find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ager Talaq ho Jaye Aur Baccha Doodh Pita Rahe To Kya Kare?

Agar TALAQ ho jaye aur DOODH pita bachcha ho to kya kiya jaaye?
Ye ayat Surah Ab Baqrah ke pichhle 228-232 ayato ka sisila hai jisme Talaq tariqa zikr kiya gaya tha.

۞ وَٱلْوَٰلِدَٰتُ يُرْضِعْنَ أَوْلَٰدَهُنَّ حَوْلَيْنِ كَامِلَيْنِ ۖ لِمَنْ أَرَادَ أَن يُتِمَّ ٱلرَّضَاعَةَ ۚ وَعَلَى ٱلْمَوْلُودِ لَهُۥ رِزْقُهُنَّ وَكِسْوَتُهُنَّ بِٱلْمَعْرُوفِ ۚ لَا تُكَلَّفُ نَفْسٌ إِلَّا وُسْعَهَا ۚ لَا تُضَآرَّ وَٰلِدَةٌۢ بِوَلَدِهَا وَلَا مَوْلُودٌۭ لَّهُۥ بِوَلَدِهِۦ ۚ وَعَلَى ٱلْوَارِثِ مِثْلُ ذَٰلِكَ ۗ فَإِنْ أَرَادَا فِصَالًا عَن تَرَاضٍۢ مِّنْهُمَا وَتَشَاوُرٍۢ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَا ۗ وَإِنْ أَرَدتُّمْ أَن تَسْتَرْضِعُوٓا۟ أَوْلَٰدَكُمْ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْكُمْ إِذَا سَلَّمْتُم مَّآ ءَاتَيْتُم بِٱلْمَعْرُوفِ ۗ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَٱعْلَمُوٓا۟ أَنَّ ٱللَّهَ بِمَا تَعْمَلُونَ بَصِيرٌۭ

*"Maaye apni awlaad ko do saal kaamil doodh pilaaye jinka iraada doodh pilaane ki muddat bilkul puri karne ka ho aur jinke bacche hai unke zimme un ka roti kapda hai jo mutaabiq dastoor ke ho, har shakhs utni hee takleef diya jaata hai jitni us ki taaqat ho, Maa ko uske bacche ki wajah se ya Baap ko uski awlaad ki wajah se koyi zarar na pahochaaya jaaye, waaris par bhi isi jaisi zimmedaari hai, phir agar dino (yani bachhe ke Maa Baap) apni raza mandi aur ba-hami mashwere se doodh chhudaana chaahe to dono par kuch gunaah nahi aur agar tumhaara iraada apni awlaad ko doodh pilwaane ka ho to bhi tum par koyi gunaah nahi, jab ke tum un ko mutaabiq dastoor ke jo dena ho wo un ke hawaale kardo, Allah Ta'ala se darte raho aur jaante raho ke Allah Ta'ala tumhaare amaal ki dekh bhaal kar raha hai".

📙(Surah 02 Al Baqrah: ayat 233).

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS