find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jahaiz Ke Nuqsanaat (Part 1)

Jahaiz Lene Walo Ke liye Duniya Aur Aakhirat Me Nuqsanaat.

JAHEZ ke NUKSAANAT.

Part - 1
Shadi Islami-shariyat ka ahem hisaa hai, isko Allah aur Rasool ke bataye huye Sunnat ke mutabik karna hoga. Nabi s aur Sahaba apne amal se ne bata diya ke Shadi karna kitna asaan hai. Ham apne taur se is stysem me tabdili nahi kar sakte.
Aaj ke shadiyo me sirf Khutba aur 3 baar Qubul hai-Qubul hai-Qubul kahena sirf Islami shariyat ke mutabik horaha hai lekin baaki dusre pure khurafat aur Rasm-Riwaaj aur bidaaten gair-Islami hai jaisa ke HUNDA-JAHEZ, SHADI ke din DULHAN walo se Khane ki dawat lena, BAARAAT, HALDI-MEHANDI, MANJA, JUMAGI wagaira. Dulha HUNDA-JAHEZ to nagd leta hai lekin  Maher udhaari me rakhta hai aur zindagi me kabhi adaa bhi nahi karta hai halanke Maher Shadi ke shart me 1 shart hai.
 Jahez me ye sab chize aati hai jaisa ke…
Jode ki raqam,Dowry,Ghar ka saamaanPlot/flatCar/Bike/CycleRing/WatchShadi ke din ladki wal ko KHANE ki dawat dene ki demand karna
Duniyawi Lihaaz se :
1AHEZ Maangna BHIK MANGNE ke barabar hai aur Dulhe ki mang na hone par bhi apne taraf se zabardasti se dene ye SHADIYO ko mahenga karna hai aur Garibo ke liye mushkilaat paida karna hai.
2⃣Jahez dena yani DULHE ko KHARIDNE ke barabar hai aur Jahez lena yaani khud ko BECHNE ke barabar hai.
3⃣SHOHAR/SAAS/SASUR jab Jahez me aaye huye BED ya SOFE par baithenge to biwi/bahu DIL me sonchi hongi ke ye sab to mere BAAP ne diya huwa hai aur kahengi ke in logo ke Aite Maal par Dide Laal. Isliye jahez lena apne BIWI/BAHU ki nazar me apni QIMAT ghataaye jaisa hai aur kuchh nahi.
4⃣Agar aap WAQAAR aur SHAAN se Zindagi Jeena chahte ho to apne tute-fute ghar rahiye lekin JAHEZ wagira na lijiye. In sha Allah, ALLAH Aap ko maaldaar bana dega.
To be continued....
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS