Ittehad Kaise Qayem Kiya Jaye Musalmano Ke Ander?
IKHTELAAF kaise kam kiya jaaye ?
Jawab :
Aap keh dijiye ke aye ahle kitaab! aisi insaaf waali baat ki taraf aao jo hum mein tum mein baraabar hai, ke hum Allah ta’ala ke siwa kisi ki ibaadat na kare, na us ke saath kisi ko shareek banaaye, na Allah ta’ala ko chhod kar aapas mein ek dosre ko hi rab banaaye, pas agar wo mu pher le, to tum kehdo ke gawaah raho, hum to MUSALMAN hai”.
(03 Surah Imran : Ayat 64)
1⃣Is ayat me Allah ne “Ahle Kitab” yaani Yahud wa Nasaara (isaai) se khitab kiya hai lekin aaj ke daur me ye ayat Musalmano par fit hoti hai kyunke amli taur par baaz MUSALMAN yahoodi ur Isaai ban gaye hai. Unone jo galatiya aur gunah kiye the wo sab ajke MUSALMAN kar rahe hai.
Is ayat me Ittehad ki taraf bulaya gaya hai.
2⃣ham Musalmano ke bich jo Yaksaanoyat hai us buniyad par ittehad qayam ho sakta hai jaise sabka Allah ek hai, Sabke Rasool ek hai aur sabke liye Quran wa Hadees ki talimmat ek hai. isi platform ke buniyad par saare MUSALMAN UNITED ho sakte hai.
3⃣Is ayat me shirk ko chhodne aur Tawheed ko apnane ke liye kaha gaya hai. Jaan le ke ittehad ki sabse badi buniyad yahi hai.
4⃣Is ayat me Rasool ke itteba ki dawat bhi di gayi hai kyunke Rasool ke bataye huye tariqe par chalne se hi Tawheed ko apna sakte hai aur shirk se bach sakte hai.
5⃣is ayat me “tum” aur “musalman” ka naam lekar Allah ne Sahaba ka bhi zikr kiya hai kyunke ye ayat jab nazil ho rahi thi us waqt Nabi aur unke Sahaba aur Sahabiyat MUSALMAN the.
Aam taur par ye kaha jata hai ke “Ikhtelaafi Masail“ par bahes na ki jaaye kyunke is se “Ummat” me ikhtelaaf aur badhega aur Ummat bikhar jayegi lizaha jo jis raaste aur tariqe par chal raha hai use usi par chhod diya jaaye aur ham ek dusare ko sahih-galaat na kahe.
Ikhtelaaf 2 tarah ke hota hai. Ek Sharai (jayez) ikhtelaaf aur dusara gair-sharai (na-jayez) ikhtelaaf jaisa ke Ahle Haq ka Ahle Batil se, Ahle Tawheed ka Ahle Shirk se, Muttbe-Rasool ka Ahle Taqleed se aur Ahle Sunnat ka Ahle Biddat se ka jo ikhtelaaf hai ye jayez ikhtelaaf hai warna haq aur baatil me fark nahi ho payega. Ye Sharai ikhtelaaf hai lekin iske ulta jaisa ke Ahle Haq ka Ahle Batil se, Ahle Shirk ka Ahle Tawheed se, Ahle Taqleed ka Muttbe-Rasool se aur Ahle Biddat ka Ahle Sunnat se ka jo ikhtelaaf hai ye na-jayez ikhtelaaf hai. Islami Shariyat ko ye ikhtelaaf manzoor nahi hai.
Lekin maazi ye dekha gaya ke ikhtelaafi masail par ilm ki roshni me guftgu karne se ikhtelaaf kam kiya ja sakta hai lekin kamiyaab bahes ke liye kuchh usoolo ko madde nazar rakhhna farz hai jaisa ke …
1⃣Sabse pahle, hamari niyyat khalis ho aur haq ko qubul karne ki niyyat ho, bahes ka maqsad kisi ko haraanaa ya zalil karna na ho balke islah ki niyyat ho.
2⃣Ikhtelaafi masail par bahes ki shuru’at aur khatima wazeh aur sahih dala’eel ke roshni me ho.
3⃣Bahes ke baad, Quran, Sahih Hadees, Sahaba ya Salaf-Salehin ke aqwaal ya ijma ke roshni me jo natija nikal aaye us natije ko dono partiya bina kisi maslaqi tassub ke qubul kare.
4⃣Behes ke darmiyan “guftgu ke aadaab” ka khayal rakha jaaye. Gaali-galoch, chilla-pukar se parez kiya jaaye.
✔Allah ne kya khub kaha :
“Apne Rab ki Raah ki taraf logo ko
1⃣ hikmat
2⃣ aur behetreen nasihat ke saath bulaye
3⃣ aur un se behetreen tariqe se guftgu ki jiye,
2⃣ aur behetreen nasihat ke saath bulaye
3⃣ aur un se behetreen tariqe se guftgu ki jiye,
yaqinan aap ka Rab apni Raah se bahekne walo ko bhi bakhubi jaanta hai aur wo Raah yaafta logo se bhi pura waaqif hai”.
(06 Surah Nahl : Ayat 125)
Is ayat se ye baat sabit hui ke jab ham dawati kam ya bahes karte hai to 3 tarah ke logo se paalaa padta hai jaisa ke….
1⃣Taalim yafta logo ke sath me Hikmat se yani Quran wa Hadees ke roshni me gaheri baat ki jaaye.
2⃣Kam padhe-likhe logo ko mote mote alfaz me behetreen nasihat ke sath samjaya jaaye.
3⃣Aur jahil aur jhagdaalu logo ko behetreen tariqe se yani narmi se baat ki jaaye.
No comments:
Post a Comment