find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islami Taalim ki Khubiyaan.

Islaami ta'leemaat ki khoobiyaan

 Tehreer: Dr. Abdul Mannan Mohammad Shafeeq Hafizahullah
​         Islaami ta'leemaat kitni shaandaar, behtareen, haseen aur buland darja ki hain ke unko alfaaz me bayaan karna mumkin hi nahi hai. In ta'leemaat ko agar Dunya ka har musalman apni zindgi me utaar len to poori dunya khaas taur se musalman dunya jannat ka namoona ban jayegi. Aur musalmanon ke andar se har buraai aur fasaad khatm ho jayega. Misaal ke taur par sirf isi ek Islaami ta'leem ko le leejiye. Pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
عَنْ أَنَسٍ، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: لا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى يُحِبَّ لأَخِيهِ مَا يُحِبُّ لِنَفْسِهِ​
Tarjumah: Hazrat Anas bin Maalik Radhiallahu Anhu ki riwaayat hai, wo kehte hain ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Tum mein ka koi mo'min nahi ho sakta yahaan tak ke wo apne bhai k liye wahi pasand kare Jo wo khud apne liye pasand karta hai.
(Sahih Bukhari: 13)
Ab hum sab apne nafson ka ja'izah lein. Aaj hum mein se har koi apne liye to dunya ki har tarah ki aish aur aasa'ish ka khwahishmand hai lekin kya hum doosron k liye bhi yahi khwahish aur raghbat rakhte hain? Hum sab khud to chahte hain ke hamari salary khoob zyada ho. Lekin jab apne khaadim, noukar, driver, mazdoor waghaira ko salary dene ki baari aati hai, to kam se kam dene ki khwahish rakhte hain.
Hum to khud apne liye achchi si achchi building aur lazeez se lazeez khaane ki khwahish rakhte hain, lekin apne khaadim, noukar, driver aur mazdoor k liye kis tarah ki building aur khaane ki khwahish rakhte hain waghaira.
Ye sirf chand misaalen hain, isi par baqiya cheezon ko bhi qiyaas kiya jaa sakta hai.
Musalman bhaiyon aur behnon!
Sirf yahi ek Islaami ta'leem apne andar itni khoobiyaan simete huwe hai jinko bayaan nahi kiya jaa sakta hai. To phir tamaam Islaami ta'leemaat ka kya kehna. Waqi'atan agar musalman is anmol Islaami ta'leem samet tamaam ta'leemaat ko apni zindgi mein utaar len to ye dunya jannat ka namoona ban jaye aur unko har tarah ki aish aur ishrat mayassir ho aur dunya se har buraai aur fasaad ka khaatma ho jaye.
Be-shak is hadees mein Ahmed e Mujtaba Muhammad e Mustafa Sallallaahu Alaihi Wasallam ne salaamat e sadr ki ek achook dawa bayaan ki hai. Khud-gharzi, hasad aur jalan, keena aur kapat, ranj aur gham se mehfooz rehne ka ek behtareen ilaaj bataya hai. Ukhuwwat o bhai-chaargi aur esaar (qurbani) ka azeem dars diya hai. Mere khayaal mein agar koi bhi musalman is ta'leem par amal karta hai to wo in tamaam ma'nawi aur dili bemaariyon se mukammal taur par mehfooz hoga aur uska seenah aur dil salamat hoga. Uske andar ukhuwwat o bhai-chaargi paida hogi aur har musalman apne doosre musalman bhai ke baare mein fikrmand hoga..
Lihaaza aaiye!
Hum tamaam musalman bhai aur behen ahed karte hain ke hum apne pyare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadees par amal karte huwe doosron k liye wahi pasand karenge Jo hum khud apne liye pasand karte hain, taaki hamare andar se khud-gharzi, hasad aur keena kapat waghaira ka khaatma ho aur ek Saheeh Islaami mu'aashra ki tashkeel ho.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS