find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah Ke siwa Koi Saccha Mabood Nahi, Allah Tala ki Marifat.

ALLAH TAALA KI MAARIFAT

Allah taala ne farmaya
▶Pas (ae Nabi sallahu alaihi w sallam) aap jaan lijiye ki bilaa shubah Allah kay siway koi sachha ma'bood nahi
(Muhammad 19)
Allah taala ne is ayate kareema men chand batein batlai hain.
⏹Pahli baat
⏭Allah taala ne is ayat mein ilm ki ahmiyat ko jata ya hai
⏩Imaam bukhari rh ne is ayat ko laanay say phle ek baab bandha hai "Baabul ilm Qablul qaul wal amal" (Hadees no 68 se pahle) yaani qaul wa amal say pahle ilm zaroori hai.
⏹Doosri baat
⏭Tamaam maaboodane baatila kee tardeed kar di gayi hai
Farishton,jinnon,darweshon,chand,sooraj,aag,paani,shajar,hijr,dewi devtaa aur jin jin cheezon ki ibadat aur pooja paat ki jati hai sab kay sab maaboodane baatila men shamil hain.
⏹Teesri baat
⏭Saari kaainat men sachha ma'bood sirf ek hi hai.
⏹Chauthi baat
⏭Jo sachha ma'bood hai iskaa zaati aur asli naam "Allah " hai .
โ„นMushrikeen ne jab Rasoolullah sallahu alaihi w sallam say kaha ki apnay rab ka nasab naama bayan karo to is mauqe par Rabbul Aalameen ne Surah ikhlas nazil farmai
(Aap kah dijiye k wah Allah ek(hi) hai Allah taala beniyaz hai ,naa issay koi paida huwa na wah kisi say paida huwa , aur na koi iska humsar hai (Al-ikhlaas)
(Tirmizi)
โ„นHadeesay qudsi me hai ki Allah taala farmata hai :
⤴Insaan mujhe gaali deta hai meray liye aulaad saabit karta hai haalanki men ek hon beniyaaz hon mainay kisi ko na jana hai na main kisi say paida huwa hon aur na koi mera humsar hai
(Sahih al bukhari tafseer surah qul huwallhu ahad 4975)
Taken from....: Mhasla Camp Notes
Share:

1 comment:

  1. Hmm is ะฐnyone else hะฐving proฦ„lems witาป the images on this bpog loading?

    ำ€'m trying to determine if ั–ts a pะณoblem oon my ๏ฝ…nd or if it's the
    blog. Any responses wะพuld be ษกreatly appreciated.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS