find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Masjid Me Dakhil Hone Se Pahle Do 2 Rakat Namaj padh le.

Masjid Me Dakhil Hone Se Pahle 2 Rakaat NAmaj PAdhne Ki Ahmiyat.

Bismillahirrahmanirrahim
jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithne se pahle Do Rakaat namaz parh le
Abu Qatada Al Salmi Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah sallallahu-alaihi-wasallam ne farmaya
jab tum mein se koi shaksh masjid mein dakhil ho to baithney se pahley Do Rakaat namaz parh le
Sahih Bukhari , Vol 1, # 444
Hazrat tameem dari Radi Allahu anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain
To un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 - Sahih
_______________________
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki Sunnat ( or Nawafil) namazein
Abdullah  Shaqiq Radhi allahu anhu se rivayat hai ki
Maine Aisha Radhi allahu anhu se
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Nawafil ( jo ummat ke liye sunnat hote hain) namaz ka hal pucha to unhone farmaya
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam
Mere ghar mein dhuhar se pahle 4 rakat padhte they ,phir nikalte aur logo ke saath (dhuhar ki) farz namaz ada karte uske baad ghar aakar phir 2 rakat padhte , Aur logo ke saath jab maghrib padhte to ghar aakar 2 rakat padhte, Aur isha logo ke saath padh kar jab ghar aate to 2 rakat padhte Aur phir raat ko 9 rakat padhte jismein witr bhi shamil hoti.
Aap sallallahu alaihi wasallam kabhi raat ko der tak khade hokar Namaz padhte aur kabhi der tak baithkar. Aur jab khade hokar namaz padhte to phir ruku bhi khade hokar karte aur jab baithkar namaz padhte to ruku aur sazda bhi baithkar karte , Aur jab Fajar ho jati to 2 rakaat (sunnat) padhte they.
Sahih Muslim, Vol 1, 1699
Farz namazo ke siwa jin nawafil namazo ko Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kasrat se padhte they ya jinko padhne ka hukm diya wo ummat ke liye sunnat ho jati hain aur farz ke alawa jin namazo o aap sallallahu alaihi wasallam ne kabhi padha aur kabhi chodh diya wo nawafil namazein.
____________________________
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS