Jo Rahem Dil Logo se Achi Suluk Rakhe uske uper Jahannum Haram Hai?
Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kya main tumhe na bataun ke wo shakhs kaun hai jo aag par haraam hoga aur jis par aag haraam hogi ? (Suno main batata hoon) dozakh ki aag haraam hai har aise shakhs par jo logon se qareeb hone waala, nihaayat narm mizaaj aur narm tabiyat ho. (Tirmizi: 2488)
✺ Faida: Logon se qareeb hone waale se muraad wo shakhs hai jo narm khoi ki wajah se logon se khoob milta julta ho aur log bhi uski achchhi khaslat ki wajah se usse betakalluf aur mohabbat se milte hon. (Maariful Hadees)
No comments:
Post a Comment