🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃
🌺حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ إِسْحَاق الْجَوْهَرِيُّ، حَدَّثَنَا حُسَيْنُ بْنُ حَفْصٍ الْأَصْبَهَانِيُّ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ عَلْقَمَةَ بْنِ مَرْثَدٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بُرَيْدَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: أَهْلُ الْجَنَّةِ عِشْرُونَ وَمِائَةُ، صَفٍّ ثَمَانُونَ مِنْ هَذِهِ الْأُمَّةِ، وَأَرْبَعُونَ مِنْ سَائِرِ الْأُمَمِ .
🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jannat walon ki ek sau bees (120) safen hongi, unme se assi (80) safen is ummat ke logon ki hongi, aur chalees (40) safen baki ummton mein se“.
🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، ”جنت والوں کی ایک سو بیس (120) صفیں ہوں گی، ان میں سے اسی (80) صفیں اس امت کے لوگوں کی ہوں گی، اور چالیس (40) صفیں باقی امتوں میں سے“۔
🌺The Prophet ﷺ said, The people of Paradise are a hundred and twenty rows, eighty of them are from this nation, and forty are from the rest of the nations.
📜 *wazahat:* ek dusri wazeh hadees mein aap ﷺ ne farmaya: mere rab ne mujh se wada farmaya hai ke woh meri ummat mein se *sattar hazaar (70000) logon ko jannat mein bina hisaab aur bina azaab ke daakhil karega, ( phir ) har hazaar ke sath sattar hazaar honge, aur unke siwa mere rab ki muthiyon mein se teen muthiyon ke barabar bhi honge [📗Tirmidhi: 2437].*
Iss ummat ke momin ki barri fazeelat, izzat aur Sharf hai aur iske sath Allah ki madad hai. isi ke liye Layaq hai ke woh apne deen par fakhr kare, aur usay mazbooti se thaame, aur dusron ko bhi iski dawat de, aur ahle baatil ki mushabihat se bache, aur is ummat ka fard honay par Allah ka shukar kare, aur mazeed nekiyan karta rahe.
📚 _*Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az-zuhd 37, hadith no. 4289*_
*Grade sahih.
No comments:
Post a Comment