find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ahle Hadees Nya Firqa Kyu Nahi Hai?

1 NAYA FIRQA KYUN NAHI HAI AHLE HADEES ❓

Koi bhi Group aur Jamaat ya firqe ka naam kuchh bhi ho sakta hai lekin uske Haqq par qayam hone ki kasoti (test) ye hogi ki us Jamaat ya Firqe ka MANHAJ Nabi aur SAHABA se match hota hai ya nahi dekha jayega.
🔹Naya Firqa us group ko ya Jamaat ko kaha jayega jo Nabi SallallahuA’laihiWaSallam aur Sahaba ke Manhaj aur Aqeede se hataa huwa ho.
Dusare alfaaz me firqa us Group ko ya Jamaat ko kahenge jo “AHLE SUNNAT WAL JAMAAT” ke MANHAJ se hataa huwa ho.

🔹Alhamdulillah, AHLE HADEES to NABI aur SAHABA ke MANHAJ par qayam hai.
Aur Alhamdulillah,  iski dawat ki buniyad bhi KITAB Wa SUNNAT hai.
Dusare alfaaz me AHLE HADEES to AHLE SUNNAT WAL JAMAAT ka dusra naam hai kyunke sharai istelaah (terminology) me SUNNAT aur HADEES me koi fark nahi hai isliye HADEES ke kitabo ka naam misaal ke taur par …

🔸SUNAN ABU DAWOOD
🔸SUNAN TIRMIZI
🔸SUNAN IBN MAJAH
hai.
(Arabic me Sunan ye Sunnat ka jama [plural form] hai).
🔹Quran ko bhi Allah ne behtarin HADEES Kaha hai.

📙(Surah 39 Zumar : Ayat 23)

🔸🔸🔸 Isi liye AHLE HADEES naam me QURAN Wa HADEES dono chhupe huye hai jaisa ke “Ahle KITAB” naam me “Tawraat aur Injeel” chhupe huye hai.
🔹Isliye AHLE HADEES ye ISLAM ka MANHAJI naam hai jo AHLE RAAY aur AHLE KALAAM ke muqabale wajood me aya hai.
🔹Har firqe ke pichhe koi shakhsiyat hoti hai ya uska baani hota hai, misaal ke taur par HANAFI ye firqa Imam ABU HANIFA ke naam se bana. Dusari misaal Sufi ka QADARI firqa ABDUL QADAR JILANI rahamullah ke naam par bana,
Lekin lekin,
AHLE HADEES ka koi baani (founder) nahi hai jaise AHLE SUNNAT WAL JAMAAT ka koi founder nahi hai.
🔹HINDUSTAN me JAMIYAT-E-AHLE HADEES hai iska founder president hai kynke ye 1 Organization hai. JAMIYAT ka meaning organization hota hai.
Isi organization ko lekar AHLE HADEES ko ANGREZ ki paidawar kaha jata hai kyunke JAMIYAT-E-AHLE HADEES British ke zamane register karayi gayi jaisa ke usi daur me Darul Uloom Deoband, Sunni Bareli Jamat aur Jamate Islami bhi British ke zamane register huye lekin inko koi ANGREZ ki paidawar nahi kahta.
……………

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS