Geebat Karne Wale Aur Tana Dene wale ki Sza
Geebat Karna Aur Chugalkhori karne ki Sza.
Har Geebat Karne Wale Aur Taana Dene Wale Ke Liye Halakat Hai
Al Quran :Aye Imaan Walon Ziyada Bad Gumaniyon Se Bachte Raho Kyun Ke Kuch Guman Gunah Hain Aur Jasusi Na Kiya Karo Aur Na Hi Ek Dusre Ki Gheebat Kiya Karo Kya Tum Mein Se Koi Ye Pasand Karta Hai Ki Apne Murda Bhai Ka Ghosht Khaye❓ isko Tum Na Pasand Karoge (To Phir Gheebat Bhi Na Karo) Aur Allah Se Daro Beshak Allah Bada Tauba Qubul Karne Wala Aur Nihayat Raham Wala Hai.
*📕Al Quran, Al-Hujraat, (49), Verse 12
___________________________________
*✦ Al Quran :* 1. Har Geebat Karne Wale (Aur) Taana Dene Wale Ke Liye Halakat Hai. *2.* Jo Maal Ko Jama Karta Hai Aur Usey Ginta Rehta Hai, *3.* Wo Khayal Karta Hai Ki Uska Maal Usko Hamesha Ki Zindagi Dega, *4.* Hargiz Nahi, Wo Zarur Hutama Mein Phenka Hayega,
*5.* Aur Aap Ko Kya Malum Ki Hutama Kya Hai, *6.* Wo Allah Ki Bhadkayee Huwe Aag Hai, *7.* Jo Dilon Tak Ja Pahuchti Hai *8.* Beshak Wo Un Par Charo Taraf Se Band Kar Dijayegi *9.* Lambe Lambe Sutono Mein.
*📕Al-Quran, Surah Al-Humaza (104), Verse 1-9*
___________________________________
*✦ Hadith :* Tum Jaante Ho Geebat Kya Hai ❓
_✦ Abu hurairah Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam Ne Farmaya:-_
Tum Jaante Ho Geebat Kya Hai ? Logo Ne Kaha Ki Allah Aur Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hi Khub Jante Hain, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya
Geebat Ye Hai Ki Tum Apne Bhai Ka Zikr is Tarah Karo Ki (Agar Wo Samne Hota To) Usko Bura Lagta, Logo Ne Kaha Ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Agar Hamare Bhai Mein Wo Aib Mojud Hoto, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya (Aib Mojud Ho ) Wo Hi To Geebat Hai Agar Usmein Wo Mojud Na Hoto Wo Bohtan Hai.
*📚Sahih Muslim, Jild 6, 6593*
*✦ Hadith:*_Huzaifa Radi allahu Anhu Se Rivayat Hai Ki Rasool Allah Sal-Allahu alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:-_ Chugalkhor (Geebat Karne Wala) Jannat Mein Nahi Jayega.
*📚Sahih Muslim, Vol 1, 290*
No comments:
Post a Comment