Mushrikeen e makkah ke Auliya bhi insan the
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
وَ الَّذِیۡنَ یَدۡعُوۡنَ مِنۡ دُوۡنِ اللّٰہِ لَا یَخۡلُقُوۡنَ شَیۡئًا وَّ ہُمۡ یُخۡلَقُوۡن
Aur jin jin ko ye log Allah Ta'ala ke siwa pukarte hain wo kissi cheez ko paida nahi kar sakte
Balke wo khud paida kiye huve hain
Murde hain zinda nahi unhen to ye bhi shaoor nahi ke kab uthayen jayenge
Al Quran Surah Nahal 16.Aayate 20 to 21,
Nek Logo ki Qabro Ko Mazar Dargha Banakar Poojna Makkah ke Mushrikeen ka yehi Amal tha jo aaj ke kuch musalmano ka ho gaya hai.
Umma Ayesha Razi Allahu anha se rivayat hai ki
Umma habiba aur Umm salma Razi Alllahu anhuma ne ek Khalisa "church" ka zikr kiya jise unhone habsha me dekha tha
Usme moorten "tasweerain" thi unhone uska tazkara Nabi sallallahu alaihi wasallam se bhi kiya*
*AAP Sallallahu alaihi wasalam ne farmaya ki unka ye Qayeda tha ki agar unme koi Nek shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banate aur usme yahi tasweerain bana dete
*Ye log ALLAH ki baargaah me Qayamat ke din Tamam makhluq me bure honge
Sahih Bukhari , Vol 1, 427,
Aisha Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne Aakhri marz ke waqt ye farmaya tha ki
Allah subhanahu ki laanta ho yahood aur nasara par unhone apne ambiya ki qabro ko ibadat ki jagah "sajdagah" bana liya
Agar is shirk ka darr na hota to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr bhi khuli rahne di jati
Lekin darr iska hai ki kahi inko bhi log ibadat ki jagah na bana le.
Sahih Bukhari, Vol 2, 1390,
Ummul Momineen Hazrath Ayesha Siddiqa Razi Allahu Anha Ko ye darr tha ki Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam ki Qabr khuli chod di jati to log uska bhi sajda tawaf narz o niyar waghayra Shuru kar dete.
Is shirk se ummat ko bachane ke liye Aap Sallallahu Alaihiwa Sallam ki qabr e Anwar ko Mehfooz kar diya gaya
Lekin Logo Ne Auliya ki Qabro ko Sajda gah Nazr o niyaz Urs mela Fatiha dua Waseela ibadat ki jagah Bana liya hai
Allah Hum Sab Ko Kenhe Sunne se Zyada Amal ki Taufeeq Ata Farmaye Ummat e Muhammadiya Sallallahu Alaihiwa Sallam Ko Har Kisam ke Shirk Biddat Qurafato Se Hifazath Farmaye Aameen
______________________
______________________
No comments:
Post a Comment