find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaz-E-Nabwi (Part 3)

Namaz E Nabawi

Part 3

Asr Wa Zohar Ki Namaz Mein Qiraat
Sayyiduna Abu Qatadah (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke: "Rasoolullah (ﷺ) zohar wa asr ki pehli do rakaton mein surah fatiha aur koi ek surat padhtey aur aakhri do rakaton mein sirf fatiha padhtey thhey aur kabhi kabhaar humme ek aadha aayat (buland awaaz se padh kar) suna deytey thaye."
[Sahih Bukhaari Hadees: 776, Wa Sahih Muslim Hadees: 451]
Akeley Namaz Ki Qiraat:
Nafe Rahimahullah Sayyiduna Abdullah Bin Umar (Radhi Allahu Anhu) ke bareme bayaan kartey hai:
"Aap (Radhi Allahu Anhu) jab akeley namaz aada kartey, tou charon rakaton mein suraf fatiha aur quran e kareem ki koi surat padhtey."
[Al Muatta Imam Malik: 26, Wa Sanadahu Sahih]
___________________
AAMEEN KA MASALA:
(jab aap aakele namaz padh rahe ho to aameen aahista kahe. jab zohar aur aasar imam ke pichey padhe to bhi aahista kahe)
(lekin jab aap jehri namaz mein imam ke pichey ho (jis mein qiraat unchi awaaz se ki jaye) tou jis waqt imam (waladh dhaaleen) kahen tou aap ko unchi awaaz se aameen kehna chahiye, balke imam bhi sunnat ki pairwi mein aameen pukar kar kahen, aur muqtadiyo ko imam ke aameen shuru karne ke baad aameen kehna chahiye)
Jehri namazon mein imam aur muqtadi aameen bil jahr kahen.
Sayyiduna Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke maine suna Rasoolullah (ﷺ) ney (gairil maghdhoobi aalaihim waladh dhaaleen) padha, phir aap ney buland awaaz se ameen kahi.
[Sahih Sunan Abi Dawood Hadees: 932 Wahuwa Hadees Sahih, 933 Wa Sanadahu Hasan Wa Jamia Tirmidhi #Hadee: 248 Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Kahan]
Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
“Jab imam aameen kahen tou tum bhi aameen kaho, jis shaksh ki aameen fariston ki aameen ke maufiq ho gayi tou uske pehle sab gunha maaf kar diye jatey hai.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 780 Wa Sahih Muslim Hadees: 410]
Mazeed Dalail:
((hasan) Sunan Al Kabeer Lil Bihaqi: 58/2, Hadees: 2452, Wa Sahih Ibne Kuzaima Hadees: 571, Wa Sanadahu Hasan Li Zatihi, Imam Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad, Hadees: 462 Mein, Imam Hakim Aur Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai)
(Sahih Sunan Abi Dawood Hadees: 906, Wa Sanadahu Sahih, Ibne Kuzaima Ney: 499, Imam Hakim Ney Al Mustadrrak: 232/1 Mein Aur Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai)
Sayyiduna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) aur unke muqtadi itni buland awaaz se aameen kahan kartey thaye ke masjid goonjh utthti.
[Sahih Bukhaari Hadees: 780, Wa Musannaf Abdur Razzaak: 2/96,97, Hadees: 2640]
Duwa, Taauzu, tasmiya aur surah fatiha padh kar aameen keh leyne ke baad, Qur’an-e-Majeed mein se jo kuch yaad ho, us mein se kuch padhe. [Sahih Bukhaari Hadees: 793]
_________________
AADAB-E-QIRAAT:
Rasoolullah (ﷺ) ki zawja mohtarma (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai: Aap (ﷺ) “alhumdulillahi rabbil aalameen” padhtey phir tehar kar “ar rahman nir raheem” padhtey phir tehar kar “maaliki yaumiddeen” padhtey thhey.
[Musnad Ahmed: 288/6, Hadees: 26470, Wa Sanadahu Sahih]
________________
RUKU KA BAYAAN:
Ruku mein jatey waqt (Allahu'Akbar) keh kar dono hath kandho (ya kano tak) utthaye.
Jaise ke Ibne Umar (Radi Allahu’anhu) ka farman hai: “Nabi (ﷺ) jab namaz shuru kartey aur jab ruku ke liye takbeer kehtey tab bhi aapne dono hath kandho tak utthatey.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 735 Wa Sahih Muslim Hadees: 390]
Ruku mein peeth(pusht) bilkul seedhi rakkhey aur sar ko peeth ke barabar, yani sar na tou uncha ho aur na nichey aur dono hathon ki hateliya dono ghotno par rakkhey.
[Sahih Muslim Hadees: 498] (hateliyon ke masley ke liye dekhe sunan nasayee Hadees: 1037 is ki Sanadahu hasan hai)
Dono hathon(bazuon) ko taan kar rakkhey zar qam na ho_ ghotno ko mazboot thame.
[Sunan Abi Dawood Hadees: 734 Wahuwa Hadees Sahih, Imam Tirmidhi Ney Hadees: 304 Mein Aur Nawawi Ney Al Maujam 407/3 Mein Essey Sahih Kahan Hai]
Ruku ki halat mein Nabi (ﷺ) ki hateliya aap ke ghotno par yu rakkhi hoti thi jaise ke aap ne ghotno ko pakda huwa ho.
[Jamia Tirmidhi Hadees: 260 Wa Sanadahu Hasan, Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Kahan Hai]
Ruku ki halat mein Nabi (ﷺ) apni kohniyon ko pehluon se door rakhtey thhey.
[Jamia Tirmidhi Hadees: 260 Wa Sanadahu Hasan]
Ruku Ki Dua:
Hazrat Huzaifa (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ruku mein farmatey:
سبحان ربّى العظيم
[Sahih Muslim Hadees: 772]
Aap (ﷺ) iska hukm deyte thhey ke ruku mein “subhana rabbiyal aazeem” padhe_ dekhiye Sunan Abi Dawood Hadees: 869 Wa Sanadahu Sahih, Wa Sahih Ibne Kuzaima: 601,670 Wa Ibne Hibbaan [Al Ahsaan: 1895], Wa Al Hakim: 477/2,225,1
Yamoon Bin Mehraan Tabayee (Rahimahullah) farmatey hai ke ruku sujood mein teen tasbihaat se kam nahi padhni chahiye dekhiye Musannaf Ibne Abi Shaiba: 250/1, Hadees: 2571, Wa Sanadahu Hasan]
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS