find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aurat Ka Masjid Aur Eidgaah Me Aana Jana Shariyat Ki Raushani Me.

Aurat ka Masjid aana-jaana Shariyat ke nazar me

Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana-jaana Shariyat ke Roshni me

 وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ

“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.
(Surah 2 Baqrah : 114)
Indian Govt. nahi balke Aaj Muslim Aurato ko khud Musalmano ne 2 jagah aane-jaane ki pabandi lagayi hai :
1. Masjid
2. Eidgaah
Jab Indian Govornmnet yani Hukumat Islami Shariyat me dakhal andaaazi karti hai to saare Musalman Awaaz uthate hai lekin jab khud Musalman apne “Maslaq” ke gurur me Shariyat ko badal deta hai to tab kya kiya jaaye ?  Aise log Astin ke saanp hote hai. 
Jab “Fiqh”  aur “Maslaq” ko “SHARIYAT” se uncha muqam diya gaya to iska natija ye huwa ke Shariyat ko thukra kar aur Hadees-e-Rasool ko nazar andaaz karke Aurat ko har jagah jaane ki PERMISSION di gayi aur sirf MASJID aur Eidgaah me aane-jaane par PABANDI lagayi gayi.
Aaj Muslim Auratein Kaha Kaha nahi pahunch gayi.
Nauzubillah,
Lekin Masjid aur Eidgaah unki nazar me aisi jagah hai jaha saare BADMASH, GUNDE, aur AaWARA qism ke log aate hai  isliye Aurat ka waha ibaadat ke liye aana jana aisa SAKHT HARAAM hai jaisa kisi Sharab ke adde par jana aana.
Kaha jata hai Aurat ka Masjid aur Eidgaah me aana FITNA ho sakta hai ….
lekin 

Aaj Aurat ka in muqamaat par Aana-Jana ya kaam karna FITNA nahi hai kya ? 

Jaisa ke Aurat ka ….

   Bazaar me

   Election me – 

     Voting Booth, MLA, 

     MP, Sarpanch, Mayor, 

     Corporator.
   Job me –
       Doctor, Engineer, Pilot, 

       Teacher, Lecturer,

       Professor, Conductor
   Bank me –
        Manager, Cashier

   Sports me –
        Cricket, Tennis
   Film Industry me – 

     Model, Actress, Singer
   Film Theater  me
   Business me
   IT Industry me
 Aurato ko rokne wale kaun ❓
Aurat ko Masjid aur Eidgaah me aane se rokne wale Allah aur uske Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam nahi hai balke…
Ulma 

Walidain 

Bhai- bahen

Rishtedar

Samaaj
hai.
 Nuqsaanaat:
Aurat ko Masjid me aane-aaje ko pabandi lagayi jaane se  Aurato me …
Manhaj aur Aqaeed me bigad paida huwa
Bedeeni
Duniya parsti
Madda parsti (materialism)
Rasm Riwaaj
Biddatein
ye buraeeya ghar kar li.
Iska natija ye huwa ke ….
Zindagi ka maqsad bhul gayi
Aapne aulaad ki tarbiyat Nahi kar paa rahi hai
Ghar me jhagde – fasadaat
Qinaa’at pasandi chali gayi 

 Masjid ke Faydein:

Agar auratein Masjid se jud jaaye to  …

Ulmao ke bayanat me shirkat karegi

Islam ki buniyadi taalim milegi 

Uske Manhaj aur Aqaeed ki islaah hogi

Ghar Wa Khandan ki islaah karegi

Deendaari paida hogi

Deendaar aurato se dosti hogi 

Dil me se duniya ki muhabbat chali jayegi.

 Ajib hal hai :

Jo log aurato ko Masjid aur Eidgaah me aane jaane pe pabandi lagate hai wahi log aaj kal Aurato ki Jamaat banakar gaon-gaon fira rahe hai.

 Allah aur Rasool ka Hukm:
وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّن مَّنَعَ مَسَٰجِدَ ٱللَّهِ أَن يُذْكَرَ فِيهَا ٱسْمُهُۥ وَسَعَىٰ فِى خَرَابِهَآ ۚ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا كَانَ لَهُمْ أَن يَدْخُلُوهَآ إِلَّا خَآئِفِينَ ۚ لَهُمْ فِى ٱلدُّنْيَا خِزْىٌۭ وَلَهُمْ فِى ٱلْءَاخِرَةِ عَذَابٌ عَظِيمٌۭ
“Us shakhs se badh kar zalim kaun hai jo Allah ta’ala ki masjido mein Allah ta’ala ke zikr kiye jaane ko roke aur un ki barbaadi ki koshish kare, aise logo ko khauf khaate hoye hee us mein jaana chahiye, un ke liye dunya mein bhi ruswaayi hai aur aakhirat mein bhi bada azaab hai”.
(Surah 2 Baqrah : 114)
 Rasoolullah ﷺ ne Khawateen ko masjid aane ki ijazat di hai aur mardo ko hukum diya hai k wo apni biwiyon ko masjid janay se na roke.
Farmane Rasool ﷺ hai:
⭕1. “Izas taazantim raata ahdikum falaa yamna’haa.”
Tarjuma:
Ager tum may se kisi ki biwi is se masjid jane ki ijazat talab kare to wo use mat roke, ijazat de de.
SAHIH BUKHARI (Volume 1, Book #12, Hadith #824)
⭕2. Ibne Umar(R) se riwayat hi k Nabi kareem(S) ne farmaya “Izas Tazanakum Nisaawukum bil laili ilal Masjidi fazanoo lahunna.”
Tarjuma:
Ager tumhari auraten tum say raat ke waqt masjid me jane ki ijazat talab karen to tum log unhe uski ijazat de diya karo.
SAHIH BUKHARI (Volume 2, Book 13, Hadith 22)
⭕3. RasoolAllah ﷺ ka farman hai “Laa tamnawoo ima’a Allahi masajidAllahi.”
Tarjuma:
ALLAH ki bandiyon ko ALLAH K Gharon(Masajid) say mat roko.
MUSLIM (Book 4, Hadith 886)
⭕4. Umm-e-Atiya R.A. farmati hain ke “Hume namaz eid ke liye jany ka hukm diya jata tha, yahan tak ke hum kanwari bachiyon, perdah nasheen larkiyon aur haiza aurton ko bhi sath le jaya karte the taa-ke woh musalmano ke sath mil ke takribat parhain aur inki duaon mai shirkat karen aur is din ke fiyoz-o-barkaat ki umeed rakhen.
(Sahih Bukhari :324)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS