find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Halala Karna Aur Karwana Kaisa Hai Islam Me.

Halala Karna Haraam Wa Batil Hai.

Halala Kya Hai? ISLAM me Iski Haisiyat
Halala Karna Aur Halala Karwana Kaisa Hai?
Teen Talaq Se Halala Ka Kya Talluq Hai?
Halala Haram ya Halal Hai Shariyat Ki Raushani Me?
Jab koi shakhs apni biwi ko teesri Talaq bhi de de to woh uske liye haraam ho jati hai aur us waqt tak halal nahi hogi jab tak woh kisi aur khawind(shauhar) se nikah na kar le, kyunki Allah Subhanahu Ta'ala ka farmaan hai :_
"Aur agar woh usey ( teesri ) Talaq de de to ab uske liye halal nahi jab tak woh aurat uske alawa kisi dusre se nikah na kar le."
Surat ul Baqara : 230
Aur is nikah mein jo usey apne pehle khawind ke liye halal karega shart yeh hai ke woh nikah sahih ho, chunanche waqti aur kuch muddat ke liye nkah ( jise Nikah Muta'h bhi kaha jata hai ) ya phir pehle khawind ke liye biwi ko halal karne ke liye nikah kar ke phir Talaq de dena ( ya'ni nikah halala ) yeh dono haraam aur baatil hain, aam ahel ilm ka yahi qoul hai, aur is se aurat apne pehle khawind ke liye halal nahi hogi ._
Al Mughni : 10/49-50
________________________________
Nikah Halala ki hurmat Nabiﷺ Ki sahih ahadees se saabit hai.
_Abu Dawood me hadees marvi hai ke :_
*Nabiﷺ ne farmaya :
" Allah Ta'ala halala karne aur halala karwane wale par laanat kare "
Abu Dawood: 2076_
Is hadees ko Allamah Albani Rahimahullah ne sahih Sunan Abu Dawood mein sahih qarar diya hai.
Aur Sunan Ibn majah mein Uqbah bin Aamir Raziallahu anhu se marvi hai ke Nabiﷺ ne farmaya :_
"Kya mein tumhe kiraye ya Aarayta liye gaye saandh(borrowed billy- goat) ke mutaliq na bataun❓
Sahaba Kiram ne arz kiya : Kyun nahi Ai Allah Ke Rasool aap zaroor batayen ._
Toh Rasoolﷺ ne farmaya :
" Woh halala karne wala hai, Allah Ta'ala halala karne aur halala karwane wale par laanat kare "
Sunan Ibn Majah hadees number ( 1936 ) Allamah Albani Rahimahullah ne sahih sunan Ibn Majah mein isey Hasan qarar diya hai .
_Aur Abdul Razzaq ne musannif Abdul Ar Razzaq mein Umar bin khattab Raziallahu anhu se rivayet kiya hai ke unhone ne logon ko khutba dete hue farmaya :
"Allah ki Qasam mere paas jo halala karne aur halala karwane wala laya gaya Mai usey Rajam(to stone them) kar dunga "
Musannif Abdul Razzaq ( 6 / 265 ) ._
_*Yeh sab barabar hai aur koi farq nahi ke Aqd nikah ke waqt is maqsad ki Sarahat(clear kiya gaya ho) ki gayi ho aur us par shart rakhi gayi ho ke jab isne usey uske  pehle khawind ke liye halal kar diya to woh usey Talaq de ga, ya iski shart na rakhi ho, balke unhon ne apne dil mein hi yeh niyat kar rakhi ho, yeh sab barabar hai .
Imam Hakim Rahimahullah ne Naafi' se rivayet kiya hai ke ek shakhs ne Ibn Umar Raziallahu anhuma se arz kiya :_
Ek aurat se nikah is liye kiya ke usey pehle khawind ke liye halal karun na to is ne mujhe Hukm diya aur na woh jaanta hai, to Ibn Umar kahne lagey :_
Nahi!!! , Nikah to raghbat(dilchaspi/khwahish) ke sath hai, agar woh  tujhe achhi lagey aur pasand ho to usey rakhe, aur agar usey napasand karo to is ko chhodh do .
Woh bayan karte hain : hum to Rasoolﷺ Ke daur mein usey zina shumaar karte they ._
Aur unka kahna tha : woh zaani(Adulterers) hi rahenge chahe bees baras tak ikathhe rahen .
_______________________________
Aur Imam Ahmed Rahimahullah se dariyaft kiya gaya ke :
Ek shakhs ne kisi aurat se shadi ki aur uske dil mein tha ke woh is aurat ko apne pehle khawind ke liye halal karega, aur is ka aurat ko ilm na tha.
_To Imaam Ahmed Rahimahullah ne jawab diya :_
"Yeh Halala karne wala hai, jab woh is se Halala ka iradah rakhe to woh mal'oon(lanat zada) hai "
is bina par aapke liye is aurat se pehle khawind ke liye halal karne ki niyat se nikah karna jayez nahi, aur aisa karna Kabira gunah ho ga, aur yeh nikah sahih nahi balke zina hai, Allah is se mehfooz rakhe
_wallahualam.
                                  Aalim-E-Deen Se Shadi KArne Ke Fawaid
                                    Muslim Bahno Ke Liye Chalaye Ja RAhe Ek Fitna.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS