find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Dahej ki Tabah Kaariyaan. (Part 1)

Dahej ki Tabaah KAariyaan

Deen E Islam Ek Muqammal Deen Hai
Jo Cheez Islam Me Maujood Hai Who Fayede Waali Hai Aur Jo Nahin Hai Wo Nuksaan’deh Hai Aur Society Ke Liye Tabaah’kun Hai
Kitni Cheezein Aaj Society Me Chal Rahin Hain Jinka Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai
Aur Unka Nuksaan Bhi Duniya Walon Par Saaf Hai.
Lekin Fir Bhi Log Bataur Fakhr Pasandi Ya Naak Rakhne Ke Liye Ya Kisi Aur Maqsad Ki Tahat Ise Is Dahej Ki Laanat Ko Apna Rahein Hain 
Fir Is Par Bas Nahin Balke Jo Shakhs Is Ghair Sharai (Unislamic) Kaamon Ko Na Kare Toh Usko Taane Diye Jaate Hain Aur Use Zaleel Kiya Jaata Hai.
Unmese Ek Dahej Ki Rasm Bhi Hai Dahej Ke Mane Ye Hain Ke‼
Ek Shakhs Apni Beti Ko Ghar Me Istemaal Karne Ki Har Cheez Muhayya Karne Ki Koshish Kare Jiska Zimme Aurat Par Nahin Balke Mard Ka Hota Hai.
Chaahe Use Qarz Uthaana Pade Ya Dacaiti , Fraud Ya Haq’talfi Karni Pade Ya Use Bheek Maang Kar Zaleel Hona Pade, Ye Sab Kuch Karta Hai  Lekin Beti Ko Dahej Zaroor Deta Hai
 Ye Rasm Barre Sagheeer Me Islamic Hukumat Khatam Hone Se Pahle Bahut Kam Thi.
Aur Jahan Se Wahan Aksar Ameer Hindu Gharaanon Me Hoti Thi.
Jinki Aamdani Haraam Maal Se Hua Karti Thi
Lekin In Ameer Gharaanon Ki Dekha Dekhi Me Ye Marz Ghareebon Me Bhi Badhta Chala Gaya Jo Ke Aaj Cancer Ki Soorat Akhtiyaar Kar Chukka Hai.
Jo Taqreeban Mulk Ke Har Ghar Me Ye Marz Daakhil Ho Chukka Hai Ye Aur Baat Hai Ke Kuch Log Toh Dahez Apni Khushi Se Dete Hain Aur Nabi E Akram ﷺ  Ki Sunnat Aur Islam Ka Tareeqa Samjh Kar Dete Hain
Lekin Kuch Log Ise Samjhte Toh Najaiaz Hain Lekin Fir Bhi Wah Dahej Dete Hain Taake Society Me Unhe Zillat Na Uthaani Pade, Haalanke Zillat Toh Wah Hoti Jo Aakhirat Me  Ho
Ham In Posts Me Is Rasm Ke Ghalat Hone Ke Dalail Denge Aur Ye Batayenge Ke Dahej Ke Kya Nuksaanaat Hain❌
Deendaar Aur Aqalmand Log In Cheezon Ko Padhenge Toh Khud Bhi Is Rasm Se Bachenge Aur Dusron Ko Bhi Mana Karenge
                In sha allah
Kai Log Shadion Par Bahut Maal Lagaate Hain Aur Betion Ko Dahej Zyada Se Zyada Dete Hain Unki Daleel Ye Hoti Hai Ke :
“Shadi Ek Din Hoti Hai Baar Baar Nahin Hoti Isliye Ye Kharche Karna Sahih Hai‼
Halaanke Ye Haqeeqat Hai Ki Shadiyan Ek Baar Nahin Baar Baar Aati Hain Kyonki Ek Shakhs Ki Kai Bête Aur Betiyan Hoti Hain Sab Ki Shadi Karni Hoti Hain‼
Toh Maalum Hua Ke Shadi Ek Baar Nahin Balke Baar Baar Aati Hai Toh Insaan Me Zindagi Bhar Ki Jama Ki Hui Punji (Capital) Ek Din Me Laga Deta Hai‼
Dusri Shadi Ke Liye Fir Se Koshish Shuru Kar Deta Hai Ye Kisi Tarah Bhi Sahih Nahin Hai❌
Dahej Asal Me Hinduon Ki Rasm Hai❌
Jise Wah Daan Ka Naam Dete Hain Wah Dahej Isliye Dete Hain Ke Hindu Mazhab Me Ye Hai Ke Chaahe Koi Shakhs Maaldaar Ho Ya Ghareeb Uski Jaaydaad (Property) Thodi Ho Ya Caroron , Arabon, Me Jab Wo Mar Jaata Hai Toh Uski Jaaydaad Me Se Beti Ko Warsa (Hissa) Bilkul Nahin Milta‼
Isliye Jab Koi Hindu Apni Beti Ki Shadi Karta Hai  Toh Wah Apni Beti Ko Khaandaan Se Kaat Deta Haitoh Wah Apni Beti Ko Ghar Me Kaam Aane Waali Cheezein Deta Hai  Taaki Beti Ki Hausla’afzaayi Ho‼
Toh Sawaal Paida Hota Hai Ke Musalman Is Rasm Ko Kyon Akhtiyaar Karte Hain ❓
Jab Ke Unke Islaam Me Toh Aurat Ko Apne Baap Ya Bête Wagerah Ki Jaaydaad Se Warsa Milta Hai Balke Kabhi Kabhi Mard Se Zyada Aurat Ko Warsa Milta Hai.
Toh Fir Musalman Ko Kya Zaroorat Hai Ke Wah Hinduon Ka Tareeqa Akhtiyaar Kare❓
Asal Baat Ye Hai Ki Musalmano Me Bhi Hinduon Ki Tarah Riwaaj Hai Musalman Bhi Apni Betion Ko Jaydaad Se Mahroom Kar Dete Hain Agar Jaaydaad Me Hissa Dete Bhi Hain Toh Poora Nahin Dete.
Halaanke Allah Taala Ne Dahej Dene Ka Huqm Nahin Diya Balke Wiraasat Dene Ka Allah Ne Huqm Diya Hai.
Aur Jo Log Aulaad Ko Warsa Nahin Dete Unko Quraan Me Jahunnum Ki Saza Sunaayi Hai‼
Kitne Afsos Ki Baat Hai Ke Dahej Ka Huqm Allah Ne Nahin Diya Wah Toh Badh Chadh Kar Diya Jaata Raha Hai Aur Warsa Dene Ka Huqm Diya Hai Toh Betion Ko Isse Mahroom Kiya Jaa Raha Hai.
Dahej Ka Riwaaz Pahle Bahut Kam Tha Fir Dheere Dheere 2 Sadion Me Badh Gaya Aur Maujooda Daur Me Dahej Ek Rasm Ke Saath Sath Ek Bahtareen Karobaar Ban Chuka Hai‼
 A͓̽G͓̽A͓̽R͓̽ D͓̽A͓̽H͓̽E͓̽J͓̽ K͓̽I͓̽ R͓̽A͓̽S͓̽M͓̽ C͓̽H͓̽A͓̽L͓̽T͓̽I͓̽ R͓̽A͓̽H͓̽I͓̽ T͓̽O͓̽H͓̽ ❓
Jis Shakhs Ki Tamam Betiyan Hon Wah Toh Dahez Jama Karte Karte Tabaah Ho Jaaye ‼
Lekin Jiske Bête Hi Bête Hon Wah Baadshah Ban Jaayega‼
Islam Me Dahej Ka Koi Tasawwur Nahin Aur Naa Hi Nabi E Kareem ﷺ  Ne Apni Betion Ko Dahej Diya.
Aur Naa Hi Nabi E Akreem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Biwiyan Dahez Lekar Aayin Thin.
Aur Na Kisi Sahabi Se Dahez Dena Saabit Hai.
Agar Islam Me Dahej Hota Toh Zaroor Hadith Me Iska Tareeqa Aur Miqdaar Aur Dusre Ahkamaat Mazkoor Hote‼
Aur Aimma Kiraam Apni Kitaabon Me Dahez Ka Baab Baandhte ‼
Aur, Lekin In Baaton Me Se Kuch Bhi Nahin Hua ‼
Toh Malum Hua Ke Dahez Huqm E Ilaahi Nahin Balke Logon Ki Banaayi Hui Rasm Hai❌
T͓̽o͓̽ b͓̽e͓̽ c͓̽o͓̽n͓̽t͓̽i͓̽n͓̽u͓̽e͓̽d͓̽.͓̽.͓̽
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul aameen
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS