko pata nahein k wo kab uthaayay jayein gay.
[Surah Namal, 27:65]
5 ghaib Allah k siwa koi nahein jaanta.
[Surah Luqmaan, 31:34]
Qayamat k waqt ka Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko pata nahein.
[Surah Ahzab, 63 ‘ Surah Shoora, 17 ‘ Surah A’raaf, 187 ‘ Surah Ta-Ha, 15 ‘ Surah Namal, 65 ‘ Surah Luqman, 34 ‘ Surah Fussilat, 47 ‘ Surah Zukhruf, 85 ‘ Surah Mulk, 25-26]
Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay wafaat se aik mah pehlay farmaya qayamat k waqt ka ilm sirf Allah ko hai.
[Sahih Muslim, Hadith#2538]
Allah k lashkaroon ko Allah k siwa koi nahein jaanta.
[Surah Muddassir, 74:31]
Abdullah bin Umm-Maktoom (may Allah be pleased with him) naabeena sahabi ka qissa aur wahi.
[Surah ‘abasa, 80:1-12]
madina aur us k ird-gird kuch munafiq hein, nifaaq per aray huay, aap un ko nahein jaantay, Hum jaantay hein.
[Surah Taubah, 9:101]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ka aasmaanoon per tashreef lai jaana aur Jibreal (‘alaihi ssalaam) se baar baar pochna yeh koon hein. paanch dafa poocha yeh koon hein. phir mujhay Jibreal (‘alaihi ssalaam) sidra-tul-muntahaa tak lai gayay jis k rangon ka mujhay ilm nahin k kaisay hein.
[Sahih Bukhari, Kitaab As-Salaah, Hadith#349’4233 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#163]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaaya: “mein nay khuwaab mein daikha k aik aadmi bait-ullah ka tawaaf ker raha hai. maine poocha yeh koon buzurg hein to farishtoon nay bataaya k yeh Maseeh ibn Maryam (‘alaiha ssalaam) hein phir meine aik shakhs ko tawaaf kertay daikha maine poocha yeh koon hein? farishtoon nay bataaya yeh dajjaal hai.”
[Sahih Bukhari, Hadith#6999 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#169]
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) nay farmaya k jo shakhs bhi tum se yeh 3 baatein bayan karay wo jhoota hai k:1. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay apnay Rab ko daikha2. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) aanay waalay kal ki bat jaantay hein aur3. jo kahay k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay tabligh-e-deen mein koi baat chupaee thi.
[Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tafseer (Surah wa-Najam), Hadith#4855 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Al-Emaan, Hadith#177]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “dozakh mein aankray hoon gay, un k tool-o-arz ko siwayay Allah k koi nahein janta.”
[Sahih Bukhari, Hadith#6573 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#182]
fatah makkah k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki khidmat mein Hazrat Umm-u-Haani (may Allah be please with her) hazir huein. wo bayan kerti hein k Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ghusl ker rahay thay aur aap ki baiti Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) parda kiay huay thein, maine Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko salaam kia. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay poocha koon hai? maine bataya k mein Umm-u-Haani hoon.
[Sahih Bukhari, Kitab Al-Ghusl, Hadith#280]
aik safar mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) ka haar gum ho gayay. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) aur loog Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k saath thaher gayay. Hazrat A’isha (may Allah be please with her) k walid-majid bohat khafa huay, baad mein uss oont ko khara kia gaya jis per Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) sawaar thein to haar usi k neechay se mil gaya.
[Sahih Bukhari, Hadith#334’3672 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Hadith#367]
Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k marz-ul-wafaat mein jab aap ka marz berh gayay to aap baar baar bay-hoosh huay, jab hoosh aata to farmatay kia logoon nay namaaz perh li hai? arz kia jaata nahein, loog Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ka intizaar ker rahay hein. aisa 3 baar hua.
[Sahih Bukari, Kitaab Ul-Azaan, Hadith#687 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Us-Salaah, Hadith#418]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay 40 ya 70 quran k aalim sahaba ki aik jamat mushrikeen k paas bhaiji thi, unhoon nay un ko shaheed ker daala. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) bohat ranjeeda aur ghamgeen huay.
[Sahih Bukhari, Kitaab Ul-Witr, Hadith#1001’1300]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) soyay rahay, Hazrat Abu Bakar (may Allah be please with him), Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) bhi soyay rahay, sooraj poori tarha nikal aaya aur subh ki namaaz waqt per na perh sakay.
[Sahih Bukhari, Hadith#595 ‘ Sahih Muslim, Hadith#680’681]
Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) farmati hein k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) mairay paas ayay. us waqt aik aurat mairay paas baithi thi. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay yeh daryaaft farmaya: “yeh koon hai?” maine arz kia falaa_n aurat hai.
[Bukhari: 1151]
Hazrat A’shia (may Allah be pleased with her) nay bayan kia k jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) badal ka koi aisa tukra daikhtay jis se barish ki umeed hoti to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k chehra-e-mubarak ka rang badal jata aur farmaatay mein nahein jaanta mumkin hai yeh badal bhi waisa hi ho jis k baaray mein qoom-e-‘aad ne kaha tha k yah badal hum per barasnay wala hai, halaankay us mein dard-naak azaab tha.
[Bukhari: 3206]
aik dafa sooraj-girehen hua to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) bohat ghabraa ker uthay, iss dar se k kahein qayamat na qaim ho jayay.
[Bukhari: 1059 ‘ Muslim: 912]
jab Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki baiti Hazrat Zainab (may Allah be pleased with her) ki wafaat hue to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) tashreef layay aur farmaya: “ghusl se farigh honay per mujhay khabar daina.” phir ghusl se farigh honay k baad Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko khabar di gae.
[Bukhari: 1254’1258 ‘ Muslim:939]
aik sahabi ya sahabiah faut ho gae laikin Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko uss ki wafaat ki khabar kisi nay na di. aik din Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay khud yaad farmaya k wo shakhs dikhae nahein daita. sahaba (may Allah be pleased with them all) nay kaha uss ka to intiqaal ho gaya. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “phir tum nay mujhay khabar kiun na di, chalo mujhay uss ki qabar bata do.”
[Bukhari: 458 ‘ Muslim: 956]
Hazrat AbuZar Ghaffari (may Allah be pleased with him) nay daikha Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) raat ko akailay chal rahay thay, Hazrat AbuZar (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) k peechay chalnay lagay. uss k baad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) muray, AbuZar (may Allah be pleased with him) ko daikha aur daryaft farmaya: “koon hai?” janab AbuZar (may Allah be pleased with him) nay arz kia AbuZar.
[Bukhari: 6443]
2 auratein Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k darwazay per ayein, un k saamnay se Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) guzray. unhoon ne Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) se kaha humaray liay yeh masala Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) se poochein aur humara naam na laina. Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) andar gayay aur Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) se arz kia k 2 auratein yeh masala daryaft kerti hein. to Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “yeh donoo koon hein?” Bilal (may Allah be pleased with him) nay arz kia Zainab naam ki hein. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “koon si zainab?”.
[Bukhari: 1466 ‘ Muslim: 1000]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “mein apnay ghar jata hoon, wahaan mujhay mairay bistar per khajoor pari hue milti hai, mein usay khaanay k liay utha laita hoon laikin phir yeh dar hota hai k kahein yeh sadqa ki khajoor na ho to mein usay phaink daita hoon.”
[Bukhari: 2432 ‘ Muslim: 1070]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki khidmat mein koi khaanay ki cheez layee jaati to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) daryaft farmatay yeh tuhfa hai ya sadqa. agar kaha jata k sadqa hai to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) apnay ashaab se farmatay k khaoo.
[Bukhari: 2576 ‘ Muslim:1077]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “mujhay laila-tul-qadr dikhae gae laikin phir bhulwa di gae.”
[Bukhari: 2016 ‘ Muslim: 1167]
hajj k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) makkah mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) j yahaan tashreef layay, wo ro rahi thein. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay daryaft farmaya k kiun ro rahi ho? maine arz kia Allah ki qasam! meine iss saal hajj nahein kia. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay poocha shayad k to haiza ho gae hai? maine kaha haan!.
[Bukhari: 305]
hajj k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay sahaba ikraam (may Allah be pleased with them all) se farmaya: “tum halaal ho jao, agar mujhay wo baat pehlay maloom ho jati jo baad mein maloom hue to mein qurbani ka janwar saath na lata.” [Bukhari: 1568 ‘ Muslim: 1216]
fatah makkah k din aik shakhs ne aa ker khabar di k ibn Khattal ghalaaf-e-kaaba k pardoon se latak raha hai. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya k ussay qatal ker do.
[Bukhari: 3044 ‘ Muslim: 1357]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay Hazrat Abd-ul-Rahman bin ‘Ouf per zardi ka nishaan daikha to poocha ye kiya hai? unhon nay arz kia k maine nikah kia hai.
[Bukhari: 5155 ‘ Muslim: 1426]
Ghazwa-e-Khaibar k waqt Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas Hazrat Dihya (may Allah be pleased with him) aayay aur arz ki k mujhay koi baandi inaayat kijeyay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya jao baandi lay lo. Unhon nay safiya bint-e-huyayye ko lay liya. Phir aik shakhs Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur arz ki k aay Allah k Rasool! Safiya to sardaar ki baiti hai, unhein Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Dihya (may Allah be pleased with him) ko day diya, wo to sirf aap hi k liay munaasib thein. Iss per Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya k Dihya ko safiya k saath bulao. Wo laayay gayay, jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay unhein daikha to farmaaya k qaidyon mein say koi aur baandi lay lo. Phir Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Safiya (may Allah be pleased with her) ko azaad ker diya aur unhein apnay nikah mein lay lia.
[Bukhari: 371 ‘ Muslim:1365]
Sahaaba Ikraam (may Allah be pleased with them all) nay qaidi auraton say ‘azl kia phir unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say iss ka hukam poocha to Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “kiya tum waqa’e aisa kertay ho?” teen martaba ye farmaaya.
[Bukhari: 5210 ‘ Muslim: 1438]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay to wahan aik sahib baithay huay thay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya Aisha! Ye koon hai? mein nay arz kia ye maira razae bhai hai.
[Bukhari: 2647 ‘ Muslim: 1455]
Hazrat Jabir bin Abdullaah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay shaadi ki to Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay mujh say daryaaft farmaaya k kis say shaadi ki hai? mein nay arz kia aik baiwa aurat say. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya kanwaari say kiun na ki? Mein nay arz kia mairay waalid shaheed ho gayay aur unhon nay kae larkian choori hein, iss liay maine ye pasand nahein kia k un k paas unhi jaisi larki biyah laoon, iss liay mein nay aik aisi aurat say shaadi ki hai jo un ki daikh-bhaal ker sakay.
[Bukhari: 2097 ‘ Muslim]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k saamnay aik sahaabi nay shikaayat ki k uss nay apni beewi ko aik ghair mard k saath tanhai mein paaya aur Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say arz kia k iss muamlay ka faisla farma dein. Phir Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay dua ki k aay Allah! Iss muamlay ko saaf ker day chunaachay uss aurat nay bacha ussi mard ki shakal ka jna jis k mutalliq shoohar nay dawa kia tha k ussay unhon nay apni beewi k saath paaya tha. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay miyaan-beewi k darmian la’an karaaya.
[Bukhari: 5316 ‘ Muslim: 1497]
Hazrat Jabir bin Abdullah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein aik martaba bemaar para, Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) aur Abu Bakr (may Allah be pleased with him) paidal mairi ‘ayaadat ko tashreef laayay. Mein nay arz kia aay Allah k Rasool! Mein apnay maal mein kiya karon, kis tarha iss ka faisla karon? Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay mujhay koi jawab na diya, yahan tak k meeraas ki ayat nazil hue.
[Bukhari: 4577 ‘ Muslim: 1616]
Hazrat Nauman bin Basheer (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k un k waalid unhein Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein laayay aur arz kia k mein nay apnay iss baitay ko aik ghulam batoor-e-hiba diya hai. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya kiya aisa hi ghulam doosray larkon ko bhi diya hai. unhon nay jawab diya k nahein to Aap nay farmaaya phir wapis lay lay.
[Bukhari: 2586 ‘ Muslim: 1623]
Aik qabeelay k 8 afraad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas aayay aur aap say islam per bai’t ki, wo bemaar per gayay to aap nay un say kaha humaaray charwaahay k saath uunton mein chalay jao, uunton ka doodh aur paishaab piyo. Wo gayay, uunton ka doodh aur paishaab piya aur sehat-mand ho gayay. Phir unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k charwaahay ko qatal ker diya aur jaanwar bhaga ker lay gayay. Iss ki itlaa’ tab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko pohanchi to aap nay un ki talaash mein aadmi bhaijay, wo pakray gayay aur laayay gayay. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay un ko saza di.
[Bukhari: 3018 ‘ Muslim: 1671]
Jang-e-Badar k din 2 larkon nay apni talwaarein sanbhaalein aur abu-jahl per jhapat paray aur hamla ker k uss ko qatal ker daala. Iss k baad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir ho ker Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam_ ko khabar di. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay poocha k tum donon mein say kis nay usay maara? Donon nojawaanon nay kaha k maine qatal kia hai to Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay un say poocha kiya tum nay apni talwaarein saaf ker li hein. unhon nay arz kiya k nahein, phir Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay donon talwaaron ko daikha aur farmaaya k tum donon hi nay usay maara hai.
[Bukhari: 3141 ‘ Muslim:1752]
Jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ghazwa-e-khandaq say wapis huay aur hathyaar rakh ker ghusl kia to Jibreel (‘alaihissalaam) Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas aayay aur wo apnay sar say ghubaar jhaar rahay thay. unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say kaha Aap nay hathyaar rakh diyay, Allah ki qasam! Abhi maine hathyaar nahein utaaray, aap ko un per fooj-kashi kerni hai. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya k kin per? To unhon nay banu-quraizah ki taraf ishaara kia.
[Bukhari: 4117 ‘ Muslim: 1769]
Jang-e-Badar k din Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya koon daikh ker aayay ga k Abu-Jahl ka kiya hue hai? Hazrat Ibn-e-Mas’ood (may Allah be pleased with him) ma’loom kernay gayay to daikha k ‘Afraa k donon larkon nay usay qatal ker diya tha aur uss ka jism thanda para hai.
[Bukhari: 3962 ‘ Muslim: 1800]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Maimoonah (may Allah be pleased with her) k ghar mein daakhil huay, unhon nay bhuna hua saandha aap ki khidmat mein paish kiya, aisa bohat kam hota tha k aap kisi khaanay k liay uss waqt tak haath berhaaein jab-tak aap ko uss k mutalliq bata na diya jaayay k falaan khaana hai laikin uss din aap nay bhunay huay saandhay k goosht ki taraf haath berhaaya. Itnay mein wahan mojood auraton mein say aik aurat nay kaha k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko bata kiun nahein daitein k iss waqt aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k saamnay jo tum nay paish kia hai wo saandha hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay apna haath saandhay say hata lia. Khalid bin Waleed (may Allah be pleased with him) boolay aay Allah k Rasool! Kiya saandha haraam hai? aap nay farmaaya: “nahein.”
[Bukhari: 5537 ‘ Muslim: 1946]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein aik sahib bhookay haazir huay, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay unhein Azwaaj-e-Mutahharaat k haa_n bhaija (ta-k un ko khaana khila dein) Azwaaj-e-Mutahharaat nay kehla bhaija k humaaray paas paani k siwa kuch nahein hai. iss per Rasool Allah (sallallah ‘alaihi wasallam) nay farmaaya k koon in ki mehmaan-nawaazi karay ga? Aik ansaari sahaabi boolay k mein karon ga.
[Bukhari: 4889’3798 ‘ Muslim: 2054]
Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir huay aur Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko waqi’a ki itlaa’ di. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) say daryaaft farmaaya: “tum nay raat ham-bistari bhi ki thi?” unhon nay arz kia je haan! Phir aap nay dua ki to Abu Talha (may Allah be pleased with him) k haa_n bacha paida hua, usay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein laaya gaya. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay bachay ko lia aur daryaaft farmaaya: “iss k saath koi cheez bhi hai?” kaha gaya haan khajoorein hein.
[Bukhari: 5470 ‘ Muslim: 2144]
Hazrat Jabir (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir hua. Mein nay darwaaza khatkhataaya. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “koon hai?” mein nay kaha mein. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “mein,mein” jaisay aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay iss ko na-pasand farmaaya.
[Bukhari: 6250 ‘ Muslim: 2155]
Aik aadmi Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k darwaazay k sooraakh say andar jhaanknay laga, uss waqt aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas loohay ka kanghaa tha, jis say aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) sar jhaar rahay thay. jab Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay usay daikha to farmaaya: “agar mujhay maloom hota k tum (jhaanktay huay) maira intizaar ker rahay ho to mein usay tumhaari aankh mein chubho daita.” Phir Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “ijaazat lainay ka jo hukam diya gaya wo isi liay hai k nazar na paray.”
[Bukhari: 6241 ‘ Muslim: 2156]
Aik yahoodi aurat Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein zehar-mila bakri ka gosht lae, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay uss mein say kuch khaay phir jab uss aurat ko laaya gaya to uss nay zehar ka iqraar ker lia to kaha gaya k kiun na isay qatal ker diya jaaya? Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “nahein.” Hazrat Anas (may Allah be pleased with him) kehtay hein k uss zehar ka asar mein nay humaisha Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k taalo mein mehsoos kiya.
[Bukhari: 2617 ‘ Muslim: 2190]
Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ka taweel khuwaab jis mein aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay apna khuwab bayan kertay huay subh sahaaba ikraam (may Allah be pleased with them all) say farmaaya: “raat ko mairay paas do aanay waalay aayay, wo mujhay aik laitay huay shakhs k paas lay gayay ………. mein nay un dono say poocha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” mujh say unhon nay kaha aagay berheyay aur hum aik aisay shakhs k paas pohanchay jo peeth k bal laita hua tha ………. mein nay kaha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay, phir hum aik tanoor-numa garhay per aayay ………. mein nay un donon say poocha: “ye kon loog hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik nehar per aayay ………. maine un donon say pocha: “ye kon hai?” unhon nay kaha k aagay chaleyay. Phir hum aik nihaayat bad-soorat aadmi k paas pohanchay ………. maine un donon say kaha: “ye kiya hai?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik baagh mein pohanchay ………. maine poocha: “ye koon hai? ye bachay koon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik azeem-u-sshaan baagh mein pohanchay ………. phir unhon nay kaha hum aap ko batayein gay.
[Bukhari: 7047 ‘ Muslim: 2275]
Aik raat madina per (aik awaaz sun ker) bara khoof cha gaya. Loog uss awaaz ki taraf berhay laikin Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) sab say aagay thay aur aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) hi nay waqe’a ki tehqeeq ki.
[Bukhari: 2908’2627 ‘ Muslim: 2307]
Aik yahoodi Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas hazir hua aur kaha k Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k ashaab mein say aik nay mujhay tamaancha maara hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaya: “kis nay?” uss nay kaha aik ansaari nay.
[Bukhari: 2412 ‘ Muslim: 2374]
Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say poocha: sab say shareef koon hai? Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “jo sab say perhaizgaar hai.” sahaba nay arz kia: hum Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) say iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaya: “phir Allah k Nabi Yusuf bin Nabi ibn-e-Nabi ibn-e-KhaleelilLah.” Sahaba nay kaha: hum iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “arab k khaandaanon k mutalliq poochtay ho? Suno! Jahileyyat mein jo shareef thay Islam mein bhi wo shareef hein jab-k deen ki samajh unhein aa jayay.”
[Bukhari: 3383 ‘ Muslim: 2378]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay hazrat Moosa (‘alaihissalaam) aur hazrat Khizar (‘alaihissalaam) ka taweel qissa bayan kertay huay farmaaya: Allah Moosa per raham farmaayay! Humaari tamanna thi k Moosa (‘alaihissalaam) kuch dair aur sabar kertay to mazeed waqi’aat un donon k bayan kiay jaatay.
[Bukhari: 122 ‘ Muslim: 2380]
Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “mein jannat mein gaya, wahan mein nay aik mahal daikha? Maine poocha ye mahal kis ka hai? farishton nay bataaya ye Umar (may Allah be pleased with him) ka mahal hai.”
[Bukhari: 5226’3679 ‘ Muslim: 2394]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay, daikha k Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) ghar mein mojood nahein hein. aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya: “tumhaaray chacha k baitay kahan hein?” Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) nay bataaya k un k darmiaan kuch na-gawaari paish aa gae aur wo mujh say naraaz ho ker kahein bahir chalay gayay hein aur mairay yahan qeloola bhi nahein kia. Uss k baad Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay aik shakhs say kaha: “Ali (may Allah be pleased with him) ko talaash karo k kahan hai?” wo aayay aur bataaya k masjid mein sooyay huay hein. phir aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) masjid mein tashreef laayay.
[Bukhari: 441 ‘ Muslim: 2409]
Ghazwa-e-Khandaq k din Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “dushman k lashkar ki khabar mairay paas koon laa sakta hai?” Hazrat Zubair (may Allah be pleased with him) nay kaha k mein.
[Bukhari: 2846’3719’4113 ‘ Muslim: 2415]
Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar k aangan mein baith gayay aur farmaaya: “wo bacha kahan hai?” Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hasan (may Allah be pleased with him) k mutalliq pooch rahay thay.
[Bukhari: 5884’2122 ‘ Muslim:2421]
Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki baiti ki wafaat hue (Hazrat umm-e-Klsoom (may Allah be pleased with her) jo Usman (may Allah be pleased with him) ki beewi thein aur 9 hijri mein faut huein) aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) qabar per baithay huay thay, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki aankhon mein aanso bhair aayay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “logo! Koi tum mein say aisa bhi hai jo aaj raat aurat k paas na gaya ho.” Abu Talha (may Allah be pleased with him) nay kaha mein hazir hoon. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “to phir utro.” Wo un ki qabar mein utray.
[Bukhari: 1342]
Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) per tuhmat ka mukammal qissa aik taweel hadith mein hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay tuhmat k baad Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) aur Osaama bin Zaid (may Allah be pleased with him) say ye sulah ki: “kiya mein Aisha ko choor don.” Aagay jaa ker zikar hai k Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) say farmaaya: “mujhay tairi taraf say aisi aisi khabar pohanchi hai, agar tu paak-daaman hai to Allaah tairi paak-daamni khool day ga aur jo tu phans gae hai to Allah say bakhshish maang, tobah ker.” Ye muamla chalta raha. Aakhir Allaah nay wahi utaar ker Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) ko paak-daaman qaraar diya.
[Bukhari: 4141]
Aik shakhs jo raat ko dafan ker diya gaya, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) apnay sahaaba samait kharay huay aur Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay poocha: “ye kis ki qabar hai?”
[Bukhari: 1336]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “qayaamat k din loog bay-hoosh ho jayein gay, mein bhi bay-hoosh ho jaon ga aur sab say pehlay mujh ko hoosh aayay ga, mein kiya daikhon ga k Moosa (‘alaihissalaam) arsh ka koona thaamay kharay hein. ab mein nahein jaanta k wo bhi bay-hoosh ho ker mujh say pehlay hoosh mein aa jayein gay ya un logon mein say hein jin ko Allah nay bay-hooshi say mustasna rakha hai.”
[Bukhari: 6517]
Usman bin Maz’oon (may Allah be pleased with him) wafaat paa gayay to aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “Allah ki qasam! Mein Allah ka paighambar hoon magar mein ye nahein jaanta k mairay saath kiya ho ga aur tumhaara kiya haak ho ga.
[Bukhari: 7018]
Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay 10 aadmion ko jasoosi k liay rawaana kia. Un ka sardaar Hazrat Aasim bin Saabit Ansaari (may Allah be pleased with him) ko banaaya, 7 shaheed ho gayay 3 bach gayay. Unhon nay dua ki k ya Allaah! Humaari khabar humaaray Paighambar (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko pohancha day. Baad mein baaqi do bhi shaheed ho gayay aur Hazrat Khubaib (may Allah be pleased with him) qaidi ban gayay, phir un ko bhi shaheed ker diya gaya.
[Bukhari: 3045]

KUCH SHAK KI WAZAHAT:

Bhaiyon jo baat bata di jae wo Gaib nahi kehlati. or Allah ne Huzoor Ko Bohot si bateen bataen or Wo bateen Huzoor ne Sahaba Ko bataeen
Example: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai 1 Zamana esa aee ga kay loha (Iron) Asmaan per Fly karay ga
esi taran bohot si Hadeath hain jis me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qurb-e-Qiyamat Kay Halat Sahaba-e-kiram ko batae hain.
to kia Sahaba-e-karam ko bhi Gaib ka ilm tha.
1.Hume ye bhi pata hai kay 1 din Soraj (Sun) maghrib se niklay ga os kay baad tuba kay darwazay Band ho jae gay.
2.Hume ye bhi pata hai kay Kana Dajjal Ae ga or wo kia kia karay ga kahan kahan larai (Jang) ho gi.
3.Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Mehdi Alaihissalam ko bhi ana hai
4.Hume ye bhi pata hai kay Yajooj Majooj Aen gay
5.Hume ye bhi pata hai kay Hazrat Esa Elaissalaam bhi dyuna me tashreef lae gay os kay baad wo yahodiyon se jang karay gay
Is taran to Ham Sab ko hi Gaib ka ilm Hua!!!!!!!! ………!!! ???!!!! Mere bhai Goro-Fikar Zaroori hai
Behtar yahi hai kay Jo quran w Hadeath me kaha gaya hai us ko man lia jae to Aakhirat me kamyabi hai.
apni logic lara ne ka koi faida nahi….Quran w sunnat pe amal karoo… kia ye ayaats or ye Hadeath hamaray leye kafi nahi….?????
jo in Quran w Hadeath ko nahi man raha Tuba Astgfaaar Karay Kia zamana agaya hai log Quran w Hadeath ko chor kar apni logic Lara rahe hain
Esa nazar aa raha hai.Baat dil me Zaroor mojod hai Per zaban per lanay me Thori Hichkichahat hai Jese Quran w Hadeath Is zamanay key leye Nakafi hain (Na'Aauzubillah)
Ae Allah apna karam farma Or reham farma ham jese guanh gaar logo per…Aameen 
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS