find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shadi Ke Bad Betiyon ka Haque. (Jahaiz Ke Nuqsanaat Part 2)

Jahaiz Dene Ke Bad Betiyon Ka Haque Aur Muashera (Society) Ki Soch

Part - 2
DEENI LIHAAZ SE:
1 Dusri taraf, JAHEZ lene-dene se SHADIYA din-ba-din MAHENGI hote jaa rahi hai aur ye kaam Rasoolullah (SallallahuA’laihiWaSallam) ki naafarmani hai kyunke :
 Rasoolullah (SallallahuA’laihiWaSallam) ka hukm hai ke :
“SHAADI KO AASAAN KARO aur ZINA KO MUSHKIL”
2 Lekin aaj Jahez ki len-den ki wajah se Shadi karna mushkil hogaya hai, Khaas karke ladka ye sonch raha hai ke shadi se pahle mujhe settle hona hai, shadi dhum-dhaam se karna kyunke mai jab 5-6 laakh hunda lunga to mujhe mere shadi me kam se kam 3-2 laakh kharch karna hi hoga taake society me mera status maintain rahe aur DULHAN bhi Aamir ghar ki mile taake zyda se zyda jahez mile,ye saare standards bana lene se aaj ladke-ladkiya shadi se dur bhaag rahe hai aur apni jismani khawishaat ko pura karne ke liye BOY FRIEND-GIRL FRIENDS bana raha hai.Is tarah samaaj Zina (batkaari) ke taraf jaaraha hai.
3 Jab ek garib dekhta hai ke uska fala rishtedaar apni beti ki shadi bade dhum-dham se kiya hai aur mai abhi tak bht saare logo ki dawatein kha chuka hu isliye mujhe bhi mujhe meri beti ki shadi dhum-dhaam se karna hoga, iske liye wo apna ghar bech dega ya fir kisi Saawkaar se Sudi Karz lena.
Is karz ko adaa karne ke liye ya to kisi ke pas Naukar banakar kaam karega, uski zindagi karza adaa karne me khatam hojayegi ya fir karza adaa karne ke liye apne family se dur Saudi wagaira chala jayega.Karz ki wajah se Garib ki zindagi hamesha tension me guzarti hai. Wo Deen par achhe se amal nahi kar pata hai aur dusari taraf hamesha UNDER-PRESSURE aur UNDER-DEPRESSION me rahata hai. Kuchh log aise bhi hote hai ke wo kisise KARZ wagaira nahi lena chahte, apne paas jitna hai utne me hi Shadi karna chahte hai lekin aise garib family ke paas koi shadi ka rishta nahi aataa kyunke wo apne beti ke shadi me Jahez aur mahenge khane ki dawat nahi de payenge isliye aaj aisi kitni ladkiya bina-shadi ke apne gharo me baithi hui hai, inki BAD-DUA zarur unlogo ko ladegi jo SHADIYA DHUM DHAAM se kar rahe hai aur shadiyo me competition paida kar rahe hai.
4 Dusri taraf, koi ladka 2-2, 3-3, 4-4 GIRL-FRIENDS rakhta ho to SAMAAJ me ise BURAAI nahi samji jarahi hai lekin koi shakhs apni taaqat ke mutabik jayez tariqe se 2-2, 3-3, 4-4 biwiya rakhta hai to use bura samja jaata hai halanke 1 se zyda biwi rakhne se Bewa, Talaq-shuda aur garibo ke ladkiyo ke shadiyo ka masla bahot bade level taak hal ho sakta hai. Isiliye  aap dekhenge aksar Sahaba ko 1 se zyada biwiya the.
5⃣Aaj kal dekha jaraha hai ke JAHEZ ke lene me dulhe ke maa-baap ka hath zyada hota hai kyunke LADKA SHARIYAT ke mutabik shadi karna chahta hai lekin uske Maa-Baap apni Tamannao ko pura karne ke liye LADKE ko jahez lene me majboor kar rah hai.
6⃣Baaz log samaj Se darr kar bhi apni taraf se apni badi beti ke shadi me zabardasti se JAHEZ dete taake apni dusre chhote ladkiyo ko achhe rishte aaye aur logo me apna STATUS bana rahe.
7⃣Walidain ki property me se Ladki ko jo sharai-hissa milna chahiye tha us hisse ko aaj jahez ke roop me replacement samja jaraha hai isliye LADKI KI SHADI ME JAHEZ DENE KE BAAD BHAI log ye SAMAJ RAHE HAI KE HAMNE APNI BAHEN KO SAB KUCHH PAHLE HI DE DIYA HAI ISLIYE ab WALIDAIN ki PROPERTY ME SE BAHEN KA SHARAI HISSA  BAAKI nahi raha.
Lekin Surah Nisaa me Allah kaheta hai ke Ladki ka sharai-hissa Ladki ko na-dena ye ALLAH KI HUDUD (BOUNDARIES) ko paar kare jaisa hai. Aisa karne wale shakhs ka thikana hamesha ke liye JAHANNAM me rahega.
 Agar waqai ham apne ladki ka future achha dekhna chahte hai to walidain ke property me uske naam ka jo SHARAI HISSA  Allah ne rakha hai use dede kyunke log HUNDA-JAHEZ isliye lete hai SHADI hi aisa ek mauka hai LADKI walo se paise wasool karne ka kyunke baad me is DULHAN ko mayke walo se kuchh nahi milega.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS