find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah ke Siwa koi kisi ko kisi Tarah ki nfa,nuksaan nahi De Sakta hai.

 Allah ke Siwa Koi Hme Nfa Aur Nuksan NAhi De Sakta

Kah do ki humko koi museebat nahi pahuch sakti siwa uske jo Allah subhanahu ne hamare liye likh di ho wahi hamara kaarsaaz hai aur momeneo ko Allah subhanahu hi par bharosa rakhna chahiye.
*Surah At-Tawbah (9), Verse 51*
*Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki.
*Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
*Ek tandurast momeen ALLAH subhanahu ke nazdeek kamzor momeen se ziyada pasandeeda aur behtar hai , lekin dono mein se har ek mein khair hai, jo tumhe nafaa de usmein ragbat karo (yani uske kareeb jao) aur ALLAH se madad maango aur Dil na haaro agar tumhe koi museebat pahunche to yu na kaho ki agar main is is tarah kar leta  (to ye nahi hota) , blki ye kaho ki
قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَل
*Qaddar-Allahu wa Ma-Sha-aa fa'aala
*Jo ALLAH ne muqaddar kar diya aur jo usne chaha kiya,kyunki lafz agar shaitan ka kaam shuru kara deta hai*
*Sunan Ibn Majah, Jild 1 , 79 -Sahih*
_______________________________
*Abu Umama bahli Radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Quran padha karo kyunki ye Qayamat ke din apne padhne walo ke liye sifarishi ban kar aayega aur do chamakti surtein padha karo ek surah baqara aur dusri Surah Aal-e-imran, kyunki wo Qayamat ke maidan mein is tarah aayengi jaise ki do badal hain, ya do saayeban ya do tukdiyan hai udte huye jaanwaro ki aur apne logo ki taraf se hujjat karti huyee aayeng
*Sahih Muslim, Jild 2, 1874*
*Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
*Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
*jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
*Sahih Muslim, Vol 1, 188*
*Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki
*Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
*Quran mein 30 aayton wali ek surah hai jisney ek shaksh ke liye shafaat ki aur usey bakhsh diya gaya wo Tabarak Alladhi Biyadihil-Mulk hai( yani Surah-Al mulk )

*Jamia Tirmidhi, Vol2, 798-Hasan*
*Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
*Surah baqara ko padha karo kyunki iska padhna barkat hai aur iska chorh dena hasrat hai aur jadu muqabla nahi kar sakte*
*Sahih Muslim, Jild 2, 1874*
____________________________
_*By - Shamim Alam*_
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS