TALAQ KA SAHIH TARIQA YE HAI AUR IS MAMLE ME MAN MAANI TARIQE SE BIWIYO KO TALAQ DEKAR UNPAR ZULM KARNE WALE MARD KO ALLAH KI "CHETAWANI":
🌸🌸 2:228
وَٱلْمُطَلَّقَٰتُ يَتَرَبَّصْنَ بِأَنفُسِهِنَّ ثَلَٰثَةَ قُرُوٓءٍۢ ۚ وَلَا يَحِلُّ لَهُنَّ أَن يَكْتُمْنَ مَا خَلَقَ ٱللَّهُ فِىٓ أَرْحَامِهِنَّ إِن كُنَّ يُؤْمِنَّ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۚ وَبُعُولَتُهُنَّ أَحَقُّ بِرَدِّهِنَّ فِى ذَٰلِكَ إِنْ أَرَادُوٓا۟ إِصْلَٰحًۭا ۚ وَلَهُنَّ مِثْلُ ٱلَّذِى عَلَيْهِنَّ بِٱلْمَعْرُوفِ ۚ وَلِلرِّجَالِ عَلَيْهِنَّ دَرَجَةٌۭ ۗ وَٱللَّهُ عَزِيزٌ حَكِيمٌ
"Talaaq waali aurte apne aap ko 3 haiz tak roke rakhe, unhe halaal nahi ke Allah ne jo unke rahem mein paida kiya ho use chhipaaye, agar unhe Allah Ta'ala par aur Qayaamat ke Din par imaan ho unke khaawind (shohar) is muddat mein unhe lauta lene ke pure haqdaar hai agar unka iraada islaah ka ho, aur aurto ke bhi waise hee haq hai, jaise un par mardo ke hai acchaayi ke saath, haan mardo ko aurto par Fazilat hai, aur Allah Ta'ala Ghaalib hai Hikmat wala hai".
🌸🌸 2:229
ٱلطَّلَٰقُ مَرَّتَانِ ۖ فَإِمْسَاكٌۢ بِمَعْرُوفٍ أَوْ تَسْرِيحٌۢ بِإِحْسَٰنٍۢ ۗ وَلَا يَحِلُّ لَكُمْ أَن تَأْخُذُوا۟ مِمَّآ ءَاتَيْتُمُوهُنَّ شَيْـًٔا إِلَّآ أَن يَخَافَآ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۖ فَإِنْ خِفْتُمْ أَلَّا يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَا فِيمَا ٱفْتَدَتْ بِهِۦ ۗ تِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ فَلَا تَعْتَدُوهَا ۚ وَمَن يَتَعَدَّ حُدُودَ ٱللَّهِ فَأُو۟لَٰٓئِكَ هُمُ ٱلظَّٰلِمُونَ
*"Ye talaaqe 2 martaba hai phir ya to acchaayi se rokna ya umdagi ke saath chhod dena hai aur tumhe halaal nahi ke tum ne unhe jo de diya hai us me se kuch bhi lo, haan ye aur, baat hai ke dono ko Allah ki hadein qaayam na-rakh sakne ka khauf ho isliye agar tumhe dar ho ke ye dono Allah ki hadein qaayam na rakh sakenge to aurat rehaayi paane ke liye kuch de daale, is me dono par gunaah nahi, ye Allah ki Hudoodh (limits) hai, khabardaar in se aage na badna aur jo log Allah ki hado se tajaawuz kar jaaye wo zaalim hai."
🌸🌸2:230
فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا تَحِلُّ لَهُۥ مِنۢ بَعْدُ حَتَّىٰ تَنكِحَ زَوْجًا غَيْرَهُۥ ۗ فَإِن طَلَّقَهَا فَلَا جُنَاحَ عَلَيْهِمَآ أَن يَتَرَاجَعَآ إِن ظَنَّآ أَن يُقِيمَا حُدُودَ ٱللَّهِ ۗ وَتِلْكَ حُدُودُ ٱللَّهِ يُبَيِّنُهَا لِقَوْمٍۢ يَعْلَمُونَ
*"phir agar usko (tisri baar) talaaq dede to ab uske liye halaal nahi jab tak ke wo aurat uske siway dusre se nikaah na kare phir agar wo bhi talaaq dede to un dono ko mel-jol kar lene me koyi gunaah nahi, bashart ye ke ye jaan le ke Allah ki hado ko qaayam rakh sakenge, ye Allah Ta'ala ke Hudood hai jinhe wo jaanne waalo ke liye bayaan kar raha hai".
🌸🌸 2:231
وَإِذَا طَلَّقْتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغْنَ أَجَلَهُنَّ فَأَمْسِكُوهُنَّ بِمَعْرُوفٍ أَوْ سَرِّحُوهُنَّ بِمَعْرُوفٍۢ ۚ وَلَا تُمْسِكُوهُنَّ ضِرَارًۭا لِّتَعْتَدُوا۟ ۚ وَمَن يَفْعَلْ ذَٰلِكَ فَقَدْ ظَلَمَ نَفْسَهُۥ ۚ وَلَا تَتَّخِذُوٓا۟ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ هُزُوًۭا ۚ وَٱذْكُرُوا۟ نِعْمَتَ ٱللَّهِ عَلَيْكُمْ وَمَآ أَنزَلَ عَلَيْكُم مِّنَ ٱلْكِتَٰبِ وَٱلْحِكْمَةِ يَعِظُكُم بِهِۦ ۚ وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ وَٱعْلَمُوٓا۟ أَنَّ ٱللَّهَ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمٌۭ
*"Jab tum aurto ko talaaq do aur wo apni iddat khatam karne par aaye, to ab unhe acchi taraah basaao ya bhalaayi ke saath alag kardo, aur unhe takleef pahuchne ki gharz se zulm wa zyaadati ke liye na ruko, jo shakhs aisa kare usne apni jaan par zulm kiya, tum Allah ke ehkaam ko hasi khel na banaao aur Allah ka ehsaan jo tum par hai yaad karo aur jo kuch kitaab wa hikmat usne naazil ki hai jis se tumhe nasihat kar raha hai ose bhi aur Allah Ta'ala se darte raha karo aur jaan rakho ke Allah Ta'ala har cheez ko jaanta hai".
🌸🌸 2:232
وَإِذَا طَلَّقْتُمُ ٱلنِّسَآءَ فَبَلَغْنَ أَجَلَهُنَّ فَلَا تَعْضُلُوهُنَّ أَن يَنكِحْنَ أَزْوَٰجَهُنَّ إِذَا تَرَٰضَوْا۟ بَيْنَهُم بِٱلْمَعْرُوفِ ۗ ذَٰلِكَ يُوعَظُ بِهِۦ مَن كَانَ مِنكُمْ يُؤْمِنُ بِٱللَّهِ وَٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ ۗ ذَٰلِكُمْ أَزْكَىٰ لَكُمْ وَأَطْهَرُ ۗ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
*"Aur jab tum apni aurto ko talaaq do aur wo apni iddat puri karle to unhe unke khaawindo se (yani dusre mardo se) nikaah karne se na roko jab ke wo aapas me dastoor ke mutaabiq razaamandh ho, ye nasihat unhe ki jaati hai jinhe tum me se Allah Ta'ala par aur Qayaamat ke Din par yaqeen wa imaan ho, is me tumhaari behtareen safaayi aur pakizgi hai, Allah Ta'ala jaanta hai aur tum nahi jaante."
📙(Surah 02 Al Baqrah : Ayat 228-232)
•············••●◆❁💠❁◆●••············•
No comments:
Post a Comment