find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kaun Se Tin 3 Waseela JAyez HAi?

Phir Bhi Sirf 3 Jaiz Waseela Hain Quran Aur Sahih Hadees se .

1 Allah Ke Naamo Ka Waseela.

2 Naek Taqwa Aur Paresghar Walo Ka Waseela Se Dua Karna
(Sirf Zinda log Se).

3 Naek Amal ka Waseela se.

Aaye dekhe Quran or Sahi Hadees se
➡Allah ke Naamo ka Waseela.⬅
⛔1 Aur Allah Ta'ala Ke Achche Naam Hain Usko Usi Ke Naamo Se Pukaro
  (Surah al-Ahraf Surah no. 8 -  Ayat no.180 )
For Example :- Maghfirat Ki Talab Ho Toh Ya Rehman Ya Raheem , Rizk Ki Talab Ho Toh Ya Razzak Keh Kar Allah Se Dua Karo
Ab Agar Koi Allah Ke Naamo Ki Jagah Uske Nabi, Wali Ya Peer Ka Naam Lekar Kehta Hai Ke Allah Inke Sadke Meri Dua Qabool Farma Toh Iska Matlab Huwa Ke Woh Allah Ke Zaat Aur Sifat Ke Behtreen Naam Se Zayda Nabi Ya Wali Ke Naam Ko Asar Dar Manta Hai .
Aur Yeh Sirf Allah Ke Sath Uske Bande Ko Shareek Therana Hi Nahi Balki Allah Ki Shadeed Toheen Bhi Hai....
Allah-O-Akbar , Hum Un Logon Ka Amal Dekhlein Jo Deen Ko Hamse Bahut Zyada Samajhte The ...
Sahaba Kiram Se Zyada Deen Toh Hum Nahin Samajh Sakte Naa Toh Ayein Dekhein Kya Sahab Kiram Ne Kabhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Apni Dua Main Lagaya.
➡Naek Taqwa Aur Paresghar Walo Ka Waseela Se Dua Karana (Sirf Zinda log Se)⬅
⛔2 " Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Hazarat Umar Radhi Allahu Anhu Jab Barish Nahi Hoti Thi toh Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib se Barish Ki Dua Karwate They aur Kehte They Ke Ya Allah Hum Apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Teri Taraf (Dua ke Liye ) Waseela Banate They Aur Tu Barish Barsata Tha (Ab Jabke Woh Hamme Nahi Hain ) Hum Apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Ko (Dua mai) Waseela Banate Hain Malik Barish Bhej Aur Barish Ho Jati Thi"
(Saheeh Bukhari Page 137 jild1 & Vol.2 Hadith no.1010)
Ab Hum Khud Sonchein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Zyada Fazilat Wali Zaat Konsi Hai Jiska Waseela Dua Mai ikhteyar Kiya Jaye Hazrat Umar Radhi Allahu Anhu Se zayda Deen Ko Samajh Ne Wala Kon Ho Sakta Hai Aaj Magar Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Is Duniya Se Jane Ke Baad Woh Naa toh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qabr Per Jakar Dua Karte Hain aur Naa Apni Dua Mai Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Waseela Banate Hain balki Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Hazrat Abbas Radhi Allahu Anhu se Dua Karwate Hain Jo Us Time Zinda They .
   Dusre Waqiye Dekhe Quran Se
♦Yaqoob Alaiysalam ke Bete Bolte ..
Uno Ne Kaha Aba ji ! Aap Hamare Liye Gunahoon Ki Bakshish Taleb Kijiye be'shaq Hum Qasurwar Hai.
Yaqoob Alaiysalam Ney Kaha:- Achcha Mai Jaldi Hi Tumhare Liye Apne Parwardigaar Se Bakshish Magogai , Woh Bahut Bade Bakshne Wale Aur Nihayat Meherbani Karne Wale Hai.
Surah Yousuf, Surah No.12, Ayat no. 97, 98.
❗Is Ayat Aur Hadees Se Bhi Maloom Howe Ke Naek Parezghar Aur Taqwa Wale Se Dua Karana Jaiz Hai.. (Zinda Hona Chahiya Bus)
Alhumdullilah Yeh Tu Nabi Hai Yaqoob Alaiysalam ...
➡Naek Amal Ka Waseela Se⬅
⛔3  Abdullah-Bin-Umar {Radhi Allahu Anhu } Se Riwayat Hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:- Teen (3) Aadmi Ja Rahe The, Itne Me Barish Hone Lagi Toh Woh Pahad (Mountain) Me Ek GAAR Tha Isme Ghoos Gaye, Pahad Par Se Ek Pather Gira Aur GAAR Ke Monh Par Aagaya Aur Monh Band HoGaya,
Ek Ne Dosre Se kaha:- Aapne Aapne Neak Aamaal Ka Khayal Karo Jo ALLAH Ke Liye Ho Aur DUA Maango In Aamaal Ke Waseele Se Shayed Allah-Taala Is Pather Ko Khool De Tumhare Liye,
Toh Inme Se
Ek Ne Kaha:- Mere MAA-BAAP Budhe Zaef The Aur Meri Biwi (wife) Aur Mere Chote Chote Ladke The, Ke Main Inke Waste Bhed, Bakriyan Charaya Karta tha, toh Inka Doodh (Milk) Duhta Tha Aur Sabse Pahele Apne MAA_BAAP Se Shuru Karta Tha, toh Inko Apne Ladko Se Pahele Pilata Tha, Albatta Ek Din Mujhko Bakriyon Ka Chara Bahut Door Mila So Main Ghar Naa Aaya Yahan Tak Ke Mujhko Aane Me Shaam Ho Gayi Toh Maine Apne MAA-BAAP Ko Sota Huwa Paya, Phir Maine Doodh (Milk) Duha Jis Tarah Duha Karta Tha, Phir Main Doodh (Milk) Laya Aur Apne MAA-BAAP Ke Sar Ke Pass Khada Huwa, Mujhko Bura Laga Ke Main Inko Neend Se Jagaon Aur Bura Laga Ke Inse Pahele Ladko Ko Pilaon Aur Ladke Bhook Ke Mare Shoor Kar Rahe The Mere Dono Pairo (legs) Ke Pass, So Issi Tarah Barabar Mera Aur Inka Haal Raha Subah Tak (Yani Main Apne MAA-BAAP Ke Intezar Me Doodh Liye Raat Bhar Khada Raha) Aur Ladke Rote Chillate Rahe, Naa Maine Piya Aur Naa Ladko Ko Pilaya,
So Elaahi Agar Tu Janta Hai Ke Aisi Mahnat aur Moshaqat Teri Razamandi Waste Maine Ki Thi Toh Is Pather Se Ek Rozan Khool De Jisse Hum Aasmaan Ko Dekhe Toh Allah-Taala Ne Isme Ek Rozan Khool Diya Aur Unhone Isme Se Aasmaan Ko Dekha,
Dosre Ne Kaha:- Elaahi Majra Yeh Hai Ke Mere Chacha (Yani Uncle) Ki Ek Beti Thi, Jis Se Main Mohabbat Karta Tha Jis Tarah Mard-Aurat Karte Hain (Yani Main Iska Kamaal Ashiq Tha) So Iski Taraf Mayel Ho Kar Maine Iski Zaat Ko Chaha (Yani Haraam Khori Ka Irada Kiya) Isne Naa Mana Aur Kaha Jab Tak 100 Ashrafiya Naa Dega Main Razi Naa Hungi, Maine Koshish Ki Aur 100 Ashrafiya Kama Kar Iske Pass Laya, Jab Main ne Iski Taang Uthai ( Yani Jamaa Ke Irade Se) Isne Kaha:-
Aye Allah Ke Bande! Dar ALLAH Se Aur Mat Tood Mehar Ko Magar Haq Se (Yani Begair Nikah Ke Bakarat Mat Zayel Kar) Toh Main Uth Khada Hua Iske Upper Se -
Elaahi Agar Tu Janta Hai Ke Ye Kaam Maine Teri Razamandi Ke Liye Kiya Toh Ek Rozan Aur Khool De Hamare Liye, Allah-Taala Ne Aur Ek Rozan Khool Diya Yani Woh Rozan Bada Hogaya,
Teesre Ne Kaha:- Elaahi Maine Ek Shaks Se Mazdoori li, Ek Farq Chawal Par (Yani Wo Bartan Jisme 16 Ratal Aanaj Aata Hai) Jab Woh Kaam Kar Chuka Isne Kaha: Mera Haq De Maine Ek Farq Bhar Chawal Iske Samne Rakhi, Isne Naa Liya Phir Maine In Chawalon Ko Bota Raha, Isme Barkat Huwi Yahan Tak Ke Maine Is Maal Se Gaaye aur Bael (cow & bull) Aur Inke Charane Wale Gulaam ikhatta Kiya, Phir Wo Majdoor Mere Pass Aaya Aur Kehne Laga:
Allah Se Dar Aur Mera Haq Mat Maar, Maine Kaha Ja Aur Gaaye Bael (Cow-Bull) Aur Iske Charane Wale Sab Tu Lele---
Woh Bola: Allah Jabbar Se Dar Aur Mujhse Mazak Mat Kar, Maine Kaha Main Mazak Nahi Karta, Woh Gaaye Bael (Cow-Bull) Aur Charane Wale Ko Tu Lele isne Le liya,
Phir Agar Tu Janta Hai Ke maine Teri Razamandi Ke Liye Kiya Toh Jitna Baqi Hai Rozan Woh Bhi Khool de,
Allah-Taala ne Isko Bhi Khool Diya Aur Woh Log GAAR Se Bahar Nikal Gaye.
(Sahih-Muslim  Hadees- no. 6939 /
Sahih-Bukhari Hadees -no. 2333, 2215)
Tashrih:- Is Hadees Se Jo Baat Samne Aati Hai Woh Ye Hai,
(1) => Sakht Musibat Me Aur Nehayat Pareshani Me Jiski Koi Tabdir na Ho Sake Toh Apne Khalis Aamaal Ko WASILA Bana Kar Allah se DUA Kare Allah Isko Nijad De.
(2) => MAA-BAAP Ka Haq Apni Jaan Aur Biwi, Ladko Ke Haq Me Muqaddam Hai Aur Neakiyon Me Dakhil Hai.
(3) => Qadir Ho Kar Gunnah Se Bachna Aur Sirf Allah Ke Dar-wa-Khauf Se Shawat Ko Dabana Aur Khawash-e-Nafs Ko Mitana Behad Kamala Ki Baat Hai, Aur Allah Ko Nihayat Pasand Hai.
(4) => Haq Walon Ka Haq Adda Karna Raza-e-Elaahi Ka Umdaa Waseela Hai.
(5) => Maalik Ke ijazat Ke Bina Koi Aanaj Bo De Toh Iska Hasilaat Ka Maalik Asal Maalik Hi Hoga.....
      Short breif
✅1=> Allâh tallah Ke 99 Naam Hai Uske Naam Ka Waseela Laga Kar Usse Maango
✅2=> Aap Main se Jo Zinda Neak Log Hain Unke Paas Jaake Unse Kaho Ki Mere Liye Dua Karen Zinda Ka Hukum Hai Murdon Ka Nahi
✅3 => Aapne Koi Neak Aamal Ka Waseela Lagao......
Jaise Ke Deen Main Jo Tumne Paisa Kharach Kiya Hai Ya Aur Koi Naek Amal
⛔❗Note:- Aur Murdon (Death Person)  Ka Waseela Quraan Aur Sahih Hadees Se Kahin Bhi Sabit Nahi Hai,
Agar Hain Toh Iski Sahih-Dalil De  Hum Manne Ke Liye Taiyar
Hain..
INSHA ALLAH
Aakhirat me insaan ke apne aamaal ke alawa kuchh kaam na ayega
Hazrat Abu Hurairah radhi ALLAH anhu ne bayan kiya ke jab ALLAH TA'ALA ne yeh aayat utaari -
aur apne nazdeek naate walo ko ALLAH ke azaab se dara" (surah al sho'ra: 214) .
to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye farmaya,
"Quraish ke logo! (ya aisa hi koi aur kalima) Tum log apni apni jaano ko (nek aamaal ke badle) khareed lo (bacha lo).
Main ALLAH ke samne tumhare kuchh kaam nahi aa sakta
(yaani Uski marzi ke khilaf main kuchh nahi kar sakta).
Abdul Munaaf ke beto! Main ALLAH ke samne tumhare kuchh kaam nahi aane ka.
Ae Abbas radhi ALLAH anhu bin Abdul Muttalib!
Main ALLAH ke samne tumhare kuchh kaam nahi aane ka.
Safiya, meri phoopi! ALLAH ke samne main tumhare kuchh kaam nahi aa sakta.
Ae Faatima, meri beti! Tu jo chahe mera maal maang le lekin ALLAH ke samne main tere kuchh kaam nahi aa sakunga."
Ise Bukhari aur Muslim ne riwayt kiya hai
Al Lulu walmarjan h (1/123)
       NOTE          
Is hadis se malum hua ke har insaan apne apne aamaal ka zimmedar hoga.
Aakhirat me koi kisi ke kaam nahi ayega.
Rasul ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne sabhi rishtedaro ko ALLAH ke hukm ke mutabiq ALLAH ke azaab se aagaah kar diya tha.
Jab hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apne kisi rishte naate wale ke liye kuchh nahi kar sakte to phir hum logo ki kya bisaat hai.
Is liye hum sabko apne apne aamaal par tawajjoh dena chahiye ke hum kaha sahi hain aur kaha ghalat.
Aur apne aap ko buraaiyo se rok kar apne nek aamaal me izafa karna chahiye.
Sath hi apne ahlo ayaal, rishtedaro, dosto waghaira ko bhi ALLAH ke azaab se darana chahiye
taake wo apne apne aamaal ko sudhaar sake.
ALLAH hum sabko zyada se zyada nek aamaak ki taufiq de. AMEEN
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS