AALAM E BARZAKH - Part 3
WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN
UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK*_
[SURAH MOMINUN]
IMAM E BUKHARI R.H. NE EK AAYAT SE AZAB E KABR KO SABIT KIYA HAI.
☑ KI WO LOG SUBHA O SHAM AAG KE UPAR PESH KIYE JATE HAI AUR JAB QAYAMAT KAIM HOGI TO HAM HUKM DENGE KI FIROUN KO AUR AALE FIROUN KO ISSE SAKHT AZAAB ME DAAL DO
_[Surah Mominun]_
➡ IS AAYAT SE 2 BAATE MALUM HOTI HAI.
1⃣ PEHLI BAAT YE MALUM HUI KI KABR KA AZAB MUSTAKIL NAHI HAI YANI HAMESHA KA NAHI PAR WAKT FA WAKTAN HAI. IS LIYE KI AAYAT KA PEHLA TUKDA YE BATAA RAHA HAI KI UNHE *SUBHA O SHAM* AAG KE UPAR PESH KIYA JATA HAI.
1⃣ PEHLI BAAT YE MALUM HUI KI KABR KA AZAB MUSTAKIL NAHI HAI YANI HAMESHA KA NAHI PAR WAKT FA WAKTAN HAI. IS LIYE KI AAYAT KA PEHLA TUKDA YE BATAA RAHA HAI KI UNHE *SUBHA O SHAM* AAG KE UPAR PESH KIYA JATA HAI.
➡ JIS TARIKE SE MUJRIM KO JAB PAKDAA JATA HAI TO JAB TAK USKE MUTALLIK COURT KOI FAISLA NA SUNA DE TAB TAK USSE REMAND ME RAKHA JATA HAI AUR REMAND WAKTAN FA WAKTAN HOTA HAI, JAISE REMAND ME MUJRIM KE UPAR ATAKLEEF AUR AZAAB MUSALSAL YANI HAMESHGI WALA NAHI HOTA ISI TARAH KABR KA AZAB BHI WAKTAN FA WAKTAN HAI ALWAYS AUR MUSHKIL NAHI HAI. JAISA KI AAYAT ME BATAYA GAYA KI *UNHE SUBHA O SHAM AAG KE UPAR PESH KIYA JATA HAI* LIHAZA YE MUSTAKIL NAHI PAR SUBHA AUR SHAM KE WAKT KA BATAYA GAYA HAI.
2⃣ JAB QAYAMAT KAIM HOGI TAB HAM HUKM DENGE FARISHTO KO KI YE AAL E FIROUN JO AB TAK SHADID AZAAB ME MUBTILA THE, SUBHA O SHAM UNHE AAG PE PESH KIYA JATA THA AB INKO ISSE ZIYADA SAKHT AZAAB ME DAAL DO.
➡ YAHA AAYAT ME *ASADD* KA WORD USE KIYA GAYA HAI. EK HAI SHADID AUR EK HAI ASADD, SHADID KA MATLAB SAKHT HONA AUR ASADD KA MATLAB HAI USSE ZIYADA SAKHT HONA.
IMAM BUKHARI R.H. NE ISI AAYAT SE AZAB E KABR KA ISTISAAD KIYA HAI.
No comments:
Post a Comment