RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam par durud aur salam bhejne ki fazilat
Beshak Allah subhanahu aur uske farishte Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland hongey
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih
Ek din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam tashreef laaye to aapkey chehre Mubarak par khushi mehsus ho rahi thi to humney Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki aapkey chehrey Mubarak par khushi ki wajah kya hai?
To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Abhi mere pass Jibril tashreef laaye aur kaha ki ( Allah farmata hai) kya tum is baat se khush nahi ho ki tumhari ummat mein se jo shaksh ek martaba durud bhejega to main us par 10 rahmat nazil karunga aur tumhari ummmat mein se jo shaksh ek martaba Salam bhejega to main us par 10 martaba salamati bhejunga
Sunan Nasai, Jild 2, 1298-Hasan
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain. wo Bakheel hai jiske samne mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 466-Hasan*
Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahe tum kisi bhi jagah ho
Sunan Abu Dawud, vol2, 274-Sahih
Logon ne kaha Ya RasoolAllah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to
Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya
Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1,1035-Sahih
Al-Silsila As-Sahiha , 2779
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Beshak Allah ke farishte zameen mein ghumte rahte hain aur meri Ummat ka salam mujh tak pahuchate hain
Sunan Nasai,Jild 2, 1285-Sahih
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah Subhanhu meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uske salam ka jawab deta hu
Sunan Abu Dawud,Jild 2,273-Hasan
Masnad Ahmed, 10590-Hasan
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Mujh par durud bheja karo kyunki mujh par durud bhejna tumhare liye pakizgi ka sabab hai Allah subhanahu ne meri Qabr ke paas ek farishta muqarrar kiya hai jab mera koi ummati mujh par durud bhejta hai to wo farishta mujhse kahta hai ki Eh Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam Falah bin Falah ne aap par durud bheja hai
Al Silsila As Sahiha, 2863, 2778
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jab tak Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par durud na bheja jaye har dua rok li jati hai
Al Silsila Ashai, 291*
__________By ShAmIm AlaM
__________By ShAmIm AlaM
No comments:
Post a Comment